Page 783 - Quran-e-Kareem
P. 783
43 Sureh Az-zuqruf (783) 25 para
th
rd
Bande hain betiyan kharaar dediya aaya wo unki paidaish k waqt maojud
the. Ankhareeb unki gawaahi likhi jaegi aur unse baazparas ki jaegi 43:19
aur unhone ye kehdiya k agar [khuda e ] rehmaan chahta to hum unki
ibaadat na kerte unko iska koi ilm nahin hai wo to mehez atkal pacchu
{qyaas} baaten banaate hain 43:20 ya humne unko pehle se koi kitaab di
hai jisko wo mazboot pakde hue hain 43:21 balke unhone to ye kaha tha k
ba tehqeeq humne apne baap dada ko ek tareeqe per paaya aur hum to
unhi k qadam ba qadam chale jaayenge 43:22 aur is terha humne tum se
pehle jis basti mein koi derane wala bheja to uske daolat mandoun ne yehi
kaha k humne to apne baap dada ko ek tareeqe per paya aur hum to unhi
k khadam ba khadam chale jaayenge 43:23 [us deranewale ne ye] kaha k
jis tareeqe per tumne apne baap dada ko paya tha agar main us se zyada
seedha tareeqa laya hoon [to bhi] unhone kehdiya k jo kuch tumko dekar
bheja gaya hai uske to hum zaroor munkir hain 43:24 pas humne unse bhi
badla diya phir dekhlo un jhutlane walon ka anjaam kya hua 43:25 aur [us
waqt ko yaad karo] jabke Ibraheem a.s. ne apne baap [yaani chacha] se aur
apni qoum se ye kaha k jin

