Hadees 1
♦️ Shab-e-Wafaat Nabi-e-kareem s.a.w.a aur Aan Hazrat ki Wasiyyath
Imam Ja'far Sadiq a.s ne apne walid-e-giraami Hazrat Baqar a.s se aur unho ne apne walid-e-giraami Hazrat Zain-ul-Abideen a.s se aur unho ne apne walid-e-giraami Husain Zaki Shaheed a.s se aur unho ne apne walid-e-giraami Hazrat Ameer-ul-Momineen a.s se naql farmaya hai ke RasoolAllah s.a.w.a ne apni shab-e-wafaat mein Hazrat Ameer-ul-Momineen a.s se farmaya:
"Aye Abul Hasan, mere liye kaaghaz aur qalam lekar aao."
Is ke baad Nabi-e-Kareem s.a.w.a ne apni wasiyath likhwaayi aur yahan tak pohoncha ke farmaya:
"Aey Ali, mere baad 12 Imam honge aur unke baad 12 Mehdi”. Tum oh Ali 12 Aayemmah mea sabse pehle imam ho, aur Allah ne apni jannat mea tumhay Ali AlMurtaza, Ameerilmomineen, Haq e azeem, aur Farooq e Azam, Ameen, aur Mahdi k naam inaayat farmaaya. Ye naam siwaaye tumhaare kisi aur per nahi sajtey. Aye Ali, tum mere wasi ho mere Ahl o ayaal per unke zindagi aur maut k maamloun mea. Meri aurtein jin se tum raazi ho wo mujhse kal (qayamat k din) milenge aur jin se tum raazi nahi ho unse mea raazi nahi hun. Qayamat k din mea usse nahi dekhunga aur wo mujhey nahi dekhengi. Aur mere baad tum mere Khalifa ho mere mulk mea.
"Aur agar unki wafaat ka waqt aaye to kaar-e-hidaayath mere bete AlHasan AlBarri Alwusool ke hawale karein.
Agar unki wafaat ka waqt aaye to kaar-e-hidaayath mere bete AlHusain Az-Zaki Al-Maqtool ke hawale karein.
Agar unki wafaat ka waqt aaye to kaar-e-hidaayath apne bete Syed Abideen Zil-Asfinaat, Ali ke hawale karein.
Agar unki wafaat ka waqt aaye to kaar-e-hidaayath apne bete Muhammad AlBaqir ke hawale karein.
Agar unki wafaat ka waqt aaye to kaar-e-hidaayath apne bete Ja’far AsSadiq ke hawale karein.
Agar unki wafaat ka waqt aaye to kaar-e-hidaayath apne bete Musa AlKazim ke hawale karein.
Agar unki wafaat ka waqt aaye to kaar-e-hidaayath apne bete Ali AlRaza ke hawale karein.
Agar unki wafaat ka waqt aaye to kaar-e-hidaayath apne bete Muhammad Siqqa Taqi ke hawale karein.
Agar unki wafaat ka waqt aaye to kaar-e-hidaayath apne bete Ali AnNaqi ke hawale karein.
Agar unki wafaat ka waqt aaye to kaar-e-hidaayath apne bete AlHasan AlFaazil ke hawale karein.
Agar unki wafaat ka waqt aaye to kaar-e-hidaayath apne bete Muhammad AlMustehfeez ke hawale karein."
"Aur ye 12 Imam honge. Phir unke baad 12 Mehdi hain.
Jab in (baarhwein Imam) ki wafaat ka waqt aaye to kaar-e-hidaayath apne bete ke hawale karein jo pehle muqarrabeen mein se hoga.
Jiske teen naam hain. Uska pehla naam mere aur mere waalid ka naam hai, aur wo hai Abdullah aur Ahmed hai, aur teesra naam AlMehdi hai. Aur woh momineen mein se awwal hai."
📚 References:
Al-Ghaibah al-Toosi, p. 150, H. 111.
Bihar al-Anwar, vol. 36, p. 260, H. 81.
Bihar al-Anwar, vol. 53, p. 147, H. 6.
Mukhtasar Ghayat al-Maram, vol. 2, p. 241.
Mukhtasar Basair al-Darajat, p. 39.
Ithbat al-Huda, vol. 1, p. 549, H. 376.
Al-Iqaz min al-Haj'ah, p. 393.
Al-Awalim Abdullah Bahrani, vol. 3, p. 236, H. 227.
Nawadir al-Akhbar al-Fayd al-Kashani, p. 294.
Makateeb al-Rasool Sheikh al-Miyangi, vol. 2, p. 96.
Tareekh Ma Ba'ad al-Zuhoor, p. 641.
Hadees 2
Syed Bahauddin Najafi apni kitab "Muntakhab Anwaar-ul-Muziyah" mein farmate hain:
Aur Ahmed bin Muhammad Al-Iyadi apne walid se ek aur riwayat bayaan karte hain:
Ali bin Uqba bayaan karte hain:
قال امام الصّادق (ع):
أنّ منّا بعد القائم (ع) اثناعشر مهدیّاً من ولد الحسین (ع)
Qala Imam Al-Sadiq (A.S.):
"An-na minna ba’d al-Qaim a.s isnā ashara Mahdiyyan min walad al-Husain (A.S.)."
♦️ Tarjuma
🔵 Imam Sadiq a.s ne farmaya:
"Dar haqeeqath hum mein se, Qaim a.s ke baad, Husain a.s ki nasl se barah (12) Mehdi hain."
📚 References:
Muntakhab al-Anwar al-Muziyah, p. 353-354.
Mukhtasar Basair al-Darajat, p. 49.
Bihar al-Anwar, vol. 53, p. 148.
Hadees 3
Qazi Noman Maghribi, Ali bin Husain, Imam Zain-ul-Abideen a.s se naql karte hain:
عن الإمام السجاد ع قال:
یقوم القائم منا ثم یکون بعده اثنا عشر مهدیا.
"An-il Imam al-Sajjad a.s qala:
Yaqoom al-Qaim minna thumma yakoonu ba’dahu isnā ashara Mahdiyyan."
♦️ Tarjuma
🔵 Imam Sajjad a.s ne farmaya:
"Hamara Qaim qayaam karega, phir unke baad barah (12) Mehdi honge."
📚 References:
Sharh al-Akhbar, Qazi Noman al-Maghribi, vol. 3, p. 400.
Hadees 4
.
🔵 Sheikh Saduq kehte hain:
Ali bin Ahmed bin Muhammad bin Imran Daqaq, Muhammad bin Abi Abdullah Kufi se, Musa bin Imran Nakha’i se, apne chacha Husain bin Yazid Naufali se, Ali bin Abi Hamzah se aur Abu Basir se riwayat karte hain:
"Qultu lil-Sadiq Ja’far bin Muhammad (A.S.):
Ya Ibn Rasulillah, inni sami’tu min abika a.s annahu qala: Yakoonu ba’d al-Qaim isnā ashara Mahdiyyan."
Faqala:
"Innama qala: isnā ashara Mahdiyyan, wa lam yaqul: isnā ashara Imaman, walakinnahum qawm min shī’atina yad’ūna al-nās ilā mawālatina wa ma’rifat haqqina."
♦️ Tarjuma
🔴 Sheikh Saduq kehte hain:
Ali bin Ahmed bin Muhammad bin Imran Daqaq, Muhammad bin Abi Abdullah Kufi se, Musa bin Imran Nakha’i se, apne chacha Husain bin Yazid Naufali se, Ali bin Abi Hamzah se aur Abu Basir se riwayat karte hain:
الصدوق: حدثنا علي بن أحمد بن محمد بن عمران الدقاق ، قال: حدثنا محمد بن أبي عبد الله الكوفي ، قال: حدثنا موسى بن عمران النخعي ، عن عمه الحسين بن يزيد النوفلي، عن علي بن
أبي حمزة ، عن أبي بصير ، قال: (قلت للصادق جعفر بن محمد (عليهما السلام): يا ابن رسول الله، إني سمعت من أبيك(ع) أنه قال: يكون بعد القائم اثنا عشر مهدياً، فقال: إنما قال: اثنا عشر مهدياً، ولم يقل: إثنا عشر إماماً، ولكنهم قوم من شيعتنا يدعون الناس إلى موالاتنا ومعرفة حقنا
Unhone Imam Ja’far Sadiq a.s se kaha:
Aey Farzand-e-Rasool! Maine aapke walid se suna ke unhone farmaya: Qaim ke baad barah Imam hain
Aap a.s ne farmaya:
Mere walid ne farmaya: Barah Mehdi, aur unhone barah Imam nahi farmaya. Balke wo humare Shiaon ki ek qaum hai, jo logon ko hamari mohabbat aur haq ki pehchaan ki daawat dete hai
📚 References:
Kamal al-Deen wa Tamam al-Ni’mah, p. 358.
Hadees 5
🔴 Sheikh Tusi ne "Al-Tahdhib" mein riwayat ki:
(Muhammad bin Ahmed bin Yahya se, Muhammad bin Husain se, Muhammad bin Ismail se, Salih bin Uqba se, Amr bin Abi Muqaddam se, apne walid se, aur Habba Arni se, jinhu ne kaha:)
"Kharaja Ameer-ul-Momineen a.s ila al-Hirah faqaal:
Latusalanna haazihi bihazihi."
(Phir Hazrat ne apne haath se Kufa aur Hirah ki taraf ishara kiya.)
"Hatta yubaa’ al-dhiraa’ fima baynahuma bidananeer, wa la yubnanna fil-Hirah masjid lahu khamsu mi’ah baab yusalli fihi khalifat al-Qaim (A.S.); li’anna masjid al-Kufa layadheeq anhum, wa layusalliyanna fihi ithna ‘ashar Imaman ‘adlan."
"Qultu: Ya Ameer-ul-Momineen, wa yasi’ masjid al-Kufa haadha alladhi tasif al-nas yawma idhin?"
"Faqaala: Tubna lahu arba’ masajid, masjid al-Kufa asgharaha, wa haadha, wa masjidan fi tarafay al-Kufa min haadha al-jaanib wa haadha al-jaanib."
(Phir apne haathon se Kufa ke dono taraf ishara kiya.)
♦️ Tarjuma
الشيخ الطوسي في التهذيب: عن (محمد بن أحمد بن يحيى)، عن محمد بن الحسين، عن محمد بن إسماعيل، عن صالح بن عقبة، عن عمرو بن أبي المقدام، عن أبيهعن حبة العرني،قال: خرج اميرالمؤمنين(ع) إلى الحيرة فقال: لتصلن هذه بهذه- وأومى بيده إلى الكوفة والحيرة – حتى يباع الذراع فيما بينهما بدنانير، وليبنين بالحيرة مسجد له خمسمائة باب يصلي فيه خليفة القائم (ع)؛ لأن مسجد الكوفة ليضيق عنهم، وليصلين فيه اثنا عشر إماماً عدلاً، قلت: يا اميرالمؤمنين، ويسع مسجد الكوفة هذا الذي تصف الناس يومئذ ؟! قال: تبنى له أربع مساجد، مسجد الكوفة أصغرها، وهذا، ومسجدان في طرفي الكوفة من هذا الجانب وهذا الجانب- وأومى بيده نحو البصريين والغريين.
🔴 Sheikh Tusi ne "Al-Tahdhib" mein riwayat ki:
Muhammad bin Ahmed bin Yahya, Muhammad bin Husain, Muhammad bin Ismail, Salih bin Uqba, Amr bin Abi Muqaddam, unke walid, aur Habba Arni ke zariye riwayat:
Amir-ul-Momineen a.s Hirah ki taraf nikle aur farmaya:
"Ye is se mil jayega."
(Hazrat ne apne haath se Kufa aur Hirah ki taraf ishara kiya)
"Is had tak ke dono ke darmiyan ek zaraa ki zameen chand dinar mein bechi jayegi. Hirah mein ek masjid banaayi jaayegi jiske paanch sau darwaze honge, aur Qaim a.s ka jaanashin us mein namaz padhega, kyun ke masjid-e-Kufa unke liye chhoti padegi. Aur us masjid mein bara (12) Imam-e-Adl namaz padhenge."
Maine kaha:
"Aey Amir-ul-Momineen, kya us din Kufa ki jo masjid aap bayan karte hain wo logon ke liye kaafi hogi?"
