Page 585 - Quran-e-Kareem
P. 585
26 Sureh Shura (585) 19th para
th
Nahin hain 26:8 aur yaqeenan tumhaare parwardigaar to zaroor ghalib
[aur] rehem kerne wala hai 26:9 aur jisqwaqt tumhaare rab ne Musa a.s. ko
awaaz di k tum nafermaan qoum yaani qoum e firaoun k paas jao 26:10 k
ye kyun nahin derte? 26:11 unhone arz ki aye mere parwardigaar main us
se derta hoon k wo mujhe jhutlaayenge 26:12 aur mera seena tangi kerta
hai aur meri zabaan nahin chalti. Pas to Haroon a.s. k paas [bhi wahi]
bhejde 26:13 aur mere zimme unka ek qusoor bhi hai pas main derta hoon
k wo mujhe qatl kerdenge 26:14 fermaya nahin nahin ab tum donon
hamaari nishaaniyan lekar jao hum tumhaare saath sunne wale maojood
hain. 26:15 ab tum donon firaoun k paas jao aur us se ye kehdo k hum
tamaam alimoun k parwardigaar k Rasool hain (laa)26:16 k tu hamaare
saath bani israeel ko bhejde 26:17 [firaoun ne] kaha k kya humne tujhko
apne [ghar] mein bachha sa nahin paala aur tu apni umr k chand baras
yahan raha saha. (laa)26:18 aur tune wo kertoot ki jo kuch bhi ki aur tu
ehsan faramosh

