Page 561 - Quran-e-Kareem
P. 561
24 Sureh an-noor (561) 18 para
th
th
aur Allah (usko) khoob janta hai aur tum nahi jaantey ho 24:19 aur ager
tumper Allah ka fazal aur uski rehmat na hoti (tu wo tumper jald azaab
nazil kerta) aur beshak Allah bara meherbaan (aur) reham kerney wala hai
24:20 (hamza) aye imaan laaney walon shaitaan k qadam baqadam na
chalo (toye) aur jo shaks shaitaan k qadam baqadam chalega to wo zaroor
usko behayai aur badi ki baatoun ka hukum dega (toye) aur ager tum per
Allah ka fazal aur uski rehmat ki nazar na hoti to tum mein se koi kabhi
paak hi nahota lekin Allah jisko chahta hai paak kerdeta hai aur Allah bara
sunney wala (aur) janney wala hai 24:21 aur tumein se maaldaar aur sahib-
e-maqduur log ye qasam na khaa baythein k wo rishtedaaron ko aur
masakeen ko aur rah-e-khuda mein hijrat kerney walon ko kuch na dengey
aur unko chaiye k maaf kerdein aur darguzer Karen aya tum isko pasand
nahi kertey k Allah ta’ala tumhaarey gunah bakshdey aur Allah bara
baskhshney wala (aur) reham kerney wala hai 24:22 biltehqeeq jo log paak
daman bakheer imaandaar aurton per aieb lagatey hain unper dunya mein
(bhi) lanat ki gayi hai aur akhirat mein (bhi) aur unkey liye bohhot bara
azaab