Aap ne farmaya:
"Kufa ke liye char masjidain banayi jayengi. Jinmein se chhoti masjid Kufa hogi. Aur ye masjid aur do masjidain Kufa ke dono taraf is taraf aur us taraf hongi."
(Phir apne haath se Kufa ke dono taraf ishara kiya.)
📚 References:
Tahdhib al-Ahkam, Sheikh Tusi, vol. 3, p. 253.
Hadees 6
Asal Muhammad bin Muthanna Hadrami kehte hain:
Ja’far bin Muhammad bin Shuraih Hadrami, Dharih Muharibi se riwayat karte hain ke wo kehte hain:
Main ne Imam Sadiq a.s se Rasool Allah s.a.w.a ke baad Imamon ke baare mein poocha.
Aap a.s ne farmaya:
"Ji haan, Ali bin Abi Talib aur unke Ahle Bait. Rasool Allah ke baad Imam hain. Phir Ali bin Husain (A.S.), phir Muhammad bin Ali a.s aur phir aaj tumhara Imam. Jo bhi iska inkaar kare, wo us shakhs ki tarah hai jisne Allah aur uske Rasool ke maarifat ka inkaar kiya ho."
Maine kaha:
"Main aap par qurban jaun, kya aap aaj Imam hain?"
Main ne ye sawal teen martaba dohraya.
Aap ne farmaya:
"Main ne tum se ye baat is liye kahi hai taake tum zameen par gawahon mein se ho jao. Khudae Buzurg-o-Bartar ne zameen par koi cheez nahi chorhi siwaaye iske ke uska ilm apne Ambiya ko diya. Phir Allah Ta’ala ne Jibraeel ko unke paas bheja taake wo Ali a.s ki zindagi mein unki vilayat ki gawahi de aur unka naam Amir-ul-Momineen rakhe."
Aur Rasool Allah s.a.w.a ne nau (9) afraad ko bulaya aur farmaya:
"Main ne tumhe gawahon mein se hone ke liye bulaya hai, chahe tum isse zahir karo ya chupao."
Phir aap ne farmaya:
"Aey Abu Bakr! Utho aur Amir-ul-Momineen a.s par salam bhejo."
Usne kaha:
"Kya hum unhein Allah aur uske Rasool ke hukm se Amir-ul-Momineen kahen?"
Aap s.a.w.a ne farmaya:
"Haan, un par salam bhejo."
Phir farmaya:
"Aey Umar, utho aur Amir-ul-Momineen par salam bhejo."
Usne kaha:
"Kya hum unhein Allah aur uske Rasool ke hukm se Amir-ul-Momineen kahen?"
Aap s.a.w.a ne farmaaya:
"Haan."
Phir aap s.a.w.a ne Miqdad bin Aswad se farmaya:
"Aey Miqdad, utho aur Amir-ul-Momineen par salam bhejo."
Unhone uth kar Ali a.s ko salam kiya aur kuch na kaha.
Phir aap s.a.w.a ne Abu Zar Ghaffari se farmaya:
"Utho aur Amir-ul-Momineen par salam bhejo."
Unhone uth kar salam kiya.
Phir aap s.a.w.a ne Hudhaifah se farmaya:
"Utho aur Amir-ul-Momineen par salam bhejo."
Unhone uth kar salam bheja.
Phir aap s.a.w.a ne Abdullah bin Masood se farmaya:
"Utho aur Amir-ul-Momineen par salam bhejo."
Unhone uth kar salam kiya.
Phir aap s.a.w.a ne Buraidah Islami se farmaya:
"Utho aur Amir-ul-Momineen par salam bhejo."
Buraidah unmein sabse chhote the.
Phir Rasool Allah s.a.w.a ne farmaya:
"Main ne tumhe gawahon mein shamil karne ke liye bulaya hai, chahe tum isse zahir karo ya chupao."
Baad mein Abu Bakr logon par hukumat karne laga jabke Buraidah Shaam mein the. Jab Buraidah wapas aaye to Abu Bakr ki majlis mein hazir huye aur kaha:
"Aey Abu Bakr! Kya tum Ali ko humara salam bhool gaye ke hum unhein Allah aur uske Rasool ki taraf se ek wajib hukm ke taur par Amir-ul-Momineen kehte hain?"
Abu Bakr ne kaha:
"Aey Buraidah, tum ghaib the. Humne gawahi di aur Allah ek cheez ke waqiyaat ke baad doosri cheez paida karta hai, aur Allah kabhi bhi Ahle Bait ko badshahi aur nabuwat ek hi waqt mein nahi deta."
Phir Imam Sadiq a.s ne mujhse farmaya:
"Main ne ye is liye zikr kiya hai taake tum zameen par Allah ke gawahon mein se ho. Beshak Rasool Allah s.a.w.a ke baad hum mein se saat (7) aise hain jo Imam ke wali (Awsiya) mein se hain. Unki ita’at wajib hai. Aur unka saatwa Qaim a.s hai (agar Allah uske liye chaahe). Beshak Allah sab kuch jaanne wala aur hikmat wala hai. Aur jo chaahe aage lata hai ya taakhir karta hai. Aur wo Aziz (naqaabil-e-shikast) aur Hakeem (hikmat wala) hai."
👈 Phir Qaim a.s ke baad Husain a.s ki aulad mein se gyarah (11) Mehdi hain.
Maine kaha:
"Mere Aqa, main aap par qurban jaun. Aap ka hukm sir aur aankhon par hai. Saatwen Imam kaun hain?"
Main ne ye sawal teen martaba dohraya.
Hazrat ne farmaya:
"Phir mere baad wo tumhara Imam aur tumhara Qaim hoga, agar Allah ne chaha."
📚 References:
Solah Usool, Asal Muhammad bin Muthanna Hadrami: Page 90-91
Hadees 7
🔵 Al-Sheikh al-Toosi fi Kitab al-Ghaybah:
الشيخ الطوسي في كتاب الغيبة: محمد بن عبد الله بن جعفر الحميری، عن أبيه، عن محمد بن عبد الحميد ومحمد بن عيسى، عن محمد بن الفضيل، عن أبي حمزة، عن أبي عبد االله(ع) في حديث طويل أنه قال: يا أبا حمزة، إن منا بعد القائم أحد عشر مهدياً من ولد الحسين
Muhammad bin Abdullah bin Jafar al-Himyari, apne walid se, Muhammad bin Abdul Hameed aur Muhammad bin Isa se, jin se Muhammad bin Fazil, Abu Hamzah se riwayat karte hain. Woh Imam Jafar Sadiq a.s se ek taweel hadees mein riwayat karte hain:
Farmaya:
"Aey Abu Hamzah, Qaim ke baad hum mein se, Husain a.s ki aulaad mein se, gyarah (11) Mehdi hain."
📚 Reference:
Al-Ghaybah, Sheikh Toosi: Pages 478-479.
Hadees 8
ابن أبي حاتم في تفسيره بسنده عن كعب الأحبار، قال: هم اثنا عشر، فإذا كان عند انقضائهم فيجعل مكان اثني عشر اثنا عشر مثلهم، وكذلك وعد االله هذه الأمة فقرأ:
{ وعداللَّه الَّذين آمنوا منكُم وعملُوا الصالحات لَيستخلفَنهم فی الْأَرضِ كَما استخلَفَ الَّذین من قَبلهم}وكذلك فعل ببني إسرائيل.
🔵 Ibn Abi Haatim fi Tafsirihi bi Isnadihi 'an Ka'b al-Ahbar:
Ka’b al-Ahbar ka bayan:
Farmaya:
"Woh barah (12) hain. Jab unka waqt khatam ho jaye ga to Allah unki jagah un jese barah (12) khalifa lekar aaye ga, aur is tarah ummat se Allah ka wada pura ho jaye ga."
Jab Allah Ta'ala ne farmaya:
{Wa’adAllahu allazina aamanu minkum wa 'amilu as-saalihaati la-yastakhlifannahum fi al-ard kamaa istakhlafa allazina min qablihim.}
(Translation: Tum mein se jo log imaan laye aur nek amal kiye, Allah ne unse wada kiya ke unhein zameen mein zarur khalifa banayega jis tarah unse pehle waalon ko khalifa banaya tha.)
Aur Allah ne Bani Israel ke saath bhi aisa hi kiya.
📚 References:
Al-Noor: 55, Tafsir Ibn Abi Haatim: Jild 8, Page 2628.
Hadees 9
القاضي النعمان المغربي، قال: ومن رواية يحيى بن السلام، يرفعه إلى عبد االله بن عمر، أنه قال:
🔵 ابشروا فيوشك أيام الجبارين أن تنقطع، ثم يكون بعدهم الجابر الذي يجبر االله به أمة محمد(ع) المهدي، ثم المنصور، ثم عدد أئمة مهديين.
🔰 Al-Qadhi al-Nu'man al-Maghribi:
Qadhi Nu’man Maghribi kehte hain:
Yahya bin Salam, Abdullah bin Umar se riwayat karte hain:
Farmaya:
"Khuskhbari do ke zaalim aur jaaberoun ka waqt khatam hone wala hai. Phir unke baad ek taqatwar shakhs hai jiske zariye Allah Muhammad s.a.w.a ki ummat ko mazboot karega – Mehdi, phir Mansoor, aur unke baad Imam Mehdiyeen honge."
📚 Reference:
Sharh al-Akhbar, Qadhi Nu’man Maghribi: Jild 3, Page 400.
Hadees 10
Sheikh Toosi:
Yunus bin Abdul Rehman se riwayat karte hain:
Imam Raza a.s Sahib al-Amr ke liye is dua ke saath dua karte the:
🔵 Dua:
اللهم ادفع عن وليك وخليفتك وحجتك على خلقك… اللهم أعطه فی نفسه وأهله و 👈ولده وذريته وأمته وجميع رعيته ما تقر به عينه وتسر به نفسه وتجمع له ملك المملكات كلها قريبها و بعيدها وعزيزها وذليلها… اللهم، صل على ولاة عهده والأئمة من بعده وبلغهم آمالهم وزد فی آجالهم وأعز نصرهم وتمم لهم ما أسندت إليهم من أمرك لهم وثبت دعائمهم واجعلنا لهم أعواناً وعلى دينك أنصاراً فإم معادن كلماتك وخزان علمك وأركان توحيدك ودعائم دينك وولاة أمرك وخالصتك من عبادك وصفوتك من خلقك وأولياؤك وسلائل أوليائك وصفوة أولاد نبيك والسلام عليه وعليهم ورحمة االله وبركاته
"Allahumma idfa’ 'an Waliyyika wa Khalifatika wa Hujjatika 'ala khalqik...
(Translation: Aey Allah, apne Wali aur Khalifa aur Khalq par Hujjat se... door farma).
Farmaya:
"Aey Rab, ussay, uske ahl-o-ayaal, uski aulaad, uski nasal, uski ummat aur uski raa’iyya ko aisi cheez ataa farma jis se uski aankhon mein chamak paida ho aur use khushi ho, aur uske liye tamam door aur qareeb, mazboot aur kamzor zameenon ki hukumat jama kar."
"Aey Allah, apne ahad ke waliyon aur unke baad ke aimmah par durood bhej aur unki muraden ata farma, unki umr mein izafa kar, unki fatah ko izzat de, aur jo kuch tu ne unke supurd kiya hai usay pura kar."
"Unhein qaabil-e-hidayat banao, humen unke madadgar aur tere deen ke nusratgar mein shamil farma, jo tere kalam ki kaanein hain, tere ilm ke zakhire hain, aur tere tauheed ke buniyad hain."
📚 References:
Misbah al-Mutahajjid: Page 409, Jamal al-Usbu: Page 307.
Hadees 11
الشيخ الطوسي بسنده عن أبي الحسين محمد بن جعفر الأسدي، عن يعقوب بن يوسف الضراب الغساني في ذكر قصة طويلة واستلام دفتر فيه دعاء وصلوات وصله عن الإمام المهدي(ع) فيه:(بسم االله الرحمن الرحيم، الله صلِّ على محمد سيد المرسلين، وخاتم النبيين، وحجة رب العالمين، المنتجب في الميثاق، المصطفى في الظلال، المطهر من كل آفة، البرئ من كل عيب، المؤمل للنجاة، المرتجى للشفاعة، المفوض إليه دين االله … (إلى قوله بعد أن صلى على جميع الأئمة الاثني عشر إلى الإمام المهدي:(اللهم أعطه في نفسه وذريته وشيعته ورعيته وخاصته وعامته وعدوه وجميع أهل الدنيا ما تقر به عينه وتسر به نفسه، وبلغه أفضل ما أمله في الدنيا والآخرة إنك على كل شيء قدير … (إلى قوله : وصلَّ على وليك وولاة عهدك [عهده] والأئمة من ولده ومدفي أعمارهم وزد في آجالهم وبلغهم أقصى آمالهم ديناً ودنيا وآخرة إنك على
كل شيء قدير).
