Page 626 - Quran-e-Kareem
P. 626
28 Sureh An-Qasas (626) 20 para
th
th
Wo zindagaani dunia ka sarmaaye aur uski zeenat hai (jeem) aur jo kuch
allah k paas hai wahi (sab se ) behtar aur zyaada baakhi rehne wala hai
(toye) kia tum itni samaj nahi rakhte ? 28:60(6AIN10-9) kia wo shaks jisse
humne ek acha waada kiya hai aur usko wo waada milne wala bhi hai uss
shaqs k baraabar ho sakta hai jisko humne zindagaani dunia k sarmaaye se
nafah pohonchaaya hai phir wo qayamat k din (azaab k liye) haazir kiya
jaayega 28:61 aur jiss din khuda unko awaaz dega phir farmaayega k mere
wo shareek kahan hai jin per tum ghamand kiya karte they 28:62 ussper
wo log jin per hamara khoul saabit hojaayega ye arz karenge k aye
hamaare parwardigaar yahee hai wo jinko hum ne behkaya (jeem) humne
unko ussi tarah behkaya jiss tarah hum khud behek gaye they (jeem) ab
hum teri huzoor mea unse tabarrah karte hai (zaal) ye hamaari parastish
nahi kiya karte they 28:63 aur unse kaha jaayega k tum apnay sarkashoun
ko pukaarlo pass wo unko pukaarenge aur wo unko koi jawaab na denge
aur wo azaab ko dekhenge (aur ye tamanna karenge k) (jeem) kaash wo
hidaayat yaafta hotay 28:64(jeem) aur jiss din khuda unko awaz(1) dega

