Khwaab mea Muhammed wa aale Muhammed—Ahmed AlHasan ki tasdeeq

Bismilah ar rahmaan nir Raheem laahoul wala quwwata illa billa al aliyul azeem Allah humma swale alaa MUHAMMADIUN WA AALE MUHAMMAD wa sallam tasleema

 

Ye baat 2010 ki hai jab mea  aqwaal e masumeen parhtey huye kitaab ghaibat an numaani tak pohoncha , aur maine usse parh daali , uskey kuch din baad jab Karbala jaana hua to jaaker aaney k kuch dinoun k baad pata chala k IMAM E ZAMANA a.j.t.f se pehle YAMANI aaney waala hai(jo mea ghaibat an numaani mea parh chuka tha) aur uss Yamani ka daawa kisi shaks ne kiya hai jiska naam AHMAD AL HASSAN hai , wo saath hee saath Mahdiyeen ka bhi daawa kar rahey hai, aur apnay aapko  IMAM E ZAMANA ki 6th Nasal bataaye hai ,,aur unka lehja dusroun k baat karney ki tareekhay se hatkar hai , ye baatein hadees mea moujuud to beshak hai lekin tehqeeqaaat zaroori hai .

 

To yeh baat mere zehen mea thi aur phir uss haftey maine unki talaash youtube per ki thi to meri nazar (SERMON OF HAJJ )khutba e HAJJ AHMAD AL HASSAN per parhi , jo k 50 mins ka video tha English translation k saath , maine usse chalaaya aur dil he dil mea soncha k “YA ALLAH AGAR YE HAQEEQEE SHAKS HAI TO MUJHEY SUNKER RONA ZAROOR AAYE “ ronay k haalaat to kam hee they kyun k ALLAH ki hamd o sanah chal rahi thi lekin ek jumley ne mujhey sach mea rulaaya tha aur wo jumla tha jo AHMAD AL HASSAN ne kaha

 

“YE BAAT MUJHEY MERE BABA AMEERILMOMINEEN ALI a.s NE KAHA “

 

Bass ye sunnah tha k mujhey rona aagaya iski wajah ye thi k zindagi mea maine kisi ko MOULA ALIa.s ko “BABA” kehte nahi sunah tha siwaaye mere khud k , mera khissa ye tha k mea  kisi ko MOULA ALIa.s per talwaar chalney ka waaqeya sunaah raha tha to meri zubaan se ek dum nikal gaya tha k “ JAB BABA K GARDAN PER TALWAAR CHALI” ye kehker mea khud hairaan rehgaya tha k Yeh maine kia kehdiyaa . k maine AMEERILMOMINEEN ALI a.s ko baba kehdiya !! , Ab inkaar bhi nahi kar sakta kyun k mea khud MOULA ALI alaihis salaam ki nasal se hun aur dusri taraf baat bohhot barhi hai k dauhraaney ki bhi himmat nahi ,,,,to iss baat ki mithaas mere saath thi k kiss tarah apnaahiyyat ki wajah se ye jumla zaahir hua,,,,aur mere baad maine sirf AHMAD AL HASSAN ko ye kehte sunah to zaahir hai rona aaya ,, to main ek do logoun ko call karkey bataya k aesa aesa waaqeya hua hai ,,,dekhna to parega k maajra kia hai.

 

(Mera Pehla Khwaab)

 

