Page 654 - Quran-e-Kareem
P. 654
30 Sureh Ar roam (654) 21st para
th
Tum to sirf unko suna sakte ho jo hamaari aayatoun per imaan rakhey
phir farmaabardaar (bhi) ho 30:53(5AIN13-8) Allah wo hai jisne ibteda
mea tumko zoaf se payda kiya phir baad e zoaf k quwwat ataa ki phir bad
e quwwat k zayeefi aur budhaape ki haalat kardi (toye) wo chaahta hai
payda kardeta hai aur wahi saaheb e ilm (o) saaheb e khudrat hai 30:54 aur
jiss din qayamat qaayem hogi gunehgaar qasmein kha kha ker kahenge k
wo (hum) to ek ghante se zyaada dunia mea rahey hee nahi (toye) ye
(dunia mea bhi) aise hee bayhka karte they 30:55 aur wo log jinko ilm aur
imaan diya gaya tha ye kahenge (1) k tum to khuda k nawishtay k
bamoujib(aalam e dunia aur aalam e barzakh mea ) qaayamat tak rahey
aur aaj to yeh qayamat ka din hai lekin tumko (iska) ilm o yakheen hee na
tha 30:56 pass uss din jinhonay zulm kiya tha unki maazerath unko kuch
nafa na pohonchaayegi aur na unko ruju ki taraf tawajjo dilaayee jaayegi
30:57 aur hum ne iss quran mea mukammil aadmiyoun k nafa k liye her
tarah ki misl

