Eteraaz k 12 IMAM hee 12 MAHDI hai aur koi nahi

 

 

Hawaala bihaarul anwaar jismea paaya gaya k

Hamadaani ne ibn abdaa se unhone abi Abdullah e aasamee se unhone Hussain ibn e qasim bin ayub se unhone hassan bin Muhammad bin e ismaa se unhone saabit bin asbaa se unhone abu baseer se unhone ne kaha maine hazrat e IMAM E JAFFER E SADIQ alaihis salaat o was salaam ko farmaate huye sunaah hum mea se 12 mahdi hai jinn mea se 6 guzar chukey hai aur abhi 6 baakhi hai “chatey (6th) Mahdi mea allah taala ne wo sab kuch rakh diya jo mea chahta hun” (sahi translation hai chatey (6th) Mahdi k saath ALLAH jo chaahe karega)

 

 

Ahmed AlHasan k khilaaf ulema ne kaha :

6th Imam tak che hogaye abhi iskey baad aur aane waale 6 yaani che guzar gaye che aane waale hai .

Yahee daleel kaafi hai aap k 12 Mahdi k radd k liye. k yahee 12 Imam hee 12 Mahdi hai aur koi nahi.

 



JAWAAB

Sawaal mea paaya gaya k unhone ba Khoul e Masoom alaihis salaam (jo k bilkul sahi hadees hai ) kaha k 6 mahdi guzar gaye yaani 6th Imam tak hogaye aur 6 baakhi hai.......

Jab k unhone itna bhi ghour nahi kiya k Hadees bayaan karne waale Imam khud 6th Imam hee hai to “guzar gaye” ka itlaakh Imam Jaafer AsSadiq alaihis salaam per nahi ho sakta.

Ab ghour kijiyea k

{Aghyaar ne jo iss hadees mea “Che Guzar gaye” k maayene uthaaye hai}

ba khoul e Sawaali Imam Jaafer AsSadiq alaihis salaam ne kaha

6 Mahdi guzar gaye

Yaani k sawaali k hisaab se

(1) Jaafer a.s ne kaha Ali a.s guzar gaye

(2) Jaafer a.s ne kaha Hassan a.s guzar gaye

(3) Jaafer a.s ne kaha Hussain a.s guzar gaye

(4) Jaafer a.s ne kaha Ali ibn AlHussain a.s guzar gaye

(5) Jaafer a.s ne kaha Muhammed AlBaqir a.s guzar gaye

(6) Jaafer a.s ne kaha Jaafer a.s guzar gaye ????

 

( konsa momin iss maayene ko qubool karega jahan sawaali ne ye maayene uthaaye k Jaffer ne kaha Jaffer guzar gaye ?????????? )

Ye sawaali aur her shia asna shari ko challenge hai Ansaar e Imam Ahmed AlHasan ka k saabit karo k tumne zinda 6th Imam ko maana hai k wo khud k liye kehte hai guzar gaye

ya tumne guzre huye 6th Imam ko zinda maana hai aakhir tumne ye kia kardiya ?????


Ab jo maayne tumne Hadees ka mafhoom samajh ker uthaaya hai usko saabit karna hoga k Jaffer ne kaha Jaffer guzar gaye ye konsa momin maanega ?????

Behtar yahee hai k iss maayene se tauba kiya jaaye

iske haqeeqee maayene Ansaar e Imam Ahmed AlHasan alaihis salaam k pass moujuud hai

.

.

.

Ansar e Imam Ahmed AlHasan alaihis salaam iske Haqeeqi Maayene bataate hai


Iss Hadees k haqeeqee maayene hai k Imam Jaffer As sadiq alaihis salaam ne farmaaya hai k Hum (Muhammed s.a.w.a se leke 11th Imam Hassan Askari a.s tak) hee 12 Mahdi (Yaani Imam Al Mahdi alaihis salaam ) hai 6 guzar gaye
(Yaani
(1) Muhammed s.a.w.a
(2) Ali alaihis salaam guzar gaye
(3) Hassan alaihis salaam guzar gaye
(4) Hussain alaihis salaam guzar gaye
(5) Ali bin Hussain alaihis salaam guzar gaye
(6) Muhammed Baquer alaihis salaam guzar gaye < ye 6 guzar gaye

Aur 6 baakhi hai se muraad
(1) Imam Jaffer As Sadiq alaihis salaam baakhi hai
(2) Imam Musa e Kazim alaihis salaam baakhi hai
(3) Imam Ali Al Raza alaihis salaam baakhi hai
(4) Imam Muhammed Taqi alaihis salaam baakhi hai
(5) Imam Ali un Naqi alaihis salaam baakhi hai
(6) Imam Hassan Askari alaihis salaam baakhi hai < ye 6 baakhi hai

Aur 6th k saath (Imam Hassan Askari k saath) Allah jo chaahe karega yaani in hastiyoun k baad Mahdi hai .

issi hadees k silsile mea ek aur hadees jahan 11th Imam Hassan Askari alaihis salaam k liye Allah ne saaf saaf kaha hai k Allah jo chaahe karega.

Nabi e Akram s.a.w.a ne irshaad farmaaya Aye Ali ! tum meri ummat k nazeer aur is k marbi ho aur mere houz e kauser k maalik aur saakhi ho aur tum is ummat k zulqarnain ho. Tum hee se iss ummat ki ibteda hai aur tum hee per inteha hai aur tum hee iss ki dunia o aakheratt k maalik ho. Hassan Al zaaid o Hussain e Ameer aur Ali ibn al Hussain iss ke nigehbaan hai aur Muhammed bin Ali nasir honge aur jaffer bin Muhammed saayeq(dushmanoun ko door karne waale ) honge, Musa bin Jaffer dost o dushman ko shumaar karne waale honge, Ali ibn Musa mominoun ko murtab karne waale honge, Muhammed bin Ali mominoun ko jannat mea pohonchaane waale honge, Ali bin Muhammed Jannat k khateeb honge aur Hassan bin ALI (Al Askari a.s) karne waale honge aur jaisa Allah chaahega aur hukm dega
Kitaab : Awaalim
Kitaab : Al Mubeen vol 2 page 586


image