Page 631 - Quran-e-Kareem
P. 631
28 Sureh An-Qasas (631) 20 para
th
th
Uske liye usse behtar hoga (jeem) aur jo ek (khaas) badee laayega to unn
logoun ko jo badee kiya karte they sirf waisa hee badla diya jaayega jaise k
wo amal kiya karte they 28:84 ba tehqeeq wo jisne tumper quran ko waajib
kiya hai (1) kia tumko tumhaare thikaane ki taraf lautaane wala hai (toye)
tum ye kehdo k mera parwardigaar uss se bhi khoob waaqif hai jo hidaayat
ko lekar aaya aur uss se bhi (aagah hai ) jo sareeh gumraahi mea hai 28:85
aur tumko to koi ye umeed na thi k tum par koi kitaab utaari jaayegi
magar tumhaare parwardigaar ki taraf se rehmat hui pass tum hargiz
kaafiraoun k pusht (2) panah na hona 28:86(zaal) aur tumko aayaat se
baad uske k wo tumper naazil (3) ki gayi hargiz koi cheez na rokay aur
tum (logoun ko) apnay parwardigaar ki taraf bulaao aur tum hargiz
mushrikoun mea se (4) na hona 28:87(jeem) aur Allah k saath kisi (5)
dusre ko Allah na banaalo (meem) uske siwaa koi maabud nahi hai (fe
qaaf)(6) her cheez siwaaye wajhullah k halaak honay waali hai (toye) (asli)
hukum ussi ka hai aur ussi ki taraf tum sab ki baazgasht hogi
28:88(9AIN6-12)

