Page 612 - Quran-e-Kareem
P. 612
27 Sureh An-Naml (612) 20 para
th
th
to hum unke liye zameen mea se ek chalne wala (1) nikaalenge jo unse
baatein karega (laa) k log hamaari aayatoun per yaqeen nahi rakhte they
27:82(6AIN16-2) aur uss din hum her ummat mea se ek ek aise grow ko jo
hamaari aayatoun ko jhutlaaya karte they jamah karlenge phir wo baraabar
kharey kiye jaayenge 27:83 yahaan tak k jab wo sab aajaayenge to khuda e
taala unse farmaayega k kiya tumne hee meri aayatoun ko jhutlaya tha
halaanke azroo e ilm ki tum unke ahaata nahi karsakte they {Ilm k zariyea
tum unko mukammil nahi samajh saktey } ya hum kuch aur kiya karte
they ? 27:84 aur unke ber khilaaf baa ay’waz {unke badle mea} uske k wo
naa farmaani karte they (hamara ) khoul poora hojaayega phir wo bol na
sakenge 27:85 kia unhonay ghour nahi kiya k humne raat issliye banaayi
hai k wo uss mea aaraam karein aur din ko dikhaane wala (muqarrar kiya
hai) (toye) Beshak unn logoun k liye jo imaan rakhte hai iss mea
nishaaniyan moujuud hain 27:86 aur jiss din suur phuuka jaayega to jo
aasmanoun mea hai (3) aur jo zameen mea hai siwaaye unke jinko allah
chaahe sab hee dahal jaayenge (toye) aur sab zaleel hoker uski huzoori mea
chaley aayenge 27:87 aur (uss waqt) tum pahaardoun ko dekhogay k tum
to unko qaayem samajte hongay halaanke wo baadal ka sa chaal chal
rahey hongay (toye) ye uss allah ki kaarigari hai jisne her cheez ko
mazboot banaaya hai (toye) beshak jo kuch