Uskey baad mea sogaya aur sotay huye maine dekha k mere ek rishtedaar hai wo mujhey majalis mea le jaa rahey hai lekin wahan sab log majalis mea to baythey hai lekin saamne ek poster per koi shaks ki tasveer utri hai aur wo sab khaamushi se baythe hai jaise k uss poster ki wajah se wahan ho , phir wahan se nikla to apnay aap ko KARBALA mea paaya aur wahan mea dekhta hun k MOULA ABBAS alaihis salaam k rouzay ki jagah se Rouza hat gaya aur MOULA ABBAS zameen ki duuri ko khatam kartey huye zameen k ooper aa chukey aur bass ab sirf safayd chaadar ka faasla baakhi hai , aur phir meri nazar IMAM HUSSAIN alaihis salaam k rouzay per parhi aur wahan bhi yahee maajra hai k IMAM HUSSAIN zameen k andar se ooper aa chukay aur bass ab sirf ek safayd chaadar jo IMAM HUSSAIN a.s per hai uska hatnaa baakhi hai , phir mujhey Moukha mila k mea IMAM HUSSAIN k khareeb aajaao yahan tak k chehra jo uss safayd chaader k andar hai aur mujhmea sirf ek haath ka faasla hai , itnay mea kuch log IMAM k khareeb se guzartey hai aur apni chappalein wahin chor jaatey hai aur ab mujhey bechayni shuruu hojaati hai k haaye koi in chappaloun ko yahan se hataao k yeh aali muqaam hai aur saath hee mea IMAM se duur bhi nahi jaana chahta tha , beherhaal maine soncha k IMAM khareeb rehna mea zaroor chahta hun lekin in chappaloun ko kisis bhi haal hataana hee parega aur phir  mea uttha hun aur unn chappaloun ko baahar karta hun aur waapas IMAM k khareeb aana chahta hun lekin dusre zaayareen IMAM se milnay aagay barhtey hai to mea peechay hat jaata hun k beshak sab ko IMAM se milnay ka moukha milna chahyea , aur phir wahan se MOULA ABBAS k yahan jaaney ki tayyari shuruu karta hun k meri aankh khul gayi ,

Do saal se meri ye khaayesh rahi thi k mere khwaab mea IMAM HUSSAIN aajaye lekin aesa kabhi na hua magar ek aese shaks ka daawa sunker sonay k baad hua jo apnay aapko YAMANI kehte hai , iss ishaarey ko mea iss tarah samjha k agar  koi acha kaam karo aur sojaao to IMAM aatey hai beherhaal kuch na kuch rishta nazar aa raha tha.

 

 

Phir mea daawe ki kitaabein saviorofmankind.com per jaaker Shia section mea jaaker parhne laga aur kaafi hadeesayn parhne ko mili wo bhi pakkey reference k saath aur issi tarah her sawaal ka jawaab jo jo mere zehen mea daawe ko lekar tha unn kitaaboun k zariyea door hota gaya , aur maine kayyi logoun ko takhreebann hazaar se zyaada ussi tarah AAYEMMA ko khwaab mea aatey dekha jiss tarah mere khwaab mea aaye  aur phir khwaaboun ki hadeesayn mili yahan tak k IMAM JAFFER AS SADIQ alaihis salaam se taabir mili k agar koi IMAM HASSAN a.s YA IMAM HUSSAIN a.s ko khwaab mea dekhe to iska matlab ye hai k ya to wo shaks Shaheed hoga ya phir wo shaks guzri hui raath mea kisi AZEEM SHIA se mulaakhat ki thi, “

 

Bass maine to AHMAD AL HASSAN alaihis salaam ko sunkar soya tha to yeh baat bhi mujhey daawe k khareeb kartey rahi ,

 

Phir yamani sufyani aur khurasani ka ek saath nikalna saaf hua k Arabic lafz wahan per KHUROOJ likha hai naa k Zahoor ,,aur filwaqt YAMANI ka zahoor hua hai naa k khuroj ,,,,aur khurooj jab hoga jab 10,313 jamah hojaayenge , aur IMAM ka khoul bhi Khurooj k liye hai zahoor k liye nahi ,

 

Beher haal daawe ko parhtey parhtey mujhey ye baat mehsuus hui k ghaibat an numaani mea jo maine parha tha k RASOOL s.a.w.a Farmaatey hai k “MAHDI KI MAA SIYA RANG K HONGAY” aur ye hadees Bibi NARJISs.a  k liye nahi ho sakti to lehaaza agar AHMAD AL HASSAN sachey hai to ye Hadees unkey liye hona chahyea ,,,,,aur daawa parhtey parhtey mujhey yahee mila k AHMAD AL HASSAN k waalda siyaa rang k they ,

 

Issi tarah daaway per maine do mahinay musalsal guzaarey phir ek waqt aaya k ab mea mukammil mutmayeen hadeesoun k zariyea to ho chukka tha bass ALLAH ki razaa mandi saath honi chahyea issi wajah se maine Quran se istekhara dekha aur dil hee dil mea ALLAH se kehne laga k YA ALLAH jab mea Quran kholun to bass mujhey ek lafz mea samjhaadey aur ye nahi k tu aesee koi baat kehde jisse kuch bhi samaj mea na aaye

 

 

