Page 586 - Quran-e-Kareem
P. 586
26 Sureh Shura (586) 19th para
th
[sabit] hua 26:19 [Musa a.s. ne] fermaya k ye fael to maine uswaqt kiya
tha jabke main rasta bhool k aagaya tha 26:20 us waqt jabke main tumse
dara to main khud hi tumse bhaag gaya tha aur ab to mere parwardigaar
ne mujhe hikmat ata ki hai aur mujhe rasooloun mein qaraar diya hai
26:21 wo nemat jiska tu mujhper ehsan rakhta hai yehi hai k tune bani
Israeel ko ghulam bana rakha hai 26:22 Firaoun ne kaha k tamaam
alamoun ka parwardigaar kya hai? 26:23 [Musa a.s. ne fermaya k
aasmanoun ka aur zameen ka aur jo kuch in donon k maabayn hai uska
parwardigaar, agar tum [uska] yaqeen kerne waale ho 26:24 [firaoun ne]
apne gird pesh waloun se kaha kya tum ghour se nahin sunte 26:25 [Musa
a.s. ne] fermaya k tumhaare parwardigaar aur tumhaare pehle baap
dadaoun ka parwardigaar 26:26 [Firaoun ne] kaha k ye tumhaara Rasool jo
tumhaare taraf bheja gaya hai zaroor deewana hai 26:27 [Musa a.s. ne]
fermaya k mashriq aur maghrib k parwardigaar aur jo kuch in donon k
dermiyan hai uska agar tum aql rakhte ho 26:28 [Firaoun ne] kaha k agar
tune mere siwa kisi aur ko mabood banaaya to zaroor tujhko khaidiyoun
main daakhil karoonga 26:29 [Musa a.s. ne] fermaya k agar main tere paas
ek wazeh cheez laaya hoon to bhi? 26:30 [Firaoun ne] kaha k agar tu
sachha hai to la dikha 26:31

