Page 620 - Quran-e-Kareem
P. 620

28     Sureh An-Qasas                      (620)           20   para
                                                                                     th
                         th

               Ek darakht se unko (1) ye awaz dee gayi k aye musa mea hee to tamaam


               aalemoun ka parwardigaar houn 28:30(laa) aur tum apna asaa to daaldo

               (toye) phir jab usko iss tarah lehraata hua dekha jaise jeeta jaagta saamp to


               peechay ko phiray aur hargiz na dekha (phir awaz dee gayi k) aye musa

               aagay barho aur daro nahi (qaff) tum yaqeenan aman paane waaloun mea


               se ho 28:31 apna haath apnay garebaan mea daal lo k wo be ayeb safayd


               (aur) roushan niklega (zaal) aur rafi khauff k liye apnay baazu ko apni

               taraf sukayrlo pass tumhaare rab ki taraf se ye do hujjatain firaoun aur uss


               k darbaariyoun k liye hai (toye) beshak wo naafarmaan log hain 28:32

               (musa ne ) arz ki k aye mere parwardigaar mea ne unn  mea se ek shaqs


               ko khatl kar diya tha pass mea darta houn k wo (qasaas me) mujhey maar


               daalenge 28:33 aur mere bhai haaroun mere ye nisbat zabaan mea zyaada

               faseeh hai pass unko mere saath madadgaar banaaker bhej k wo meri


               tasdeeq karein (zaal) yaqeenan mea iss baat se darta houn k wo mujhey


               jhutlaayenge 28:34(khuda e taala ne ) farmaya k
   615   616   617   618   619   620   621   622   623   624   625