Ahmed AlHasan a.s. Imam AlMahdi alaihis salaam k direct bete hai ya nasl se hai




Ahmed AlHasan alaihis salaam Imam Al Mahdi ki nasl se hai 


Ye Aapka shajra hai 


Ahmed ibn Ismail ibn Saaleh ibn Hussain ibn Salman ibn Muhammed ibn AlHassan Askari alaihis salaam. 


Aur iss silsile mea koi aur shaksiyaat nahi hai aur kisi naam chorha nahi gaya. 



Ahmed AlHasan k chacha Mohsin ibn Saaleh ne apna shajra logoun ko dikhaaya hai k wo Imam AlMahdi ki aulaad se hai aur ye baat Basra mea mashoor hai. 



Issi k liye ye hadees ko dekhiyea 


Mufazzal ne kaha: Ya Maula, Zahoor e Mahdi kaise shuru hoga, taake log itaayat karey?

Imam ne farmaaya: Aye Mufazzal, unka zahoor mashkook hoga, taake baad mea aur saaf hojaaye, aur unki yaad phir se taaza hogi aur unka masla zaahir hoga. Aur unhe naam, lakhab aur kuniyyath se pukaara jaayega. Jo maante hai aur jo nahi maante hai aur jo gumraah hai aur jo Haq bayaan karne waale hai unki wajah se hoga jo unka naam kayyi baar lenge. Issi tarah unki daleel saabith hogi. Ye iss wajah se hoga kyun hum ne unke baare mea kaha hai aur unki daleel dedi hai, jahan unka naam nasab aur shinaakht ko waazey kiya hai 



Bihaar ul anwaar Vol 53 page 3