Page 611 - Quran-e-Kareem
P. 611
27 Sureh An-Naml (611) 20 para
th
th
Tumhaare passey pusht {peet peechay} aa hee pohoncha ho 27:72 aur
beshak tumhaara parwardigaar kul aadmiyoun per fazal karne wala hai
lekin unn mea se aksar shukr guzaar nahi hain 27:73 aur beshak tumhaara
parwardigaar unn sab cheezoun ko jaanta hai jinko unke dil chupaaye
huye hain aur jinka wo izhaar karte hai 27:74 aur aasmaan o zameen (1)
mea koi posheeda cheez aisee nahi hai jo khuli kitaab mea naa ho 27:75
beshak ye Quran bani israyeel se bohhot see wo baatein bayaan karta hai
jin mea wo (2) ikhtelaaf kiya karte hai 27:76 aur yaqeenan ye mominoun k
liye hidaayat aur rehmat hai 27:77 beshak tumhaara parwardigaar unke
maabayn apnay hukum se faysla karega (jeem) aur wo barha zabardast
(aur) jaanne wala hai 27:78(jeem) pass tum allah per bharosa karo(toye)
yaqeenan tum (saaf) saaf haq per ho 27:79 ye zaroori baat hai k tum
murdoun ko nahi sunaa sakte aur na behroun ko awaz sunaa sakte ho jab
k wo peeth phayr ker chaldein 27:80 aur na tum andhoun ko gumraahi se
raah raast per laa sakte ho (toye) tum sirf uss shaks ko sunaa sakte ho jo
hamaari aayatoun per imaan rakhta hai k aise log maanne waale hai 27:81
aur jab baat unnper poori hogi