🔵 Al-Sheikh al-Toosi:
Apne sanad ke saath Abu al-Hussain Muhammad bin Jafar al-Asadi, yaqoub bin Yusuf al-Darabi al-Ghasani se ek taweel qissa riwayat karte hain. Is qisse mein aima a.s ke liye ek dua aur salawat ka zikar hai jo Imam Mehdi a.s se riwayat hui hai:
Dua:
"Bismillah-ir-Rahman-ir-Raheem. Allahumma salli 'ala Muhammad sayyid al-mursaleen wa khatam an-nabiyyeen wa hujjat Rabb al-'Aalameen... (ilaa qawlihi) Allahumma a'tihi fi nafsihi wa dhurriyyatihi wa shia'tihi wa ra'iyyatihi wa khaasatihi wa 'aammatihi wa 'aduwihi wa jamii' ahl al-dunya ma tuqirru bihi 'ainahu wa tusirru bihi nafsahu..."
Farmaya:
"Aey Allah, usay aur uski aulaad ko, uske shia'on ko, uski raaiyat ko, uske khaas aur aam logon ko, uske dushmanon ko aur tamaam duniya walon ko aisi cheez ata farma jo uski aankhon ko roshan kare aur uske dil ko khushi de."
"Aur uske ahad ke wali aur waliyan-e-ahad aur unki aulaad ke imam par durood bhej, unki umr daraz kar, unki muraden duniya aur aakhirat mein poori kar, kyun ke tu har cheez par qaadir hai."
📚 References:
Ghaybah Sheikh Toosi: Page 273 aur baad mein.
Misbah al-Mutahajjid: Page 406; Jamal al-Usbu: Pages 301-306.
Hadees 12
الشيخ الصدوق: عن الإمام الجواد(ع) أنه قال:
🔰 (إذا انصرفت من صلاة مكتوبة فقل:
رضيت باالله رباً، وبالإسلام ديناً، وبالقرآن كتاباً، وبمحمد نبياً، وبعلي ولياً، والحسن والحسين، وعلي بن الحسين، ومحمد بن علي، وجعفر بن محمد، وموسى بن جعفر، وعلي ابن موسى، ومحمدبن علي، وعلي بن محمد، والحسن بن علي، والحجة بن الحسن بن علي أئمة، اللهم وليك الحجة فاحفظه من بين يديه ومن خلفه وعن يمينه وعن شماله ومن فوقه ومن تحته، وامدد له في عمره، واجعله القائم بأمرك، المنتصر لدينك وأره ما يحب وتقر به عينه في نفسه وفي ذريته وأهله وماله
وفي شيعته وفي عدوه، وأرهم منه ما يحذرون، وأره فيهم ما يحب وتقر به عينه، واشف به صدورنا وصدور قوم مؤمنين).
🔵 Sheikh al-Sadooq (Rahmatullah alaih):
Imam Muhammad al-Jawad a.s se riwayat hai, aap ne farmaya:
Farmaya:
**"Jab tum farz namaz se farigh ho jao to yeh dua padho:
Radhitu billahi Rabb, wa bil-Islami Deen, wa bil-Qur'ani Kitab, wa bi-Muhammadin Nabiy, wa bi-Aliyan Waliy... wa bil-Hassan wal-Husayn, wa Ali bin Husayn, wa Muhammad bin Ali, wa Jafar bin Muhammad, wa Musa bin Jafar, wa Ali bin Musa, wa Muhammad bin Ali, wa Ali bin Muhammad, wa Hassan bin Ali, wa al-Hujjat ibn al-Hassan ibn Ali imma.
Aur main unse razi hoon."
Dua ka agla hissa:
"Ya Allah, ooper se, neeche se, daayen se, baayen se, aage aur peeche se apne wali ka muhafiz aur nigahbaan ho. Usay lambi umr ata farma aur apne hukm par qa’im kar, apne deen mein fatahmand bana. Aur use woh kuch dikhaye jo usay pasand ho aur uski aulaad, uska gharana aur uske shia’on ki taraf se uski aankhen roshan kare."
"Aur uske dushmanon ko jo unhein pasand nahi, woh dikhaye, aur use unke maamlaat mein woh kuch dikhaye jo uski pasand ka ho aur uski khushi ka sabab bane. Aur uske zariye hamare dil aur momineen ke dilon ko shifa de."
📚 References:
Man La Yahduruhu al-Faqih: Jild 1, Page 327; Al-Kafi: Jild 2, Page 548.
Hadees 13
السيد ابن طاووس قال: وقد اخترنا ما ذكره ابن أبي قرة في كتابه ، فقال بإسناده إلى علي بن الحسن بن علي بن فضال ، عن محمد بن عيسى بن عبيد ، بإسناده عن الصالحين ، قال: وكرر في ليلة ثلاث وعشرين من شهر رمضان قائماً وقاعداً وعلى كل حال، والشهر كله، وكيف أمكنك، ومتى حضرك في دهرك، تقول بعد تمجيد االله تعالى والصلاة على النبي وآله عليهم السلام: (وكرر في ليلة ثلاث وعشرين من شهر رمضان قائماً وقاعداً، وعلى كل حال، والشهر كله وكيف أمكنك، ومتى حضرك في دهرك، تقول بعد تمجيد الله تعالى والصلاة على النبي وآله عليهم السلام:
🔵 اللهم كن لوليك القائم بأمرك، محمد بن الحسن المهدي عليه وعلى آبائه أفضل الصلاة والسلام، في
هذه الساعة وفي كل ساعة، ولياً وحافظاً وقائداً وناصراً ودليلاً ومؤيداً، حتى تسكنه أرضك طوعاً، وتمتعه فيها طولاً وعرضاً، وتجعله وذريته من الأئمة الوارثين …).
🔰 Sayyid Ibn Tawus kehte hain:
Ibn Abi Qarrah ne apni kitaab mein jo zikr kiya hai, hum ne us mein se kuch intekhaab kiya. Ali bin Hasan bin Ali bin Fazal ka hawala dete hue, Muhammad bin Isa bin Ubaid ki sanad se, saliheen ki riwayat par jo kehte hain:
"Ramadan-ul-Mubarak ki teesween raat ko, chahe aap baithe ho ya khade ho, kisi bhi haalat mein ho, aur is mahine ke dauraan jitna mumkin ho, aur apni zindagi ke kisi bhi waqt jab aap kar sako, Allah Ta’ala ki tasbeeh karne ke baad aur Muhammad s.a.w.a aur unki Aale-Muhammad par salam ke baad ye dua karo:
🔵 Allahumma kun li waliyyika al-qa’im bi amrika, Muhammad ibn al-Hasan al-Mahdi (alaihi wa ala aabaihi afdal as-salati was-salam), fi hadhihis sa'ah wa fi kulli sa'ah, waliyyan wa hafizan wa qa’idan wa nasiran wa dalilan wa muayyidan, hatta tuskinahu ardhaka taw’an, wa tumatti’ahu feeha toulan wa ‘ardan, wa taj’alahu wa dhurriyyatahu min al-a’immah al-waritheen.”
Tafsir:
"Ae Allah, apne wali ke liye, jo tere amr ka qa’im hai, Muhammad bin Hasan Mahdi a.s – un par aur unke aabaa par salam ho – is ghadi mein aur har ghadi mein, maalik aur muhafiz aur rehnuma aur madadgar aur hidayat dene wala aur uska manzoor karne wala ban, jab tak ke tu usay apni zameen par apni pasand ke mutabiq mustaqil kare aur use zameen mein lambai aur chowdai ke lehaz se barakat ata kare. Aur use aur uski aulad ko zameen ka waaris aur imam banade."
📚 Iqbal al-A'mal: Jild 1, Page 191
Bihar al-Anwar: Jild 94, Page 349
Mikyal al-Makarim al-Isfahani: Jild 2, Page 38.
Hadees 14
🔰 Allama Majlisi ek taweel dua mein farmate hain:
Humare peshrawon ke kaamon ke purane nuskhon mein likha hai:
(اللهم كن لوليك فی خلقك ولياً وحافظاً و قائداً وناصراً حتى تسكنه أرضك طوعاً، وتمتعه منها طولاً، وتجعله وذريته فيها الأئمة الوارثين، واجمع له شمله، وأكمل له أمره، وأصلح له رعيته، وثبت ركنه، وافرغ الصبر منك عليه، حتى ينتقم فيشتفى ويشفی حزازات قلوب نغلة،وحرارات صدور وغرة، وحسرات أنفس ترحة، من دماء مسفوكة، وأرحام مقطوعة [وطاعة] مجهولة، قد أحسنت إليه البلاء، ووسعت عليه الآلاء، وأتممت عليه النعماء، فی حسن الحفظ منك له…).
🔵 Allahumma kun li waliyyika fi khalqika waliyyan wa hafizan wa qa’idan wa nasiran hatta tuskinahu ardhaka taw’an, wa tumatti’ahu minha toulan, wa taj’alahu wa dhurriyyatahu feeha al-a’immah al-waritheen, wa ajma’ lahu shamla, wa akmil lahu amrah, wa aslih lahu ra’iyyatahu, wa thabbit ruknahu, wa afrigh as-sabra minka alaihi, hatta yantaqim fa yushta wa yushfi hazazat quloobin naghila, wa hararat sudoorin waghara, wa hasarat anfusin tarha, min dimaa’in masfookah, wa arham maqtoo’ah [wa taa’atin] majhoolah. Qad ahsanta ilayhi al-balaa, wa wassa’ta alaihi al-alaa, wa atmamta alaihi al-ni’maa fi husn al-hifz minka lahu..."
Tafsir:
"Ae Allah, tere wali ke liye, teri makhluq ke darmiyan nigahbaan aur sarparast aur rehnuma aur madadgar ban, jab tak ke tu usay apni pasand ke mutaabiq apni zameen par mustaqil kare aur usay uski zameen mein lambaayi aur chohraayi ke lehaz se barakat ata kare. Aur usko aur uski aulad ko zameen ke waaris banaade, uske liye asaniyan jama karde, uska kaam mukammal karde, uske maahtahat logon ki islah farma, uske ruqn ko mustahkam karde aur usay apni taraf se sabr ataa kar, taake wo badla le aur zakhmi diloun ke tukdoun ko shifa de.
Aur ghussa bharey seenoun ki jalan ko sukoon de, (ye sab) bayhte huye khoon aur rishtedaaroun se tootne aur na maloom logoun ki itaayat payda huye hai. Beshak tu ne uske liye museebat ko khoobsurat banaya, uske liye rizq faraaham kiya aur uske liye apni taraf se barkat aur nemat mukammal ki.bhalaayi ko barqaraar rakhte huye, apni taraf se uske liye…."
📚 Bihar al-Anwar: Jild 86, Pages 333-340.
Hadees 15
Mirza-e-Noori ne Najm-us-Saqib, Jild 2, Safha 70 mein likha hai:
Haaroon ibn Musa ki kitaab (Majmooa-e-Da'wat) se kitaab (Mazaar) aur Bihar-ul-Anwar ke ikhtitam ka hawala diya hai. Usne Rasool Allah ﷺ aur Aaimmah Masoomeen a.s par ek-ek kar ke taweel durood o salaam naql kiya hai. Hujjat a.s par durood o salaam ke baad, Hujjat a.s ke waliyan-e-ahd aur unki aulaad mein se imamoun par salaam ka zikr hai:
(السلام علی ولاة عهده والائمه من ولده، اللهم صل عليهم وبلغهم امالهم وزدفی اجالهم واعز نصرهم وتمم لهم ما اسندت من امرك واجعلنا لهم اعواناً وعلی دينك انصاراً فانهم معادن کلماتك وخزائن علمك وارکان توحيدك ودعائم دينك وولاة امرك وخلصائك من عبادك وصفوتك من خلقك واوليائك وسلاسل اوليائك وصفوة أولاد أصفيائك، وبلّغهم منا التحیة والسلام، واردد علينا منهم السلام، والسلام عليهم ورحمة االله وبركاته).