Bass maine Quran Khola to main ek Lafz paaya aur phir aayat khatam hogayi aur wo lafz tha

 

“”””HOGAYE””””

 

Alhumdolillah maayene to bohhot saaf hai aur wahi hua jo maine chaaha,, maine iskey aagay ki aayat parhi k dekhun likha kia hai to mujhey mila

 

“YE WHO LOG HAI JO ALLAH SE DARTEY HAI AUR NAYK AMAL KARTEY HAI ,

 

Phir uskey aagay mila

 

UNKEY LIYE DUNIA MEA BHI JEET HAI AUR AAKHERATT TO BOHHOT KHOOB

 

Phir iskey aagay mila

 

ALLAH KA KHOUL BADALTA NAHI YAHEE SABSE BARHI KAAMYABI HAI

 

Bass mera dil mutmayeen hoga lafz e KAAMYABI per kyun k mujhey HADEES E KISA ka jumla yaad aagaya k AYE ALI AAP K SHIA KAAMYAAB HAI .

 

Bass ab mujhey qubool karlena chahyea lekin haibath bhi thi isss wajah se  maine apnay aapko ek bahaana diya k sab akhbaariyoun ko samjhaaker sab saath saath IMAM ko qubool karenge (isse mujhey thora aur waqt bhi miljaayega aur dusroun tak baat bhi phayl jaayegi)

 

Lekin jab mea soya to maine khwaab dekha

 

(MERA DUSRA KHWAAB)

 

K kahin mujhey aesa lag raha hai k jung per jaaney k liye koi IMAM E ZAMANA banker sab ko jung per chalne ki hidaayat de raha hai ,, to mere zehen mea aaya k ye shayad koi movie banaa rahey hai IMAM E ZAMANA ko bataate huye lehaaza behtar yahee hai k uss shaks ka chehra naa dekho warna jab bhi IMAM E ZAMANA ko sonchunga to ye shaks saamne aayega , to mea wahan se chala gaya lekin ab mujhey HAQEEQEE IMAM E ZAMANA a.j.t.f ki rotay huye awaaz aati hai

“HAAYE MERI KOI MADAD NAHI KAR RAHA “

 

Ye sunker her her shay ronay lagee k haaye hamaara IMAM a.j.t.f ro rahay hai ,her kankar ronay lagta hai her zarra ronay lagta hai aur mea bhi rota hunaur dekhta hun k pahaard rotay rotay pighal jaata hai aur road per aajata hai , phir mujhey mehsoos hota hai k IMAM E ZAMANA a.j.t.f jo mere peechay hai wo pahaard ko apnay haathoun se road per se hataatey hai k wo pahaard unnper ronay ki wajah se road per aagaya .(ye bataate huye k mea rokar madad k liye keh raha hun lekin akela hee pahaardoun ko hataa sakta hun)

 

Phir jab mea subah utha to mujhse raha nahi gaya aur mujhey ye baat saaf saaf samaj mea aayi k pukaarne waala koi aur shaks hai aur asar IMAM E ZAMANA a.j.t.f ko ho raha hai , bass maine istekhaara dekha k kia wo shaks jo pukaar raha hai wo AHMAD AL HASSAN hee hai to Istekhaara HAAN aaya , bass mea ab aur dere nahi kar sakta tha kyun k mea apnay IMAM E ZAMANA a.j.t.f ko rota hua nahi chor sakta . BASS MAINE QUBOOL  KARLIYA ye jaantey huye k kisi bhi haal mea agar ghalat hun to mere liye kisi bhi tarah ki maafi nahi hai aur shia mazhab mea waapsi nahi hai bass IMAM E ZAMANA a.j.t.f per mukammil taur per bharosa kartey huye MAINE QUBOOL KARLIYA k iss waqt ye baat haqq hai .

Kisi bhi shaks ko iss tarah se deen qubool karlena asaan nahi jisnea IMAM ki hadees dekhi ho k agar deen se baahar koi shaks chala jaaye aur wo deen per hee payda hua tha to uski maafi nahi hai ussey khatal karna chahyea , to bohhot hee sonch samaj ker ye faysla MOULA PER BHAROSA KARTEY HuYE liya gaya tha lekin phir bhi ek haibath thi k ab kia hoga ??

