Page 780 - Quran-e-Kareem
P. 780
42 Sureh Ash-shura (780) 25 para
th
nd
Hojata hai 42:48 aasmanon aur zameen ki badshaahi khuda hi k liye
[musallam] hai (toye) wo jo kuch chahta hai paida kerta hai jisse chaahta
hai betiyan ataa kerta hai aur jise chahta hai bête inaayat farmaata hai
(laa)42:49 ya unko bête aur betiyan judwan deta hai (jeem) aur jisko
chahta hai baanjh{la-walad} ker deta hai beshak wo sahib e ilm aur sahib e
qudrat hai 42:50 aur kisi bashar ki ye manzilat nahin hai k Allah us se baat
kare siwaaye uske k wahi k zariye se ho ya pass e perda se ya kisi Rasool
ko bhejde phir jo chaahe apne hukum se usko wahi pahunchaaye beshak
wo buland martaba aur hikmat wala hai 42:51 aur issi terha humne apne
hukum se ruh [ul imaan] ko tumhaare taraf wahi k saath bheja [jiske liye]
tum ye nahin jaante the k kitaab kya cheez hai aur na ye k [taleem] imaan
ki khabar thi, lekin humne usko ek noor kharar diya jiske zariye se hum
apne bandon mein se jisko chaahen hidaayat kerden aur beshak tum rah e
raast ki taraf hidaayat kerte ho (laa)42:52 (yaani) us Allah talah ki taraf k
aasmanoun mein aur zameen mein jo kuch hai ussi ka hai (toye) agaah
raho tamaam umoor ki bazgasht Allah hi taraf hogi 42:53