🔵
As-Salaamu 'ala Walat-e-Ahdehi wal-A’immah min Waldehi, Allahumma Salli 'alayhim wa ballighum Amaalahum wa zid fi Ajaalahum wa 'Azz Nasrahum wa tammim Lahum ma Asnadt min Amrika, waj’alna Lahum A'waanan wa 'ala Deenika Ansaraan, fa-innahum Ma’aadin Kalimaatuka wa Khaza’in ‘Ilmika wa Arkaan Tawheedika wa Da’a’im Deenika wa Walat-e-Amrika wa Khullasa’ika min Ibaadika wa Safwataka min Khalqika wa Awliya’ika wa Salsil Awliya’ika wa Safwat Aulad Asfiya’ika, wa ballighhum Minna at-Tahiyyah was-Salaam, wa arudd ‘alayna Minhum as-Salaam, was-Salaamu 'alayhim wa Rahmatullahi wa Barakaatuh.
Tafsir:
"Salam ho un ke waliyan-e-ahd par aur unki aulaad ke imamoun par. Ae Allah, un par durood bhej, unki tamaam khwahishaat poori kar, unki umr mein izafa farma, unki fatah ko izzat bakhsh, aur jo kuch tu ne apne amr se un ke sapurd kiya hai use mukammal kar.
Aur humein unke saathiyon aur tere deen ke madadgaaron mein shamil kar, kyunke woh tere kalimat ke ma’adin hain, tere ilm ke khazane hain, tere tawheed ki buniyad hain, tere deen ke da’aim hain, tere amr ke wali hain, aur tere khaas bande, aur tere muntakhab aur asfiya ki aulaad mein se hain. Un par hamaara salam pohuncha aur un ka salam hamaari taraf wapas phirade. Allah ka salam aur rehmat un par barhawaqar ho."
📚 Bihar-ul-Anwar: Jild 99, Safha 228.
Hadees 16
Kitaab Fiqh-ur-Raza a.s mein aaya hai:
Yeh dua Witr ki namaz mein shamil hai aur iske baare mein kaha gaya hai ke yeh ek dua hai jo hum Ahl-e-Bayt a.s daurate rehte hain:
🔵 (…اللهم صل عليه وعلى آله من آل طه و يس، واخصص وليك، ووصی نبيك، وأخا رسولك، و وزيره، و ولی عهده، إمام المتقين، وخاتم الوصيين، لخاتم النبيين محمد(ص) وابنته البتول، وعلى سيدی شباب أهل الجنة من الأولين والآخرين، وعلى الأئمة الراشدين المهديين، السالفين الماضين، وعلى النقباء الأتقياء البررة الأئمة الفاضلين الباقين، وعلى بقيتك فی أرضك، القائم بالحق فی اليوم الموعود، وعلى الفاضلين المهديين الأمناء الخزنة)
🔵
Allahumma Salli 'alayhi wa 'ala Aalihi min Aal-e-Taha wa Yaseen, wa akhassis Waliyaka, wa Wasi Nabi’ika, wa Akha Rasoolika, wa Wazirahu, wa Wali Ahdehi, Imaam al-Muttaqeen, wa Khatim al-Wasiyyeen, li Khatim an-Nabiyyeen Muhammad (S.A.W.), wa bintahu al-Batul, wa 'ala Sayyiday Shabaab-e-Ahlil Jannah min al-Awwaleen wal-Aakhireen, wa 'ala A’immah al-Rashideen al-Mahdiyeen, as-Saalifeen al-Maaziyyeen, wa 'ala an-Nuqabaa al-Atqiyaa al-Barrarah al-A’immah al-Faadhileen al-Baaqeen, wa 'ala Baqiyyatika fi Ardhika, al-Qaaim bil-Haqq fil-Yawm al-Maw’ood, wa 'ala al-Fadhileen al-Mahdiyeen al-Aminaa al-Khuzanah.
Tafsir:
"Ae Allah, un par aur unki aal par jo Aal-e-Taha aur Yaseen mein se hain, durood bhej. Apne wali aur apne Nabi ke wasi, apne Rasool ke bhai, unke Wazir aur Wali Ahdehi, mutaqiyon ke imam aur wasiyon ke khatam ke liye jo Nabiyeen ke khatam Muhammad ﷺ hain, aur unki beti Batool, aur jannat ke pehle aur aakhri ke do sardaron par bhi.
Mahdiyeen ke raashideen, guzre huye aur neik perhizgaar qaideen, aur baaqi rehne wale fazilat wale a’immah aur apni zameen mein baqi rehne wale, waade ke din qayam bil-haqq aur Mahdiyeen ke buzurg amaanatdar hain."
📚 Fiqh-ur-Raza: Safha 402.
Hadees 17
Allama Majlisi ne Imam Mahdi a.s ki ziyarat mein ek dua ka zikr kiya hai:
Jab ziyarat ki namaz ada kar lein jo pehli ziyarat mein wazeh ki gayi thi, phir jab aap us se farigh ho jaayein to yeh kahe:
(اللهم صلِّ على محمد واهل بيته، الهادين المهديين، العلماء الصادقين، الاوصياء المرضيين، دعائم دينك، وأركان توحيدك، وتراجمة وحيك، وحججك على خلقك، وخلفائك فی أرضك، فهم الذين اخترم لنفسك، واصطفيتهم على عبادك، وارتضيتهم لدينك، وخصصتهم بمعرفتك، وجللتهم بكرامتك، وغذيتهم بحكمتك، وغشيتهم برحمتك، وزينتهم بنعمتك، وألبستهم من نورك ورفعتهم فی ملكوتك، وحففتهم بملائكتك، وشرفتهم بنبيك. اللهم صلِّ على محمد وعليهم صلاة زاكية نامية، كثيرة طيبة دائمة، لا يحيط ا إلا أنت، ولا يسعها إلا علمك، ولا يحصيها أحد غيرك.
اللهم صلِّ على وليك المحيی لسنتك، القائم بأمرك، الداعی إليك، الدليل عليك، وحجتك على خلقك، وخليفتك فی أرضك، وشاهدك على عبادك. اللهم أعز نصره، وامدد فی
عمره، وزين الأرض بطول بقائه، اللهم اكفه بغی الحاسدين، وأعذه من شر الكائدين، وازجر عنه إرادة الظالمين، وخلصه من أيدی الجبارين، اللهم أعطه فی نفسه 👈 وذريته، وشيعته ورعيته، وخاصته وعامته، ومن جميع أهل الدنيا ما تقر به عينه، وتسر به نفسه، وبلغه أفضل أمله فی الدنيا والآخرة إنك على كل شئ قدير).
🔵
Allahumma salli 'ala Muhammad wa Ahl Baytihi, al-hadīn al-mahdiyyīn, al-'ulama al-sadiqīn, al-awsiya al-mardiyyīn, da'aim dinik, wa arkan tawhidik, wa turajamat wahyik, wa hujjajak 'ala khalqik, wa khulafa'ika fi ardhik. Fahum alladhīna ikhtartahum linafsik, wa istafaytahum 'ala 'ibadik, wa irtadaytahum li-dīnik, wa khassastahum bima'rifatika, wa jallaltahum bikarāmatika, wa ghadhaytahum bihikmatika, wa ghashaytahum birahmatika, wa zayyanthahum bini'matika, wa albasthahum min nurik, wa rafa'tahum fi malakutik, wa hafafthahum bimalā'ikatika, wa sharraftahum binabiyyik.
Allahumma salli 'ala Muhammad wa 'alayhim salatan zakiyatan namiatan, kathīratan tayyibatan daimatan, la yuhitu biha illa Anta, wa la yasa'uha illa 'ilmuk, wa la yuhsīha ahad ghayruk.
Allahumma salli 'ala waliyyika al-muhyi li-sunnatik, al-qa'im bi-amrik, al-da'i ilayk, al-dalīl 'alayk, wa hujjatika 'ala khalqik, wa khalifatika fi ardhik, wa shahidika 'ala 'ibadik.
Allahumma a'iz nusratahu, wa amdid fi 'umrihi, wa zayyin al-ard bi-tool baqa'ihi.
Allahumma ikfihi baghī al-hasidīn, wa a’idhhu min shar al-ka'idīn, wa azjir 'anhu iradat al-zalimin, wa khallis'hu min aydi al-jabbārīn.
Allahumma a'tihi fi nafsihi 👈 wa dhurriyyatihi, wa shī'atihi wa ra'iyyatihi, wa khasatihi wa 'ammatihi, wa min jami' ahl al-dunya ma taqirru bihi 'aynahu, wa tusirru bihi nafsahu, wa ballighhu afdal amalihi fi al-dunya wa al-akhirah innaka 'ala kulli shay'in qadeer.
Tafsir:
(Aye Allah Muhammad aur un ki Aal par darood bhej, hidaayat yafta rehnuma (Mehdiyeen), sachay ulema, awsiya jin se Allah raazi hai, teray deen ke buzurgon, tauheed ki bunyadon, aur wahi ke mutarjimoun, aur teri makhlooq par hujjat aur zameen mein teray janasheen, Ye woh hain jin ko tu ne apne liye muntakhib kiya, tu ne unhein apne bandon par chuna, aur tu ne unhein apne deen ke liye pasand kiya, aur tu ne unhein apne ilm se khaas kiya, tu ne unhein apne waqar aur karamat ke sath pala, tu ne apni hikmat se unki parwarish ki aur apni rehmat se unhein dhaanp liya, aur tu ne unhein apne fazl se sajaya, aur apne noor se dhaanp liya, aur tu ne unhein apni malakoot mein uthaya, aur tu ne unhein apne farishton se ghera diya. Aur tu ne apne Nabi ke sath unhein sharafat di.
Aye Allah, Muhammad s.a.w.a aur un par ek aisi pakeeza aur barhnay wali aur kasrat aur pak aur hamesha rehne wali darood naazil farma jisay tere siwa koi nahi gher sakta. Aur tere ilm ke siwa koi isay nahi gher sakta aur aap ke ilawa kisi ne ise shumaar nahi kiya.
Aye Khuda, apne wali par jo teri sunnat ko zinda karta hai durood bhej, tere hukm par uthne wala, teri taraf dawat dene wala, teri taraf rehnumai karne wala, teri makhluqat par hujjat aur teri zameen par tera janashin, aur tere bandon par tera gawah, AyeAllah uski fatah ko izzat bakhsh aur uski umr taweel farma, zameen ko uski saari zindagi ke dauraaniye mein saja de.
Aye Allah usay hasidon ke zulm se bacha, usay dhokay baazon ke shar se apni panah mein le, aur usay zalimon ki khwahishat se rok, aur usay zalimon ke haath se bacha.
Aye Allah is khud ko aur iski aulaad ko aur iske shiyon ko aur iski riaya ko aur iske khaas o aam logon ko aur tamam duniya ke logon ko aisi cheez ata farma jis se uski aankhon ki thandak ho aur usay khushi ho aur uski duniya aur aakhirat mein uski aala tamannayein poori ho kyunke tu har cheez par qadir hai.)
📚 Bihar-ul-Anwar: Jild 99, Safha 100-101.
Hadees 18
القاضی النعمان المغربی، عن النبي اکرم(ص) أنه ذكر المهدي(ع) وما يجريه الله من الخيرات والفتح على يديه. فقيل له: يا رسول الله كل هذا يجمعه الله له ؟
قال: (نعم. و ما لم يكن منه في حياته و أيامه هو كائن في أيام 👈 الأئمة من بعده من ذريته).
⚫️ Al-Qazi al-Nu'man al-Maghribi ne Nabi Akram ﷺ se riwayat ki:
Rasool Allah ﷺ Imam Mahdi a.s ke baare mein aur woh barakatain aur khairaat aur fatah jo Allah unke haathon se zahir karega, bayan kar rahe the. Sawal kiya gaya: "Ya Rasool Allah ﷺ, kya Allah in tamam maamlaat unke haathon se karega?"
