Imam ko her zabaan mea baat karna aana chahiyea




Moula Ali a.s k liye kitaab ki likhaawat Arabi mea badal gayi




Yusha bin Noon Wasi e Musa alaihis salaam ki kitab Abraani zabaan mea likhi hui thi, aur ek Yemen k gharaane waaloun k pass moujood thi, 


Jab uss gharaane ko pata chala k Muhammed Nabi ne daawa kiya hai aur achay akhlaakh ki taraf daawat dete hai, to unhone chaaha k Muhammed s.a.w.a se jaaker milay, 


Jibrayeel ne Muhammed s.a.w.a ko ittela dedi k wo log falaan taariq ko raat k waqt aap k pass pohonchenge lehaaza uss taariq mea raat ko aap jaagiyea, 


Jab wo log pohonche aur Muhammed s.a.w.a ki liye daryaaft kiya to mulaakhat hui Aur Muhammed s.a.w.a ne unse poocha k wo kitab kaha hain jo Yusha bin noon ki jaanib se tumhey haasil hui thi, 


wo log kehne lagey ye raaz kisi ko pata nahi tha k wo kitab hamaare pass hai siwaaye aapke lehaaza unhone wo kitab Muhammed s.a.w.a ko dedi, 


Imam Ali farmaate hai k Rasool e Islam ne uss kitab ko liya jo gehri abraani zabaan mea likhi thi aur mere hawaale kardiyea, aur mea uss kitab ko apne sarhaane rakh liya. Jab Agle roz utha to usse jali o faseeh arabi zabaan mea dekha. unmea takhleekh ardh o samah se lekar Qayamat tak k haalat ki khabrein thi, maine in sabko haasil karliya. 


📗 Ref: Awalim




Note: 


Ooper ki hadees mea ye baat waazey ho chuki hai Kitaab Imam k liye writing ko tabdeel kar chuki thi, aur Ali ibn Abutalib iss baat se bohhot aala hai k her ek ki per ghour o fikr karey, haan Moujizaat huye hai k Imam ko apni zabaan mea sunta hua paaya gaya, jab k Imam Khuda ki zabaan mea bol rahe they.




Imam Jafar As Sadiq alaihis salaam ne farmaaya: 


Jab bhi Aap s.a.w.a kuch farmaate they wo Arabi mea hee farmaate they, aur her shaks ko uski zabaan mea sunaayi deta tha (jibrayeel tarjuma kardete they (dusri hadees) . Aur jab bhi koi shaks apni zabaan mea Rasool se muqaatib hota tha, to Rasool s.a.w.a ko Arabi mea sunaayi deta tha, aur iss sab ka tarjumaa Jibrayeel kardete they jo k ye Jibrayeel ko Allah ne ye Sharaf bakhshaa hai. 




📗Illal ush sharaaya 8/126




Kya Rasool her ek insaan ki jagah per gaye aur uski zabaan mea hidaayat pohonchaayi?


Quran ki Aayat


Aur hum ne koi Rasool nahin bheja magar apni hi qoum ki zabaan mein, taake unse matlab khol ker bayaan kerde. Phir Allah jis se chaahe toufeeq e hidaayat salb kerle aur jise chahe hidaayat ferma de aur wo zabardast aur hikmat wala hai.


Sureh Ibrahim Aayat 4


Tafseer


Ali bin Jafer ne Muhammed bin Abdullah Al Taiy ne Muhammed bin Abu Umeyr ne Hafs Al Kunasy ne Abdullah bin Bukeyr Al Rajai'e ko kehte huye sunah k unhone kaha k 


Imam Jafer As Sadiq alaihis salaam ne mujhse kaha : Ye bataao k kya Rasool her shaks k liye hai? 


Kya Allah ne apni kitaab mea nahi farmaaya K : 


Aur Humne tumhey nahi bheja siwaaye ye k tum her shaks ko hidaayat do 34:28? mashriq k log ho ya maghrib k log , aur aasmaan k rehne waale ho ya zameen, Jinnoun mea se ho ya insaan mea se. Kya aap s.a.w.a ne her ek ko hidaayat dedi ?




Bin Bukeyr kehte hai: Mujhey Nahi maalum


Imam Jafer As Sadiq alaihis salaam ne kaha: Aye Ibn Bukeyr! Yaqeenan RasoolAllah s.a.w.a to (iss kaam k liye) Madina se bhi baahar nahi nikle to mashriq aur maghrib k logoun tak (unki zabaan mea) kahan se pohonchaayenge?


Bin Bukar ne kaha: Mujhey nahi maalum (k kaise pohonchaayenge)


Imam Jaffer As Sadiq alaihis salaam ne farmaaya: Allah azzawajal ne Jibrayeel ko hukum diya, lehaaza Jibrayeel ne apne par k ek pankh se zameen ko uthaaya aur Rasool k saamne pesh kiya aur wo iss Tarah se aap s.a.w.a k saamne tha jaise k hatheyli mea ho, aur Aap s.a.w.a ne mashriq o maghrib k logoun ko dekha aur sab se mukhaatib hotay huye unki apni zabaan mea Allah ki jaanib bulaaya aur Apni Risaalat ki jaanib bulaaya apnay nafs k zariyea. lehaaza aisa koi shaher ya gaaon nahi bacha jisko aap s.a.w.a ne daawat nahi di apne nafs k zariyea. 


📗Tafsir e Noor e Saqlain Jild 2 Safa 526