Page 791 - Quran-e-Kareem
P. 791

44       Sureh Duqqan               (791)                        25   para
                                                                                          th
                         th

               Derguzar aur kehdo [lo bas] salam (toye) phir aage chalker to ye jaan hi


               lenge 43:89


               SURAH DUQQAN MAKEEH SUREH 59 AAYAT



               Bismillah Ar Rahman Nir Raheem



               Rehmaan o raheem k naam se [shuruu karta hun]



               HAA MEEM 44:1 qasam hai waazeh kitaab ki 44:2 yaqeenan humne isko


               barakkat wali raat mein utaara hai k hum hi deraanewale hain 44:3 har

               hikmat wala kaam ussi [raat] mein muqarrar kiya jaata hai (laa) 44:4 ye


               hukum hamaari taraf se hai (toye) hum tumhaare rab ki taraf se 44:5


               rehmat kerke bhejne waale hain (toye) beshak wo bada sunne waala [aur]

               jaanne waala hai (laa) 44:6 jo aasmanoun ka aur zameen ka aur jo kuch in


               donon k dermiyan hai unka parwardigaar hai agar tum yaqeen rakhne

               wale ho [to samajh lo k] 44:7 uske siwa koi mabood nahin  [wohi] jilaata


               bhi hai aur wohi marta hai (toye) tumhaara [bhi] parwardigaar hai aur


               tumhaare pehle baap daadaon ka [bhi] 44:8 lekin wo to shak mein pade

               khelte hain 44:9 so tum [us din ka] intezar karo jisdin asmaan ek zaahir


               dhuaan laega (laa)44:10 jo kul admiyoun ko dhaamp lega yehi to dardnaak


               azaab hai 44:11 [wo arz karenge ke] aye hamare
   786   787   788   789   790   791   792   793   794   795   796