Page 577 - Quran-e-Kareem
P. 577
25 Sureh al-furqan (577) 19th para
th
aur un logon ne jo hamare huzoor mein aneki umeed nahin rakhte ye
kehdiya k humper farishte kyun nazil nahin kiye jate ya hum apne
parwardigaar ko kyun nahin dekhte yaqeenan unhone apne dilon mein
bahut hi takabbur kiya aur bahut hi badi sarkashi ki. (25:21) jisdin wo
farishtoun ko dekhenge usdin qusoorwaron k liye koi khushkhabri nahin
hai aur wo ye kahenge k [hamare aur unke mabain] koi rok aur aadh
kerdijae aur jo amal bhi unhone kiya hoga hum uski taraf mutawajjeh
honge, (25:22) pas usko bikhri hui khaak kerdenge (25:23) Jannat wale
usdin achi se achi araamgah aur behtar se behtar khabgah mein honge
25:24] aur usdin asmaan ek badli [ke sabab] se phat jaayega aur farishte
utaare jaayenge jo utaare jane ka haq hai 25:25] saltanat usdin khudai ki
sabit hogi aur wo kafiron per bahut hi saqt hoga 25:26] aur usdin zalim
[awwal] apne donon hath apne danton se kaat kaat khaega aur ye kahega
k kaash main ne Rasool s.a.w.a ka rasta ekhtiyar kiya hota 25:27] haaye
kharabi meri kaash maine falan [saani] ko yaar na banaaya hota 25:28]
yaqeenan usne mujhko tezkera [walayat]

