Page 630 - Quran-e-Kareem
P. 630
28 Sureh An-Qasas (630) 20 para
th
th
Aur unn logoun ne jinko ilm diya gaya tha (1) ye kaha k tumhaara bura
ho uss shaqs k liye jo imaan laaye aur nayk amal karey (jeem) allah ki taraf
se jo muaaweza mileyga wo bohhot hee acha hai aur ye baat siwaaye sabar
karne waaloun k kisi aur ko nahi sikhaayi jaati 28:80 phir humne qaroon
ko (2) aur uske makaan ko zameen mea dhasa diya pass na uska koi grow
tha jo allah k azaab se bachaane mea uski nusrat karta aur na wo khud hee
apnay aap ko bachaa sakaa 28:81 aur wo log jo kal uski manzilat k
khwaaestegaari kar rahey they ye kehne lagey hai hai ye to allah hee hai jo
apnay bandoun mea se jiske liye chaaheta hai rizq mea wussat {izaafa}
kardeta hai aur (jiske liye chahta hai ) tangi kardeta hai (jeem) agar allah
ne humper ehsaan na kiya hota to hamey bhi dhasaa deta (toye) aray
ghazab kaafir to (kahin) panaah hee nahi paate 28:82(8AIN7-11) ye
aakheratt ka gher hum unn logoun k liye muqarrar karte hai jo na zameen
mea (3) takabbur chaahte hai aur na fasaad aur anjaam nayk
parhezgaaroun k liye hai 28:83 jo ek (khaas) nayki laayega pass (uska
badla)