Aap ﷺ ne farmaya:
"Haan, lekin yeh sab kuch unki zindagi mein nahi hoga, balke unke baad unki aulaad mein se aane wale a'immah ke zamane mein hoga."
📚 Al-Qazi al-Nu'man al-Maghribi fi Sharh al-Akhbar, Jild 2, Safha 42.
Hadees 19
ابن قولويه: حدثني أبي ، عن سعد بن عبد االله ، عن أبي عبد الله محمد بن أبي عبد الله الرازي الجاموراني، عن الحسين بن سيف بن عميرة ، عن أبيه سيف ، عن أبي بكر الحضرمي ، عن أبي
جعفر(ع) قال: قلت له: إي بقاع الأرض أفضل بعد حرم االله وحرم رسوله فقال:
🔰( الكوفة يا أبا بكر، هي الزكية الطاهرة، فيها قبور النبيين المرسلين وغير المرسلين والأوصياء الصادقين، وفيها مسجد سهيل الذي لم يبعث االله نبياً إلا وقد صلى فيه، ومنها يظهر عدل االله، و فيها يكون 👈 قائمه والقوام من بعده♦️
وهي منازل النبيين والأوصياء والصالحين).
⚫️ Ibn Qulawayh:
Mujhe mere walid ne, Sa'd bin Abdullah ne, Abu Abdullah Muhammad bin Abu Abdullah al-Razi al-Jamurani ke zariye, Hussain bin Saif bin Umairah, unke walid Saif ke zariye, Abu Bakr al-Hadhrami ke zariye, Imam Baqir a.s se riwayat ki:
Unse poocha gaya: "Kaunsa mazaar, Allah ke Haram aur Rasool ke Haram se zyada fazilat wala hai?"
Hazrat ne farmaya:
Kufa, Ae Abu Bakr, woh sarzameen paak-o-pakeeza hai. Us mein sachche marasil aur ghair-marasil anbiya aur awsiya ki qabrain hain. Aur isi mein Masjid-e-Suhail hai, jo ke Allah Ta'ala ne koi nabi nahi bheja magar usne wahaan namaz padhi.
Aur isi jagah se Allah ka insaaf zahir hota hai, aur isi mein uska Qa’im aur unke baad aane waale quwaam honge.
Aur yeh anbiya, awsiya aur saalihin ka ghar hai."**
📚 Kamil al-Ziyarat, Ja'far bin Muhammad bin Qulawayh: Safha 76.
Hadees 20
الشيخ الطوسي بسنده عن المفضل بن عمر، قال: سمعت أبا عبد االله(ع) يقول:
⚫️ (إن لصاحب هذا الأمر غيبتين، إحداهما تطول حتى يقول بعضهم: مات، ويقول بعضهم: قتل، ويقول بعضهم:
ذهب، حتى لا يبقى على أمره من أصحابه إلا نفر يسير لا يطلع على موضعه أحد من ولده ولا غيره،
👈إلا المولى الذي يلي أمره).
Shaykh al-Tusi apni sanad ke zariye Mufaddal bin Umar se riwayat karte hain:
Maine Abu Abdullah Imam Ja'far Sadiq a.s ko yeh farmaate hue suna:
⚫️
*"Is amr ke malik (Sahib-e-Amr) ke liye do ghaybaten hongi, jin mein se ek itni deer tak rahegi ke log kahenge: woh mar gaya, kuch log kahenge: woh qatal kar diya gaya, aur kuch log kahenge: woh chala gaya.
Jab tak ke uske saathiyon mein se koi uske amr par baqi na rahe siwaye chand logon ke. Koi bhi uske thikane ki khabar nahi rakhega, na uski aulaad mein se aur na hi doosron mein se siwaye us Moula la ke jiske Amr ki taameel hoti hai
📚 Ghaybat, Shaykh al-Tusi: Safha 161-162, Hadees 120.
Hadees 21
🔰 عن المفضل، عن أبي عبد الله(ع) قال: قال الله :
⚫️ افترضت على عبادي عشرة فرائض، إذا عرفوها أسكنتهم ملكوتي وأبحتهم جناني.
🔷أولها: معرفتي.
🔷والثانية: معرفة رسولي إلى خلقي، والإقرار به، والتصديق له.
🔷والثالثة: معرفة أوليائي وأم الحجج على خلقي، من والاهم فقد والاني، ومن عاداهم فقد عاداني، وهم العلم فيما بيني وبين خلقي، ومن أنكرهم أصليته [أدخلته] ناري وضاعفت عليه عذابي.
🔷والرابعة: معرفة الأشخاص الذين أقيموا من ضياء قدسي، وهم 👈 قوام قسطي.
🔷والخامسة: معرفة القوام بفضلهم والتصديق لهم.
🔷والسادسة: معرفة عدوي إبليس وما كان من ذاته وأعوانه.
🔷والسابعة: قبول أمري والتصديق لرسلي.
🔷والثامنة: كتمان سري وسر أوليائي.
🔷والتاسعة: تعظيم أهل صفوتي والقبول عنهم والرد إليهم فيما اختلفتم فيه حتى يخرج الشرع
[الشرح] منهم.
🔷والعاشرة: أن يكون هو وأخوه في الدين شرعاً سواء، فإذا كانوا كذلك أدخلتهم ملكوتي وآمنتهم من الفزع الأكبر وكانوا عندي في عليين).
🔰 Anil Mufaddal, an Abi Abdullah a.s qaal: Allah Ta'ala farmata hai:
⚫️ "Maine apne bandon par 10 faraiz wajib kiye hain. Agar woh unhein jaan lein, toh main unhein apni Malakoot mein jagah doonga aur apni jannat unke liye halal kar dunga."
🔷 Pehla: Meri ma'arifat (pehchaan).
🔷 Doosra: Meri makhlooq mein mere Rasool ka pehchaanna, uska iqraar aur tasdeeq.
🔷 Teesra: Mere awliya ki ma'arifat, aur yeh meri makhlooq par meri hujjat hain. Jo unse dosti karega, woh mera dost hai; aur jo unka dushman hoga, woh mera dushman hai. Jo unhein inkaar karega, main usey jahannum mein daakhil karunga aur uska azaab mazeed barhunga.
🔷 Choutha: Un logon ki ma'arifat jo mere Qudsi Noor se uthe hain aur jo mere insaaf ke qa’im hain.
🔷 Paanchwa: Qa’imon ke fazail ka ilm aur unki tasdeeq.
🔷 Chhata: Mere dushman, Shaitan, aur uske saathiyon ki fitrat aur haqiqat ko samajhna.
🔷 Saathwa: Mere hukum ki qabooliyat aur mere Rasoolon ki tasdeeq.
🔷 Aathwa: Mere aur mere awliya ke sirr ko chupana aur uski hifazat karna.
🔷 Nauwaan: Mere muntakhib logon ki ta’zeem karna, unse ilm lena, aur unke pas har ikhtilaaf lay jana, jab tak unki taraf se maslak zahir na ho.
🔷 Daswaan: Apne mazhabi bhai ke saath barabar ka sulook karna. Agar woh aisa karein, toh main unhein apni Malakoot mein le jaunga, unhein barhe khauf se mehfooz rakhunga, aur woh mere nazdeek unchi martaboun par honge."
📚 Tamhees, Muhammad ibn Hammam al-Iskafi: Safha 69; Bihar al-Anwar, Jild 66, Safha 13; Mustadrak Safinat al-Bihar, Jild 7, Safha 173-174.
Hadees 22
🔰 الراوندي في قصص الأنبياء، بسنده عن أبي بصير، عن أبي عبد الله(ع) قال: قال لي:
⚫️ يا أبا محمد، كأني أرى نزول القائم(ع) في مسجد السهلة 👈 بأهله وعياله.♦️ قلت: يكون منزله جعلت فداك ؟ قال: نعم، كان فيه منزل إدريس، وكان منزل إبراهيم خليل الرحمن(ع) وما بعث الله نبياً إلا وقد صلى فيه، وفيه مسكن).
🔰 Al-Rawandi fi Qisas al-Anbiya, bisnadihi an Abi Basir, an Abi Abdullah a.s qaal:
Imam Ja’far Sadiq a.s ne farmaya:
⚫️ "Ya Aba Muhammad, mujhe aisa lagta hai ke main Qa’im a.s ko unke ghar walon aur bachon ke saath Masjid-e-Sahla mein nazil hota dekh raha hoon."
Maine kaha: "Main aap par qurbaan jaaun, kya unka ghar wahaan hai?"
Aap ne farmaya: "Haan, yeh woh jagah hai jahan Idris aur Ibrahim Khalil-ur-Rahman a.s ka ghar tha. Allah ne kisi nabi ko nahi bheja magar usne wahaan namaz padhi aur us mein rehta tha."
📚 Qisas al-Anbiya, al-Rawandi: Safha 84; Mazar, al-Mashhadi: Safha 134; Bihar al-Anwar, Jild 52, Safha 317-376; Mustadrak al-Wasa’il, Mirza al-Nuri: Jild 3, Safha 417.
Hadees 23
🔰 الشيخ الطوسي: الفضل بن شاذان، عن عثمان بن عيسى، عن صالح بن أبي الأسود، عن أبي عبد الله(ع) قال:
⚫️ ذكر مسجد السهلة فقال: (أما إنه منزل صاحبنا إذا قدم 👈 بأهله♦️).
🔰 Shaikh Tusi: Fazl bin Shazan, Usman bin Isa, Saleh bin Abi Aswad se, Imam Jafar Sadiq a.s ka farman:
⚫️ Imam ne Masjid-e-Sahla ka zikr karte hue farmaya:
(Lekin wo hamare Saahib ka gher hai jab woh apne ghar walon ke saath aayein.)
📚 Misbah, Kaf'ami: Safha 692, Tas-heeh Sheikh Hussain A'lami, Muassasa A'lami, Chhap Doosra, 1424 Hijri.
Hadees 24
🔰 جاء في رواية المفضل بن عمر عن الصادق(ع) في أمر القائم(ع)…) قال المفضل: فما يصنع بأهل مكة ؟
⚫️ قال: يدعوهم بالحكمة والموعظة الحسنة، فيطيعونه ويستخلف فيهم رجلاً من اهلبيته، ويخرج يريد المدينة …).
🔰 Mufaddal bin Umar, Imam Sadiq a.s se qa’im a.s ke baare mein puchte hain:
Mufaddal ne kaha: "Makkah ke logon ke saath Qa’im kya karega?"
⚫️ Aap a.s ne farmaya:
(Woh unhein hikmat aur achhi naseehat ke saath dawat denge. Phir woh unki itaat karenge, aur Qa’im apne Ahle Bait mein se ek shakhs ko unke darmiyan khaleefa muqarrar karenge. Phir woh khud Madinah ki taraf rawana ho jaenge.)
📚 Bihar al-Anwar: Jild 53, Safha 11.
Hadees 25
🔰 Imam Hasan Askari a.s ka qasid, Qasim bin Ala Hamdani ke paas aaya aur kaha ke Rasool Allah s.a.w.a ne farmaya:
(Hamaare Maula Husain bin Ali a.s Shaban ke teesre din, Jumeraat ke roz paida hue. To is din roza rakho aur yeh dua padho:)
⚫️ اللهم إنی أسألك بحق المولود فی هذا اليوم، الموعود بشهادته قبل استهلاله وولادته، بكته السماء ومن فيها والأرض ومن عليها، ولما يطأ لابتيها، قتيل العبرة، وسيد الأسرة، الممدود بالنصرة يوم الكرة، المعوض من قتله أنّ الأئمة من نسله، والشفاء فی تربته، والفوز معه فی أوبته،
👈 والاوصياء من عترته بعد قائمهم♦️ وغيبته، حتى يدركوا الأوتار، ويثأروا الثار، ويرضوا الجبار، ويكونوا خير أنصار، صلى الله عليهم مع اختلاف الليل والنهار… واجعلنا ممن يسلم لأمره، ويكثر الصلاة عليه عند ذكره 👈 وعلى جميع اوصيائه♦️ وأهل أصفيائه الممدودين منك 👈 بالعدد الاثنی عشر النجوم الزهر والحجج على جميع البشر…).♦️
⚫️ (Allahumma inni asaluka bihaqqil maulood fi haazal yaum, almawood bi shahadatehi qabl istihlalihi wa wiladatihi, bakathu assama’u wa man fiha walard wa man alaiha, walam yati ala labatayiha, qateelul abra, wa sayyidul usra, almawdood bin nasra yaumal karra, almuawwadh min qatlahi anna al-a’imma min naslih, wash-shifa fi turbatah, wal-fawz ma’ahu fi awbatih, wal-awsiyah min i’tratah ba’da qa’imihim wa ghaybatih, hatta yudriku al-awtar wa yatharu ath-thar, wa yardawu al-jabbar, wa yakunu khair ansar, salla Allahu alaihim ma’akhtilaf al-laili wa al-nahar… waj’alna mimman yusallimu li amrihi, wa yukthiru as-salata alaihi inda dhikrihi wa ala jamee’ awsiya’ihi wa ahli asfiya’ihi almamdoodina minka bil adad athna ashar al-nujoom az-zahr wal-hujaj ala jamee’ albashar…)
. (Khuda, us din ke maulood ke haq mein, jis ki shahadat ka wada us ki paidaish se pehle kiya gaya tha ke asmaan aur us mein jo kuch hai aur zameen aur jo kuch is par hai us par roya. Ansoo'on ka maqtul aur khandan ka sarwar, jis ko wapsi ke din daimi fatah milegi, uske qatal ka badla, imamat unki nasal se hai, aur shifa uski mitti mein hai, aur uski wapsi mein nijaat uske sath hogi.
