Page 625 - Quran-e-Kareem
P. 625
28 Sureh An-Qasas (625) 20 para
th
th
Yaqeenan jisko tum chaaho (1) raah per nahi laa sakte lekin allah jisko
chaahe raah per le aayega (jeem) aur wo raah per aane waaloun se khoob
waaqif hai 28:56 aur unhoney ye keh diya k agar hum aapke (2) saath
hidaayat k pairo hojaaye to hum apnay mulk se uchak liye jaaye (toye) kia
humne unko aise aman dene waale haram mea jagah nahi dee jiski jaanib
hamaari taraf se rizq k taur per her cheez k phal (ba kasrat) laaye jaate hai
lekin un mea se bohhot se kuch nahi jaante 28:57 aur humne kitni hee
bastiyaan halaak kardi jo (aasaayish se ) itraaker apni basar karti thi (jeem)
ab ye un k makaanat unke baad bohhot hee kam aabaad kiye gaye (toye)
aur (asli) waaris hum hee hai 28:58 aur tumhaara parwardigaar bastiyoun
ka barbaad karne wala nahi hai jab tak k unke sadar muqaam mea kisi
rasool ko maabus na karey jo unko hamaari aayatein parhker sunaaye
(jeem) aur hum bastiyoun k badbaar karnewaale nahi hai siwaaye uss
suurat k, k unke paashinday {rehne waale} naa farmaan ho 28:59 aur tum
logoun ko jo cheez bhi dee gayi hai