 

Phir maine khwaab dekha

 

(MERA TEESRA KHWAAB)

 

K MOULA ABBAS mere khwaab mea moujuud hai aur mujhse farmaatey hai :

“DARO NAHI AB TUM MEHFOOZ HO “

 

Bass wo din hai aur aajka din hai k main MOULA ABBASa.s k hukum ki taamil mea aaj tak nahi daraa aur na ab kisi baat ka darr rahega kyun k mujhey mere iss qubool karney ko MOULA ABBAS ki taraf se ijaazat bhi milgayi.

 

phir hadeesayn bhi moujuud hai k hazrat Jondab bhi MUHAMMAD s.a.w.a ko issi tarah khwaab k zariyea Imaan le aaye aur Hazrat wahaab e kalbi ne bhi Hazrat  Isa ko khwaab mea dekha aur fauran uthay IMAM HUSSAIN ki nusrat k liye aagay barhey aur shohdaa e Karbala mea shaamil hai jinn per hum roz salaam bhejte hai .

 

Phir hum iss daawe k baarey mea yahan wahan baat chal rahi thi apnay dostoun mea apnay jaan pehchaan waaloun mea aur Hyderabad mea maine kayyi baar phone kiya k daawe ko parhna behadd zaroori hai yahan tak k ye saari baatein tafseel mea sunaayi , logoun ne kaha haan hum parhenge aur phir dobaara phone karne per bhi wahi haalat k haan hum parhenge lekin waqt nahi mil raha hai , mea hairaan rehgaya k aakhir maajra kia hai jo mea itna bechayni se do mahinay lagaatar parhta raha aur dusre log iss per tawajjo bhi nahi kar rahey hai , to aakhirkaar pata chala k Hyderabad mea jo log hai unhey naa arabi aati hai naa English aur daawa issi zubaan mea moujuud tha , bass mea apnay Hyderabad k logoun k liye daawe mea se kuch to roman urdu mea likhunga take wo parh sakey issliye maine AHMAD AL HASSAN alaihis salaam ka khudba

 

“MERI MULAAKHAT IMAM E ZAMANA a.j.t.f se “

 

Isse roman urdu mea urdu dictionary ko saath rakh ker poora poora likh chuka aur Momineen k darmiyaan isse parh chuka,

 

Dusre din main khwaab dekhta hun k

 

(MERA CHAUTHA KHWAAB)

 

K kahin namaaz ho rahi hai aur mere bhai wahan namaaz mea shaamil hai lekin mere namaaz tak pohonchne mea deri hojaati hai bass aakhri teen takbeer se pehle mea namaaz mea pohonchtaa hun k kuch to itlaakh hojaaye k mea bhi namaaz mea moujuud tha aur sab bataa rahey hai k saamne AHMAD AL HASSAN alaihis salaam hai lekin ye nazar aa raha hai k namaaz AHMAD AL HASSAN alaihis salaam ne nahi parhaayi lekin uskey baad jo du aka silsilaa hota hai usmea AHMAD AL HASSAN alaihis salaam ne ek exercise bataayi k namaaz k baad ye karo, lekin koi nahi kar raha hai , to bass maine wo exercise shuruu kardi k HUJJAT ne kehdiyaa bass ab karna hee karna hai ,,, to log meri taraf hairath se dekhte hai , aur jab mea exercise khatam kiya to AHMAD AL HASSAN alaihis salaam ki taraf dekhta hun k takhreebann sahi hee kiya ???

 

To Muskuraaker sir hilaate hai (yaani haan sahi kiya)

 

Phir AHMAD AL HASSAN  apnay khaas logoun k saath waapas jaatey huye  meri taraf tawajjo dete huye kehte hai sab logoun ko suneh aaye jaisa kehte hai 

 

“shukriyaa allu”(gher waale mujhey issi naam se pukaartey hai)

 

Phir  log mujhse kehte hai k AHMAD AL HASSAN to tumhey jaantey hai jaao jaaker kaho ki sawaal jawaab abhi baakhi hai , to mea AHMAD AL HASSAN alaihis salaam ki taraf jaata hun, woh ek pahaard k ooper gaye huye they , to wahan mea jaata hun to dekhta hun k do jaanemaaz hai aur dono jaanemaaz per eke k noor hai , usmea se ek noor IMAM E ZAMANA a.j.t.f ka hai aur dusra noor AHMAD AL HASSAN alahis salaam ka hai ,

 

Ab wo dono jaaney waaley hai to jab noor hawaa mea jaaney laga to saath mea jaanemaaz bhi jaatey rahi ,

mujhey Baat karney mea ek haibath see thi k saamne DO MASOOM a.s hai , beherhaal bass itna keh sakaa k AAP SE LOG SAWAAL KARNA CHAHTEY HAI , ,, to bass ye kehna tha k wo dono noor tayzee se wahan se nikal gaye aur mere pass wo jaanemaaz hawaa mea lehraatey huye aayi.