Aur unke khandan mein se awsiya unke qaim aur uski ghaibat ke baad mein honge.
Us waqt tak ke woh(Teer) kamaanein uthayenge aur inteqam ke liye jayenge aur Allah Jabbaar ko raazi karenge aur behtareen as-haab banenge, din raat ki gardish mein Allah ka durood un par ho… aur humein uske hukm ke taabedaaron mein shamil farma aur jab use yaad karein to us par aur uske tamam awsiya par aur uske pakeeza log jo aap se phailay hain par kasrat se salam bhejna.Ke aap ne unhein barah roshan sitaaron mein shumaar kiya hai aur tamam bani no-e-insan ke liye ek hujjat hai...)♦️
📚 Misbah al-Mutahajid: Safha 826; Mukhtasar Basa’ir al-Darajat: Safha 34-35; Mazar, al-Mashhadi: Safha 397-398; Iqbal.
Hadees 26
🔰 Sheikh Ali Yazdi Hairi ne "Ilzam al-Nasib" mein kaha ke Sayyid, thiqa, aur jaleel faqih, Nimatullah Jazairi ne apni kuch talifat mein Ameer-ul-Momineen Ali a.s ki ek tawil hadees Ibn Abbas se riwayat ki:
Aap a.s ne farmaya:
(Poocho aur jawab suno ge). Usne kaha: Aye Ameer-ul-Momineen, mujhe Rab ke woh alfaaz batayiye jo farmaya: (Hum ne ise Shab-e-Qadr mein naazil kiya)).
Usne kaha: (Haan, bhi, tum mere ilawa kisi aur se poochte!)
Farmaya: (Unko koi ilm nahi, yeh ek ilm hai jise sirf Nabi aur Wasi hi jaante hain).
Aap a.s ne farmaya: (Hum ne ise Shab-e-Qadr mein nazil kiya, yeh duniya par Noor ka nuzool hai).
Farmaya: (Kaise?)
Aap a.s ne Farmaya: Jab Khuda Arsh par aaya to usne chaha ke hamare Noor se Noor chamke, aur hamara Noor uske Noor se tha, chunanche Khuda ne Noor ko bolne ka hukm diya, aur Noor ne bhi Arsh ke gird kalaam kiya.
To farishton ne isay suna aur woh hamare Noorani kalaam ki mithaas ke aage sajda rez ho gaye.
Aur iska naam is tarah Qadr rakha gaya hai aur yeh hamare liye aur hamare chahne walon ke liye hai aur is mein hamare siwa kisi ka hissa nahi hai.
Hamare Noor Arsh-e-Ilahi mein barhta aur chamak raha tha aur farishte har waqt ham par salam bhej rahe the.
Jab Allah Ta’ala ne Adam A.S ko paida kiya to usne apna sar uthaya aur hamare Noor ki taraf dekha aur kaha: Aye mere Khuda, mere Rab, tere Arsh ke neeche inka Noor kab se hai?
Allah Ta’ala ne farmaya: Aye Adam, chobees hazar saal is se pehle ke main tumhe aur aasmanon, zameenon, pahaardoun, samandaron, jannat aur jahannum ko paida karoon aur tum bhi inki kuch roshniyon mein ho.
Chunaanche jab Adam zameen par utre to duniya tareek thi.
To Adam ne kaha: Apne Rab ke hukm se.
(Kya tum jaante ho ke yeh kaun si ijazat hai?)
Farmaya: Nahi
Aap a.s ne Farmaya: Khuda ne Jibraeel ke zariye yeh wahi ki ke: Parwardigar, Muhammad aur Ali ke haq mein, aisa na ho ke tum meri taraf Noor wapas na kar do, to Khuda-e-Buzurg-o-Bartar ne isay duniya mein bheja aur Adam hamare Noor se munawwar ho gaye aur is tarah ise (is raat ko) Shab-e-Qadr kaha gaya.
Aur jab Adam a.s duniya mein chaar sau saal rahe to Allah Ta’ala ne unpar Noor ka ek taboot nazil farmaya jis ke barah darwaaze the
Har darwaaze ke liye Qaim ki taraf se ek Wasi tha, jinhnon ne Nabioun jaisa sulook kiya.
Adam ne kaha: Khuda, yeh kaun hain?
Aap ne farmaya: Aye Adam tum sabse pehle Nabi ho, doosray Nuh, teesray Ibrahim, chauthay Musa, paanchwen Isa, aur chattay Muhammad Khatam-ul-Anbiya hain.
Aur inke Awsia mein se pehla tumhara beta Shees hai, doosra Saam bin Nuh, teesra Ismail bin Ibrahim, chautha Yusha bin Nun, paanchwan Shamoon Safa, aur chhata Ali bin Abi Talib hai, aur in mein se aakhri Qaim, Muhammad ka beta hai jis ke zariye main apna deen zahir karta hoon.
Aur main ise tamam mazhabon par ghalib karunga, agarche mushrik bhi hichkichate hain.
Phir Adam ne taboot Shees ke hawale kar diye aur wafat pa gaye.
Yeh is tarah tha ke Allah Ta’ala ne farmaya: (Hum ne ise Shab-e-Qadr mein nazil kiya hai.* Aur tumhein kaise maaloom ke Shab-e-Qadr kya hai?* Shab-e-Qadr hazaar maheenon se afzal hai).
Aur Allah Ta’ala ne hamara Noor zameen par utaara, taake unke zariye se ahl-e-iman roshan ho jayein aur kafir andhay ho jayein.
Aur jahan tak Rab ka farmaan hai: (Farishtay utarte hain). Jab Allah Ta’ala ne Muhammad s.a.w.a ko Rasool banaya to ek safayd taboot unke saath tha jismein barah darwazay thay aur ismein safed lifaafe thay jinmein barah logon ke naam likhay huay thay.
Chunanche ise RasoolAllah s.a.w.a ke samne pesh kiya gaya aur maamla unke Rab ki taraf tha ke haq unke liye hai aur woh Noor hain).
Usne kaha: Aye Ameer-ul-Momineen yeh kaun hain?
Farmaya: Main aur mere betay Hasan, Husain, Ali ibn Husain, Muhammad ibn Ali, Jafar ibn Muhammad, Musa ibn Jafar, Ali ibn Musa, Muhammad ibn Ali, Ali ibn Muhammad, Hasan ibn Ali, aur Muhammad ibn Hasan Sahib-uz-Zaman in sab par Khuda ki rehmatain nazil ho).
Unke baad hamaare pairokaar aur Shia hain jo hamari wilayat ko tasleem karte hain aur hamare dushmanon ki wilayat ka inkaar karte hain.
Aur Khuda ka farmaan hai: (Har maamla se salamti hai).
Har woh shakhs jo aasmanon aur zameen par tha, har subah-o-shaam, qayamat tak, hamare Noor se roshan ho gaya.
Yeh meri aulaad ka Noor hai jo hamare zariye se tulu-e-fajr aur qayamat tak duniya ko roshan karega.
📚 Ilzam al-Nasib fi Ithbat al-Hujjah al-Ghaib, Sheikh Ali Yazdi Hairi: Jild 1, Safha 100-101.
Hadith 27
العلامة المجلسي قال: أقول وجدت في أدعية عرفة من كتاب الإقبال زيارة جامعة للبعيد مروية عن الصادق(ع) ينبغي زيارتهم بها في كل يوم (وفيه يقول g …) :
⚫️ (السلام عليك يا مولاي يا حجة بن الحسن صاحب الزمان صلى الله عليك
👈وعلى عترتك الطاهرة الطيبة ♦️
يا موالي، كونوا شفعائي في حط وزري وخطاياي، آمنت باالله وبما أنزل إليكم، وأتوالى آخركم بما أتوالى أولكم،
وبرئت من الجبت والطاغوت واللات والعزى. يا موالي، أنا سلم لمن سالمكم وحرب لمن حاربكم وعدو لمن عاداكم و ولي لمن والاكم إلى يوم القيامة، ولعن الله ظالميكم وغاصبيكم، ولعن الله
أشياعهم وأتباعهم وأهل مذهبهم، وأبرأ إلى الله وإليكم منهم).
🔰 Allama Majlisi ne farmaya: "Mene dua-e-Arafah ke kitab Iqbal me ek door se ziyarat jami'a ke bare me paaya, jo Imam Sadiq a.s se manqoool hai. Yeh ziyarat unki rozana ziyarat ke liye munasib hai. (Isme yeh kaha gaya hai...):
⚫️ (As-salam-o-alaika ya Maulai ya Hujjat Ibn Hasan Sahib-uz-Zaman. Allah ki rehmat ho aap par,
👈 aur aapki paak aur tayyib Ahl-e-Bait par. ♦️
Ai mere Maulai, mere gunahon aur khataon ka bojh halka karne me meri shifaat kijiye.
Main Allah aur jo kuch aap par nazil kiya gaya hai us par imaan rakhta hoon. Aur main aapke akhri imam ki ba'at karta hoon jis tarah aapke pehle imam ki ba'at ki thi.
Aur main jibt, taghoot, Laat aur Uzza se bara'at ka izhar karta hoon. Aye mere Maula, main uska dost hoon jo aapka dost hai aur uska dushman hoon jo aapka dushman hai. Main qayamat tak aapka mohabbat karne wala hoon. Allah un logon par laanat kare jo aapke huqooq ko ghasb karte hain, aur unke saathi aur unke madadgar par bhi laanat ho. Hum un sab se bara'at ka izhar karte hain).
📚 Bihar-ul-Anwar: Jild 98, Safah 375, Mustadrak-ul-Wasa'il: Jild 10, Safah 369-371, Hadees 12200, Jamia Ahadith Al-Shia: Jild 12, Safah 294-295.
Hadith 28
🔰 Syed Ibn Taoos ne farmaya: "Jumma ka din Sahib-uz-Zaman (A.S) ke naam se mansub hai, aur yeh wahi din hai jis din unka zuhoor hoga. Mere paas ek nazm hai jo unki mohabbat ka izhar karti hai":
"Main tumse mohabbat karta hoon,
agar meri zindagi khatam bhi ho jaye,
hum aapke zaair hain,
chahe meri sawari kho jaye."
🔵 (As-salam-o-alaika ya hujjat Allah alal-ardh, salamti ho tum par, aye makhlooq ke darmiyaan Allah ki nazar,
Salam ho tum par aye Noor-e-Elahi jis se raahein roshan hoti hain. Momin ke liye sukoon aur faraghat ka sabab.
Tum par salamti ho jo har khauf se mehfooz hai. Salam ho tum par aye karam ke malik, aye najaat ke kashti, aye chashma-e-hayat, Allah ki rehmat aur salam ho tum par. Aur salam tumhare paak Ahl-e-Bait par ho Allah us wada ko jald pura kare jo fatah aur zuhoor ke baare me tumse kiya gaya tha.
