Page 776 - Quran-e-Kareem
P. 776
42 Sureh Ash-shura (776) 25 para
th
nd
Mohar lagade halanke Allah baatil ko mitaata hai aur apne kalemaat k
zariye se haq ko haq sabit kerta hai beshak wo diloun ki haalat se [poora
poora] aagah hai 42:24 Aur wo wohi to hai jo apne bandon ki taoba
khubool kerta hai aur unki badkaariyan maaf kerta hai aur jo kuch tum
kiya kerte ho wo janta hai 42:25 aur jo log imaan laaye aur nek amal
bajalaaye unki dua khubool fermaata hai aur unke haq mein apna fazl o
karam bardha deta hai aur kafir jo rahe unke liye saqt azaab hai 42:26 aur
agar Allah apne bandon k liye rizq bardha deta to wo zameen mein zaroor
baghaawat kerte magar wo to ek andaaze se jo kuch chahta hai utaarta hai
beshak wo apne bandon k haal se [poori poori] khabar rakhne wala [aur]
unki dekh bhaal kerne wala hai 42:27 aur wo wohi to hai jo baad iske k wo
mayoos ho chuke hon barish naazil kerta aur apni rehmat phaila deta hai
aur wohi sarparast [aur] sazawar e hamd hai 42:28 aur uski nishaniyon
mein se aasmanoun ka aur zameen ka paida kerna [bhi] hai aur jitney
chalne phirne waale in donon mein hain unka [paida kerna] bhi aur jis
waqt wo chaahe unke jamaah kerlene per [poori poori] qudrat rakhne wala
hai 42:29 aur jo