Phir ek shaks kehta hai k AHMAD AL HASSAN k issi chaaloun ki wajah se (yaani namaaz k baad exercise karwaaye) log kehte hai k ye hindu mazhab laa rahey hai , to mea logoun ko samjhaata hun k HUJJAT ko behtar maalum rehta hai k hamaare liye isswaqt kia sahi hai aur ussi hisaab se  logoun k sawaaloun  ka jawaab main khud hee dene laga hun , phir mea uss pahaard per se urhta hua neechay zameen ki jaanib aagaya .

 

To bataana ye hai Momineen k chaahey to mera ye chautha khwaab agar pehle hee aajata to baat barhi asaan hoti thi,  lekin her ek ka imteyhaan liya jaana hai aur kon kiss tarah se Khoul e MASOOM alaihis salaam ko leta hai aur qubool karta hai iska bhi imteyhaan lena hai , Yahaan tak k MASOOM alaihis salaam ne kaha hai k “AYE SHIYOUN TUMHEY CHAKKI MEA PEESNAY KI TARAH IMTEYHAAN LIYA JAAYEGA “ AUR JAB HAQ AAYEGA TO HAQEEQEE SHIA DEEN SE BAAHAR AUR DUNIA K KONAY KONAY SE LOG HAQEEQEE SHIA HOJAAYENGE “

 

To in hadeesoun ko zehen mea rakhtey huye ye bhi zehen mea rakhna chahyea k Quran o AHLEBAIT a.s ki hadeesoun per Qaim hai ya nahi , aur saath mea imteyhaan sakht raheyga ,

 

 

Moula gawah hai k aaj tak aesa koi khoul e AHMAD AL HASSAN alaihis salaam mujhey ab tak nahi mila jahan maarefat e AHLEBAIT alaihis salaam mea koi kami hui (balkey kayyi baar aur barh gayi) ya koi cheez ka inkaar kiya gaya , yahan tak k akhbaari honay k naatey maine IMAM AHMAD AL HASSAN a.s ka lakhab jab dekha to soncha shaayad kuch ansar hai jo lafz e IMAM lagaaye huye hongay lekin maine iss baat ko Aqwaal e Masumeen alaihis salaam mea bhi paaya jahan IMAM ALI AL RAZA alaihis salaam ne bhi Nasl e IMAM E ZAMANA a.j.t.f per rehmat ki dua mea kaha k “ YA ALLAH TU ISS MUAAMLEY K MUHAAFIZ a.j.t.f. per rehmat barsaa aur unki NASL SE AANEY WAALEY IMAAMAYN PER . jissey muraad Mahdiyeen hai jisko IMAM bhi keh saktey.aur iss tarah aur hadeesayn hai lekin akhbaari ko ek hadees bhi kaafi hai jo dusre hadeesoun se milti ho. waise masla ussi tarah paycheeda hai jiss tarah k tauheed ka masla hai .beherhaal log issper behas karenge aur aqal se raastey chunenge apni apni samaj k mutaabiq ,lekin Aql per Hujjat haqeeqee IMAM hotay hai aur IMAM per Hujjat hamaari aqal nahi hoti.

 

Bass jiss tarah MASUMEEN alaihis salaam ne mujhey hidaayat farmaayi hai ussi tarah kull momineen ko ALLAH jald az jald hidaayat farmaaye aur humsab ko ba tawassul e AHMAD AL HASSAN alaihis salaam IMAM E ZAMANA a.j.t.f  k khareeb kardey .

 

BE HAQQ E AMEERILMOMINEEN a. ILAAHIAMEEN

 

ALLAH Humma swale alaa MUHAMMAD DIUN WA AALE MUHAMMAD AL AAYEMMA WAL MAHDIYEEN WAS SALLAM TASLEEMAN KASEERA