**Mashriq Mashriq Mashriq β Basra se Pehla shaks**
Ameerilmomineen Ali a.s ne farmaaya:
.......unsabb ka peshwa ek mard e Aale Muhammed hoga jo **mashriq** se zaahir hoga aur maghrib tak uski Khushbu jaayegi.
π lzam An-Nasib Fi Ithbat Al-Hujjat Al-Ghaβib, vol. 2, p. 103
Imam AlKazim a.s se poocha gaya k Qaim ka qayaam kab hoga?
Farmaaya: ....
wo ek aisa burj (PIllar) hai jo aasman se gira hai aur uska sir maghrib mea hai **aur uski shuruaat mashriq se hai** aur jahaan tak Mahdi aur uske Zahoor ka taalukh hai wo *mashriq* se hai aur maghrib ki taraf jaayega. Aur Maghrib mea us (Mahdi) ka masla mukammil hoga aur *uski nasl se qayaam hoga*.....*Aur wo Imam hai jo k Mahdyoon hai*
π Sharh Al Akhbar v.3 p.36
Imam Ali a.s :
Ek shaks **mashriq** se Mahdi k Ahlebait se uthega talwaar shaanoun per liye huye aath mahine tak
π v.7 p.261 Kanz Al Umal AlMumahedoon by Sheikh AlKorani
Imam Ali a.s :
Aur jaanlo agar tum uss shaks ki itaayat karoge jo **mashriq** se hai, wo tumhey RasoolAllah k raaste per chalaayega
π Al Kafi jild 8 safa 66 hadees 22
RasoolAllah s.a.w.a ne farmaaya:
**mashriq** se ek shaks kale parcham liye huye, jo Shaam k aadmi ko qatl karega. ye wahi hai jo Mehdi ka itaayat guzaar hai
π AlMahdi Al Mawood AlMuntather door 30 p.328
Imam Baqir a.s:
**mashriq** se ek shaks uthega jo haq ko talab karenge lekin unhe nahi diya jaayega
π Gaybat Al Noa'mani: page 281,
π Bihar Al Anwar: volume 53 page 234,
π Mo'jam Ahadith Imam Al Mahdi volume 3 page 269
RasoolAllah s.a.w.a:
**mashriq** se Kaale parcham liye huye log niklenge aur wo tumse aesa larenge jaisa koi nahi larhta. Phir unhone ek Mard ka zikr kiya k agar wo tumhey dikhey to uski bayt karo wo Mehdi ka khalifa hai
π Bisharat Al Islam (Evangel of Islam) p.30.
RasoolAllah s.a.w.a :
Sufyani k khilaaf **mashriq** se Mahdi ka khaleefa uthega ar sufyani ko shaam mea haraayega
π Sharh Ahqaq AlHaq section 29 p.620
RasoolAllah s.a.w.a :
Tum per laazim hai k uss shaks k saath jao **jo Yamaani hai aur wo mashriq se aayega jiske pass Parcham e Mahdi hoga**
π Al-Mahdi Al-Muntather Al-Maw'ood door#2/p.207
Imam Ali a.s :
Agar tum uss shaks ki itaayat karo jo **mashriq** se hai to tumhe RasoolAllah ki shariyyat dee jaayegi jiski tum itaayat karogay
π Kafi jild 8 safa 63
RasoolAllah s.a.w.a :
**mashriq** se kaale parcham liye huye aayenge aur wo na rukenge jab tak fatahyaab na hojaaye, aur wo mere Ahlebait (Imam AlMahdi a.s) tak pohonchenge.........agar tum mea se koi unhe paao to unki taraf jaao chaahe barf per rengnaa parhey.