Main Aap a.s ka ghulaam hoon jo Aap a.s ke awwal aur aakhir ki ma'arefat rakhta hai, aur Aap a.s k zariye Allah ka qurb chahta hoon. Main Aap a.s k zuhoor ka intezar karta hoon aur Allah se dua karta hoon ke mujhe aapke madadgaron aur aapke dushmanon ke khilaf ladne walon me shamil kare).
📚 Jamal Al-Usboo: Safah 41-42; Bihar-ul-Anwar: Jild 99, Safah 215-216.
Hadith 29
🔰 السيوطي في العرف الوردي بالسند عن سالم بن أبي الجعد ، قال:
⚫️ (يكون المهدي إحدى وعشرين سنة, أو اثنين وعشرين سنة،
🔴 ثم يكون آخر من بعده وهو صالح أربع عشرة سنة،
♦️ ثم يكون آخر من بعده وهو صالح تسع سنين).
🔰 Al-Suyuti ne apni kitab Al-Urful Wardiy me sanad ke saath rawayat ki:
⚫️ (Mehdi 21 ya 22 saal hukumran rahenge.
🔴 Phir unke baad ek saleh shaks 14 saal hukumran hoga.
♦️ Uske baad ek aur saleh shaks 9 saal hukumran hoga).
📚 Al-Urful Wardiy fi Akhbar-ul-Mehdi, Suyuti: Hadith 251.
Hadith 30
🔰 الشيخ الطوسي في الغيبة: الفضل بن شاذان، عن إسماعيل بن عياش، عن الأعمش، عن أبي وائل، عن حذيفة بن اليمان، قال: سمعت رسول االله وذكر المهدي، فقال:
🔵 (إنه يبايع بين الركن والمقام، اسمه أحمد وعبد االله والمهدي، فهذه أسماؤه ثلاثتها).
🔰 Sheikh Tusi ne apni kitab Al-Ghaiba me rawayat ki:
🔵 (Waqt ka Mehdi Ruqn aur Maqam ke darmiyan bait liya jayega. Unka naam Ahmed, Abdullah aur Mehdi hoga; yeh unke teen naam hain).
📚 Ghaibat Sheikh Tusi: Safah 470 aur 454.
Hadith 31
نعيم بن حماد المروزي، بسنده عن امير المؤمنين(ع)،أنه قال:
⚫️ ( إذا بعث السفياني إلى المهدي جيشاً فخسف بهم بالبيداء وبلغ ذلك أهل الشام، قالوا لخليفتهم: قد خرج المهدي فبايعه وادخل في طاعته وإلا قتلناك، فيرسل إليه بالبيعة، ويسير المهدي حتى ينزل بيت المقدس، وتنقل إليه الخزائن، وتدخل العرب والعجم وأهل الحرب والروم وغيرهم في طاعته من غير قتال، حتى تبنى المساجد بالقسطنطينية وما دونها،
👈 ويخرج قبله رجل من اهل بيته♦️
بأهل المشرق، يحمل السيف على عاتقه ثمانية أشهر، يقتل ويمثل، ويتوجه إلى بيت المقدس. فلا يبلغه حتى يموت).
Na'eem bin Hammad Al-Marwazi ne apni sanad ke saath Amir-ul-Momineen (A.S) se rawayat ki:
Jab Sufyani Mehdi ki taraf ek lashkar bhejega to wo Bayda ki zameen me dhans jaayega. Aur ye khabar jab Ahle Sham tak pohanchegi, to wo apne hukmaran se kehenge:
"Mehdi ka zuhoor ho chuka hai. Is liye uski bait karo aur uski ita'at karo, warna hum tumhe qatal kar denge."
To wo apne kisi ko bait ke liye Mehdi ke paas bhejta hai, aur Mehdi Bait-ul-Maqdas tak chalay jaate hain.
Wahan woh khazanon par qabza karenge, aur Arab, Ajam, Harb, aur Rome ke log aur doosre log bagair jang ke unki ita'at karenge. Yahaan tak ke Qustuntunia (Istanbul) aur uske neeche masajid tameer hongi.Aur un se pehle unke Ahle Bait ka ek mard Mashriq se khurooj karega, jo apni peeth par talwar uthaye huye aath mahine tak ladta rahega, maar katai karega aur Bayt-ul-Maqdas ki taraf rukh karega. Aur wahan pohanchega yahaan tak k wo maut na paayega.
📚 Al-Fitan, Na'eem bin Hammad: Safah 216; Al-Malahim wal-Fitan, Ibn Taoos: Safah 136; Kanz-ul-Ummal: Jild 14, Safah 589, Hadith 39669; Sharh Haq-ul-Haq, Syed Marashi: Jild 13, Safah 313; Ma'jam Ahadith Imam Mehdi (A.S): Jild 3, Safah 119.
Hadith 32
🔰 الشيخ الطوسي في كتاب الغيبة: الفضل بن شاذان، عن الحسن بن محبوب، عن عمرو بن أبي المقدام، عن جابر الجعفي، قال:
⚫️ (سمعت أبا جعفر(ع) يقول: والله ليملكن
👈منا أهل البيت رجل♦️
بعد موته ثلاثمائة سنة يزداد تسعاً. قلت: متى يكون ذلك ؟ قال:
👈 بعد القائم(ع).♦️
قلت: وكم يقوم القائم في عالمه ؟ قال: تسع عشرة سنة ثم يخرج المنتصر فيطلب بدم الحسين(ع) ودماء أصحابه، فيقتل ويسبي حتى يخرج السفاح).
🔰 Sheikh Tusi ne apni kitab Al-Ghaiba me rawayat ki:
Fazl bin Shazan, Hasan bin Mahboob ki sanad se, Amr bin Abi Maqdam ki sanad se, Jabir Ju'fi se rawayat karte hain:
⚫️ Maine Abu Jafar Imam Muhammad Baqir (A.S) se suna ke aap ne farmaya:
"Khuda ki kasam,
👈 hum Ahle Bait (A.S) me se ek shaks ♦️
300 aur 9 saal hukoomat karega."
Maine kaha: "Yeh kab hoga?"
Aap ne farmaya:
Qaim ke baad
Maine poocha: "Qaim kitni muddat tak hukoomat karenge?"
Aap ne farmaya: "Unnees saal."
Phir Muntasir Hussain (A.S) ke khoon ka badla lene ke liye khurooj karega.
Woh maar katai karega aur logon ko qaidi banayega, yahaan tak ke Saffah ka zuhoor hoga.
📚 Al-Ghaiba, Sheikh Tusi: Safah 478-479.
Hadith 33
🔰 الشيخ المفيد: الفضل بن شاذان ، عن معمر بن خلاد ، عن أبي الحسن(ع) قال:
⚫️ (كأني برايات من مصر مقبلات خضر مصبغات، حتى تأتي الشامات فتهدى إلى
👈 ابن صاحب الوصيات).♦️
🔰 Sheikh Mufid ne Fazl bin Shazan se, Mo'ammar bin Khalad ke zariye, Abu al-Hasan Imam Musa Kazim (A.S) se rawayat ki:
⚫️ (Gooya main dekhta hoon ke sabz jhanday Misr se uthaye gaye hain, jo Shamat tak ja rahe hain, yahaan tak k Wassiyath ke Maalik ke Bete tak pohanch jayein).
📚 Irshad, Sheikh Mufid: Jild 2, Safah 376.
Hadith 34
🔰 قصة الجزيرة الخضراء: وهي الجزيرة التي يعيش فيها
👈 أولاد الإمام المهدي(ع)♦️
وشيعتهم، وخبر هذه الجزيرة طويل قد رواه واعتبره عدة علماء ، وهذه القصة
👈 تثبت الذرية للإمام المهدي(ع)♦️
في فترة الغيبة الكبرى، وأن لهم مدينة بل مدن عديدة.
قال السيد ابن طاووس عن هذه القصة:
⚫️ (و وجدت رواية متصلة الإسناد بأن للمهدي صلوات الله عليه
👈 أولاد جماعة ولاة♦️
في أطراف بلاد البحار على غاية عظيمة من صفات الأبرار).
🔰 Qissa Al-Jazeera Al-Khazra:
Yeh wo jazira hai jahan
Imam Mehdi a.s ki Aulad aur unke Shia rehte hain. Is jazira ki kahani lambi hai, jo kai ulama ne rawayat ki hai.
Aur yeh qissa Ghaibat-e-Kubra ke dauran me Imam Mehdi a.s ki Aulad ko sabit karta hai.
Aur yeh bhi ke unke shehr ya kai shehr hain.
Is qisse ke mutaliq Syed Ibn Taoos farmate hain:
Mujhe motabar sanad ke sath ek rawayat mili ke Imam Mehdi (A.S) ki
Aulad aur hukmaran samundar ke ird gird k shaher mea maujood hain,
jo ke nihayat azeem aur neik sifat ke haamil hain
📚 Jamal-ul-Isboo, Syed Ibn Taoos: Safah 310.
Hadith 35
🔰 جابر بن يزيد الجعفي، قال: قال أبو جعفر محمد بن علي الباقر(ع) عن قيام القائم(ع) بين الركن والمقام :
⚫️ (… ألا فمن حاجني في كتاب الله فأنا أولى الناس بكتاب الله، ألا ومن حاجني في سنة رسول الله فأنا أولى الناس بسنة رسول الله، فأنشد الله من سمع كلامي اليوم لما أبلغ الشاهد منكم الغائب، وأسألكم بحق الله وبحق رسوله وبحقي، فإن لي عليكم حق القربى من رسول الله إلا أعنتمونا ومنعتمونا ممن يظلمنا فقد أخفنا وظلمنا وطردنا من ديارنا و ♦️أبنائنا♦️ وبغي علينا ودفعنا عن حقنا وافترى أهل الباطل علينا، فالله الله فينا لا تخذلونا وانصرونا
ينصركم الله تعالى).
🔰 Jabir bin Yazid al-Ju'fi ne riwayat kiya: Abu Jafar Muhammad bin Ali al-Baqir (A.S) ka bayan:
⚫️ "(... Aagah raho! Jo mujh se Allah ki kitab ke mutaliq hujjat kare, main Allah ki kitab ke sab se qareeb hoon. Jo mujh se Rasool Allah s.a.w.a ki sunnat ke mutaliq hujjat kare, main Rasool Allah s.a.w.a ki sunnat ke sab se qareeb hoon. Allah ka waasta deta hoon jo meri baat sunta hai wo is paigham ko hazir se ghayab tak pohonchaye. Tumhare upar meri haqeeqat hai, lekin tumne hamaare sath sirf dushmani ki aur hampar zulm karne walon ka saath diya.
Hamari izzat ko kam kiya gaya, humein apne watan se nikal diya gaya, aur hamaari aulad se dur kiya gaya.
Hamare haq ka inkar kiya gaya aur jhooth bolne walon ne hampar bohtan lagaya. Allah ke liye, humein akela na chordo, hamari madad karo, taaki Allah tumhari madad kare)."
📚 Ghaibat, Numani: Safah 288-290.
Hadith 36
🔰 سليم بن قيس الهلالي، عن سلمان الفارسي في حديث طويل، عن رسول الله(ص)
فقال رسول الله(ص):
⚫️ أخي علي أفضل أمتي، وحمزة وجعفر هذان أفضل أمتي بعد علي وبعدك وبعد ابني وسبطي الحسن والحسين وبعد الأوصياء من ولد ابني هذا – وأشار رسول الله بيده إلى الحسين منهم المهدي.
👈 والذي قبله أفضل منه ♦️
👈 الأول خير من الآخر ♦️
👈 أنه إمامه والآخروصی الأول ♦️
إنا اهلبيت اختار الله لنا الآخرة على الدنيا…).
🔰 Sulaim bin Qays al-Hilali ne Salman al-Farsi se riwayat kiya:
⚫️ Rasool Allah (S.A.W) ne farmaya:
"Mere bhai Ali meri ummat ke sab se afzal hain. Hamza aur Ja'far, Ali ke baad, aur mere dono farzandon Hasan aur Hussain ke baad afzal hain. Mere iss farzand (Rasool Allah ne apne haath se Hussain ki taraf ishara kiya) ke baad uske oosiya mein se ek mehdi hoga.
Aur jo uske pehle hoga wo usse afzal hoga. Pehla, akhir wale se behtar hoga.
Kyonki wo Imam hai, aur akhir pehle ka wasi hai.
