Page 769 - Quran-e-Kareem
P. 769
41 Sureh haa meem (769) 25 para
th
st
Qayamat kab aaegi is ka ilm ussi ko hai (toye) aur us k ilm k baghair na
koi phal apne ghilaaf se nikal sakta hai aur na koi maada hamela hoti hai
aur na bachha jannti hai aur us din wo un [mushrikon] ko nidaa dekar
farmaayega k mere shareek kahan hain.? Wo arz karenge k hum to tujhko
ittela de chuke k hum mein se koi bhi [shirk ki] gawaahi dene wala nahin
hai (jeem) 41:47 aur jin jin cheezon ko wo pehle se pukaara kerte the ab
wo sab unse jaati rahengi aur unko yaqeen ho jaayega k hamaare liye koi
chutkaara nahin 41:48 Insaan neki ki dua [maangne] se to uktaata nahin
aur agar usko koi takleef chu jaati hai to maayus [aur] na umeed ho jata
hai 41:49 aur agar baad iske k museebat usper padh chuki ho hum usko
apni rehmat ka maza chakha den to zaroor ye kahega k iska to main
mustahaq hi tha aur mere khayal mein qayamat aane hi ki nahin. Aur agar
main apne parwardigaar k huzoor mein laotaaya bhi gaya to mere liye uske
paas [is se] achi haalat [maojud] hai. Pas jo log kafir ho gaye hain unko
hum jo kuch wo kiya kerte hain zaroor jatlaayenge aur unko saqt azaab ka
maza zaroor chakaayenge 41:50