π Kitab Al-Fitan-Na'eem Ibn Hamad AlMaroozi-460/2 1300
RasoolAllah s.a.w.a :
**mashriq** se log niklenge aur Mahdi tak pohonchenge
π Ibn Maja-AlFitan-Khurooj AlMahdi-hadeeth#4078
**mashriq se muraad Iraq hai**
Imam Ali a.s :
Sufyani ek lashkar **mashriq** mea bhejega aur wo zawra (Baghdad) mea qatl o ghaari karega
π p.449 Alamat Akher AlZaman by Ali Ashoor
Lehaaza Yamaani jo *mashriq* se aayega wo Iraq se aa raha hai Basra se, aur yahee wo shaks hai jo 313 mea se awwal Basra se aayega jiska naam Ahmed hai aur wo Mehdi k Ahlebait mea se hai
Artaβa se rivaayat hai k Kufa k peechay se kaale parcham liye huye log niklenge jinhe asab kaha jaayega, unmea kisi k pass hathyaar nahi hai siwaaye kuch k **aur unmea Basra ka ek mard hai**
π Kitaab Al Fitan - Ibn hamad1/308 -893-Narrated from AlHukm son of Nafe from Jarah-From Arta'a
Ameerilmomineen Ali a.s Aakhri zamaane k haalaath bataate huye:
......Aur phir arab uthenge...aur ek mard uthega kaale parcham liye huye jo **Basra** se hoga jo shaam k mard se bhirh jaayega
π p.274 Alamat Akher Al Zaman by Sayed Ali Ashoor
Ameerilmomineen Ali a.s ne As-haab e Mehdi per farmaaya:
**Unmea se Pehla Basra se hai** aur aakhri Ibdaal se hai
π Bashaarath Al-Islaam safa 148
Imam Sadiq a.s ne as-haab e qaim jo basra se honge bataaya:
Abdulrahman bin Al Aβtaf, **Ahmed**, Maleeh aur Hammad bin Jaber
π Bashaarath Al Islaam safa 181
RasoolAllah s.a.w.a ne Mehdi k baare mea apni Aakhri wasiyyath mea batlaaya k Imam AlMahdi ka beta jiska naam mere aur mere waalid ka naam Abdullah, **Ahmed** aur teesra naam AlMahdi hai. **Wo Sabse pehla Momin hai**
π Sheikh Tusi Al-Ghayba page 208
Imam Ali a.s ne farmaaya:
**Ek mard Mahdi se Pehle unki Ahlebait se aayega** jo talwaar aath mahine shaanoun per uthaayega jo qatl o ghaari karega aur nahi marega jab tak Baytul muqaddas na pohonche
π v.7 p.261 Kanz Al Umal AlMumahedoon by Sheikh AlKorani
Poocha gaya k Zahoor kab hoga?
Imam Jaafer ne kaha:
Uski alaamatoun mea se ek alaamat ye hai k **Daabatul arz mashriq se aayega**
π Bihaarul anwaar vol 83 page 62
Abdullah ibn omer ne kaha: EK shaks **mashriq** se Nasl e Hussain se aayega k agar use pahaard takraaye to reza reza hojaaye
π Ibn Hamad v.1 p.372 and v.1 p.407 and Bayan AlShafe'i p.513 Uqd AlDurar p.127 AlQawl AlMukhtasar p.15
RasoolAllah s.a.w.a: ....yahaan tak k **mashriq** se ek jamaat uthegi kaale parcham liye huye , wo haqq k talabgaar hongey lekin unhe nahi diya jaayega yahaan tak k wo kamyaab honge...lehaaza tum mea se jo uss tak pohonche ya tumhaare baad jo honge uss tak pohonche unn sab per laazim hai k Mere Ahlebait mea se Imam tak pohoncho agarche tumhey barf per rengna hee kyun na parhe. k uske pass Ahlebait ka parcham hai jo Ahlebait k ek mard ko diya jaayega jiska naam mere aur mere waalid ka naam hai aur wo zameen ko adl o Insaaf se bhardega jaise k zulm o jabar se bhari hui hogi.
π Mustadrak AlHakem - Kitab Al-Fitan Wal Malahem hadeeth#8434,8566
Allah humma swalle alaa muhammediun wa aale Muhammed Al Aayemma wal mahdiyeen wa sallam tasleemann kaseerann kaseera