Ham Ahl-e-Bayt hain jinhe Allah ne duniya ke muqable mein aakhirat pasand ki hai..."
📚 Kitab Sulaim bin Qays, Tehqiqat Muhammad Baqir Ansari: Safah 132-134.
Hadith 37
🔰 سليم بن قيس: عن سلمان المحمدي، عن رسول الله(ص) في حديث طويل:
⚫️ (… ثم ضرب بيده على الحسين(ع) فقال: يا سلمان، مهدي أمتي الذي يملأ الأرض قسطاً وعدلاً كما ملئت جوراً وظلماً من ولد هذا. إمام بن إمام، عالم بن عالم، وصي بن وصي،
👈 أبوه الذي يليه إمام وصي عالم.♦️
قال: قلت: يا نبي الله، المهدي أفضل أم أبوه ؟ قال: 👈 أبوه أفضل منه.🔻
للأول مثل أجورهم كلهم؛
لأن الله هداهم به …).
🔰 Sulaim bin Qays ne Salman Muhammadi se Rasool Allah (S.A.W) ki ek taveel hadith riwayat ki:
⚫️ Rasool Allah ne Hussain a.s ke kandhe par haath rakha aur farmaya:
"Aey Salman, meri ummat ka mehdi, jo zameen ko insaf aur adal se bhar dega, zulm aur jabr se bharne ke baad, ye iska beta hai. Imam hai, Imam ka beta hai, Aalim hai, Aalim ka beta hai, Wasi hai, Wasi ka beta hai. Unke walid wo hain jo unke baad Imam, Wasi, Aalim hain.
Main ne pucha: Ya Rasool Allah, Mehdi afzal hain ya unke walid?
RasoolAllah s.a.w.a ne farmaya: Unke walid unse afzal hain. Pehle waale ke liye sab ka ajar hai, kyonki Allah ne unke zariye unhe hidayat di."
📚 Kitab Sulaim bin Qays, Tehqiqat Muhammad Baqir Ansari: Safah 429.
Hadith 38
🔰 الشيخ الطوسي: محمد بن عبد الله بن جعفر الحميري، عن أبيه، عن علي بن سليمان بن رشيد، عن الحسن بن علي الخزاز، قال:
⚫️ (دخل علي بن أبي حمزة على أبي الحسن الرضا(ع)فقال له: أنت إمام؟ قال:نعم، فقال له: إني سمعت جدك جعفر بن محمد(ع) يقول: لا يكون الإمام إلا وله عقب. فقال: أنسيت يا شيخ أو تناسيت؟ ليس هكذا قال جعفر(ع)، إنما قال جعفر(ع): لا يكون الإمام
👈إلا وله عقب♦️
إلا الإمام الذي يخرج عليه الحسين بن علي (ع) فإنه لا عقب له، فقال له: صدقت جعلت فداك هكذا سمعت جدك يقول).
🔰 Sheikh Tusi ne Muhammad bin Abdullah bin Jafar al-Hamiri ke zariye riwayat kiya:
⚫️ Ali bin Abi Hamza ne Imam Abul Hasan al-Raza (A.S) se pucha:
"Kya aap Imam hain?" Imam ne farmaya: "Haan."
Unhone kaha: "Maine aapke dada Jafar bin Muhammad (A.S) se suna hai, wo farmate hain, Imam tab tak nahi hote jab tak unki aulad na ho."
Imam ne farmaya: "Aey Sheikh! Kya tum bhul gaye ho? Ya bhoolne ki naqal kar rahe ho? Jafar a.s ne kaha tha: Imam nahi hote, magar ye ke unki aulad ho, sivaaye uss Imam ke jinke dor mein Hussain bin Ali a.s niklenge, kyonki unki koi aulad nahi hogi
📚 Ghaibat, Sheikh Tusi: Safah 224.
⚠️ Ye riwayat wazeh tor par elaan karti hai ke woh Imam jis ke baad rajath shuru hoti hai, aisa Imam hai jis ki koi aulaad aur zurriyat nahi hai. Jabke Imam Mehdi a.s ke baad unki hujjatein aur Imam aulaad hain. Pas woh Imam jis ke baad rajath shuru hoti hai, ye Imam Mehdi Muhammad bin Hassan Askari a.s nahi ho sakte. Aur chunke Imam Mehdi a.s ke baad laqab (Imam) unki aulaad mein se Mehdiyeen ke ilawa kisi aur par lagu nahi hota, bilashuba ye Imam Hazrat Imam Mehdi a.s ki aulaad mein se hain. Aur chunke aakhri Mehdi, barhween Mehdi hai. Chunke Rasool Khuda s.a.w.a aur Aayemma ne farmaaya ke Mehdiyeen ki hukumat Imam Mehdi a.s ke baad hogi, is ke baad Hussain bin Ali a.s ki baarwe Mehdi par rajath, jinke baad koi aulaad na ho - shuru hogi.
Lihaaza ye riwayat mukammal tor par is baat par qaayel hai ke rajath shuru nahi hogi, siwaye Imam Mehdi a.s ki aulaad mein se baarwe Mehdiyeen ki hukumat ke baad, jo unke walid ke baad Imam ke tor par wasf kiye gaye hain. ⚠️
Hadees 39
⚫️ Rasool Allah s.a.w.a ne ek taweel hadees mein farmaya:
(… Jab Jibraeel a.s mujhe aasman par le gaye to unhone do-do kar ke azaan di. Aur do-do kar ke iqamat kahi, phir farmaya: Ae Muhammad s.a.w.a aage kharay ho jao.
Maine kaha: Aye Jibraeel, kya mai aap se aage khara rahoon? Jibrayeel ne kaha: Haan, kyunki Allah Ta'ala ne apne ambiya ko tamam farishton par fazeelath di hai aur aap ko ek khaas fazeelat di hai. To mai aage khada ho gaya aur bagair fakhar ke unke sath namaz padhi.
Chunaanche jab hum noor ke pardo mein pahunche to Jibraeel ne mujh se kaha: Ae Muhammad, aage barhiyea aur mujh se alag ho jaayea.
Maine kaha: Jibraeel, kya aap mujhe is manzil par chorh denge?
Usne kaha: Aye Muhammad, ye meri aakhri hadd hai, jo Allah Ta'ala ne is jagah mere liye muqarrar ki hai, aur agar mai apni had se tajawuz karunga to mere Rab ki hudood se tajawuz karne ki wajah se mere par jal jayenge.
Phir roshni k ek hale ne mujhe ghera aur jahaan tak Allah ne chaha mujhe malakoot tak le gaya. To mere paas awaaz aayi: Aye Muhammad, maine kaha: Labbaik Ae mere Rab. Tumne mujhe khush kiya, aap babarakat aur bargeeda hain.
Awaaz aayi: Aye Muhammad, aap mere bande hain aur mai aapka Rab hoon. To meri bandagi karo aur mujh par bharosa rakho. Phir to mere bandon mein mera noor hai aur meri makhlooq ke liye mera Rasool aur meri ummat ke liye meri hujjat hai. Pass maine apni jannat ko Aap k pairokaron ke liye aur apni aag ko aapke khilaf warzi karne walon ke liye paida kiya hai, aur maine apni izzat ko aapke awsiya ke liye wajib kiya, aur maine Aapke shiaon ke liye apne ajar ko wajib kiya.
Maine kaha: Ae mere Rab, mere awsiya kaun hain? Pukar aayi Aye Muhammad saaq-e-arsh par Aapke awsiya ka naam likha hua hai.
Chunanche maine apne Rab ke mahzar mein saaq-e-arsh ki taraf dekha to mujhe barah noor nazar aaye, har noor mein mere har wasi ka naam sabz rasm-ul-khat mein likha hua tha, in mein se pehle Ali bin Abi Talib aur aakhri meri ummat ke Mehdi the.
Phir maine kaha: Parwardigara, kya ye mere baad awsiya hain? Awaaz aayi: Aye Muhammad ye mere wali, mere dost, mere bargeeda aur aap ke baad meri ummat par meri hujjatein hain.
Aur woh aap ke ausiya aur aap ke janashin aur aap ke baad meri ummat mein se behtareen hain, mujhe apni izzat-o-jalal ki qasam, inke zariye se mai apne deen ko zahir karta hoon aur inke sath apne kalme ko buland karta hoon. Aur mai inke aakhri ke zariye zameen ko apne dushmanon se paak karunga aur mai ise zameen ke mashriq aur maghrib ka malik banaunga aur hawaon ko iske taabe kar dunga.
Aur mai iske samne jabiro ko zaleel karunga aur asbab iske haath mein dunga aur mai apne lashkar se iski madad karunga aur mai apne farishton se iski madad karunga ke woh meri dawat ko zahir kare, aur logon ko meri tauheed ki taraf jama kare; phir mai iski hukumat jari rakhunga. Aur ayyam ko apne walion ke darmiyan qayamat tak gardish karata rahunga.
📚 Kamal-ud-Din wa Tamam-un-Ni'ma, Safa 254-256
⚠️ Pehle hi bayan kiya gaya tha ke Imam Mehdi a.s ki hukumat unki aulaad, Mehdiyeen ke hukmarani se jari rahegi. Aur is muqaddas hadees mein Khuda-wand Alam Imam Mehdi ke baare mein farmata hai:
Phir mai iski hukumat jari rakhunga aur ayyam ko apne walion ke darmiyan qayamat tak gardish karata rahunga
Yani Imam Mehdi ki hukumat unki aulaad, Mehdiyeen ke zariye qayamat tak rahegi aur din unke darmiyan gardish karenge. Phir Hujjat Ibn-ul-Hassan (A.S) ke baad Awliya Allah unki aulaad mein se barah Mehdiyeen hain.
Hadees 40
Bohat si riwayatain hain jin ki sanadain mustanad hain aur Rasool Khuda s.a.w.a, Ali bin Abi Talib a.s aur Fatima s.a ki aulaad mein se baarah Imam aur Wasi ke baad awsiya ke wajood par dalalat karti hain.
Doosre lafzon mein, in Imamoon ki tadaad, Imam Ali a.s k baarah Imam aur janashinon tak pohanchti hai.
Is se maloom hota hai ke, jaisa ke baaz riwayatain istamaal hoti hain, Imam Mehdi a.s ki aulaad mein se Mehdi Awwal ko unke abaa o ajdaad mein khasoosiyat ki wajah se barah Imamoon mein shamil kiya jata hai.
Hum in mein se ek riwayat ko bagair wazaahat ke hawale dete hain:
✅ Pehli Riwayat:
الشيخ الكليني: محمد بن يحيى ، محمد بن أحمد سے، محمد بن الحسين سے، أبي سعيد العصفوري سے، عمرو بن ثابت سے، أبي الجاورد سے، أبي جعفر ع سے ، آنحضرت نے فرمایا:
⚫️ (قال رسول االله(ص) إني و اثني عشر من ولدي وأنت يا علی، زر الأرض يعني أوتادها وجبالها، بنا أوتد الله
الأرض أن تسيخ بأهلها، فإذا ذهب الاثنا عشر من ولدي ساخت الأرض بأهلها ولم ينظروا).
Al-Sheikh Al-Kulaini: Muhammad bin Yahya, Muhammad bin Ahmad se, Muhammad bin Al-Hussain se, Abi Saeed Al-Asfoori se, Amr bin Sabit se, Abi Al-Jawad se, Abi Jafar A.S se, Rasool Allah (S.A.W) ne farmaya:
⚫️ (Qala Rasool Allah (S.A.W): Inni wa isna ashar min waladi wa anta ya Ali, zur-ul-ard ya'ni awtadaha wa jibaluha, bina awtad Allah al-ard an taseekh bi ahliha, fa iza zahaba al-isna ashar min waladi sakhat al-ard bi ahliha wa lam yunzaroo).
⚫️ Rasool Khuda (S.A.W) ne farmaya:
(Mai aur meri aulaad mein se barah fard aur tum, Aye Ali! Hum zameen ki panah gahain hain, yaani is ke pahardon aur istehkam ki wajah.
Khuda ne hamare zariye zameen ko mustahkam banaya, ke woh apne logon ko na nigal le.
Pas jab mere barah betay chale jayenge to zameen apne logon ko nigal le gi aur unhein kabhi mohlat nahi milegi.)
📚 Kafi, Jild 1, Safa 534