Page 774 - Quran-e-Kareem
P. 774
42 Sureh Ash-shura (774) 25 para
th
nd
Mabain koi jhagda nahin hai. Allah [qayamat k din] hum sabko jama
karega aur ussi ki taraf [sab ki] baazgasht hai 42:15 aur jo log deen e
khuda k baare mein katt-hujjati {bila wajah ki behes} kiye jate hain baad
iske k uski baat [khalq mein] maanli jachuki hai unki hujjat unke
parwardigaar k nazdeek laghzish mein hai aur un per ghazab hoga aur
unke liye saqt azaab hai 42:16 Allah wohi to hai jis ne kitaab ko haq k
saath utaara aur meezan ki [bhi] aur tumhein kya khabar hai k shayad
qayamat khareeb hi ho 42:17 uski nisbat jaldi to wohi log kerte hain jo
usper imaan nahin laaye aur jo imaan laaye hain wo to usse derne waale
hain aur ye jante hain k wo berhaq hai. Agaah raho k jo log qayamat k
baare mein jhagadte hain [wo] beshak badi gumrahi mein hai 42:18 Allah
apne kul bandon per bahut hi meherbaan hai jise [jise] chahta hai [jis jis
terha chahta hai] rizq ataa fermata hai. Aur wo bada quwwat wala [aur]
zabardast hai, 42:19 jo akhirat ki kheti chahta hai. Tum uski kheti ko
khoob badha denge aur jo dunya ki qurmaan {phal} chahta hai to hum
usko ussi mein se dedenge aur uska

