Page 619 - Quran-e-Kareem
P. 619
28 Sureh An-Qasas (619) 20 para
th
th
K jinko bhi aap ijrat per rakhei(1) unn mea wahi behtar hai jo khawi bhi
ho aur amaanatdaar bhi ho 28:26(shoaib ne ) farmaya k mea ye chaahta
houn k inn dono larkiyoun mea se ek ka nikah aapke saath iss shart per
kardun k aap aath baras meri khidmat karein (jeem) phir agar aap dass
poore kardein to ye aapka ehsaan hai (jeem) aur mea aap per koi dabaav
daalna nahi chahta inshallah aap mujhey saalayheen mea se paayenge
28:27(musa ne ) arz ki k mere aur aapke maabayn ye muaamla hogaya
(toye) dono muddatoun mea se jounsi muddat bhi mea poori kardun phir
mere zimmay koi baar na hoga (toye) aur jo kuch mere aur aap ki taqreer
hui hai khuda e taala uska shaahid hai 28:28(3AIN7-6) phir jab musa ne
wo(3) muddat poori karli aur apnay ahal ko lekar chaley to unko koh e
tuur se ek aag nazar aayi (toye) to unhonay apnay ahal se kaha k tum
yaheen thayre raho mea ne aag dekhi hai ya to mea uske paas se tumhaare
liye koi khabar lekar aata houn ya aag ki chingaari laata houn k tum taap
sako 28:29 ye phir jab uske paas pohonchey to uss mubaarak jagah
maydaan k daayein kinaarey se

