Page 413 - Quran-e-Kareem
P. 413
14 Sureh Ibrahim (413) 13 para
th
th
Paida kiya aur asmaan se pani utara. Phir uske zariye se tumko rozi dene k
liye phal paida kiye aur jahaazoun ko tumhaara taabey ker diya k uske
hukum se samander mein chalte rahen aur nadiyon ko tumhaare ekhtiyar
mein dediya 14:32 aur suraj aur chand donon daemi (hameysha) chalne
walon ko tumhaare kaam mein laga diya aur raat aur din ko tumhaare liye
moiyyan kerdiya 14:33 aur jo kuch tumne us se maanga sabhi mein se
usne tumko diya aur agar tum Allah ki nemat ka shumar karo to uska
ehata na ker sakoge. Beshak insaan bada be insaaf aur nashukra hai 14:34
aur [uswaqt ko yaad karo] jiswaqt Ibraheem a.s. ne arz ki k aye mere
parwardigaar is shehr ko amn o amaan wala qaraar de aur mujhe aur meri
aulaad ko buton ki parastish kerne se bacha le 14:35 aye mere
parwardigaar bil tehqeeq in buton ne bahut se admiyoun ko gumraah kiya
hai. Pas jo meri itteba karega wo to mera hai aur jo meri nafermani karega
to usmein shak hi nahin k tu bada bakshne wala [aur] rehem kerne wala
hai 14:36 aye hamare parwardigaar maine apni aulaad mein se

