Page 768 - Quran-e-Kareem
P. 768
th
st
41 Sureh haa meem (768) 24 para
( khuda ) ki taraf say utaara huwa hai 41:42 tumhaare liye kuch aur nahi
kaha jaata magar wohi jo tum say pehle rasooloun k liye kaha gaya hai (
toye) beshak tumhaara parwardigar zaroor bakshnay wala ( bhi) hai aur
dardnaak azaab dene wala (bhi) 41:43 aur agar hum iss quran ko ajmee
zubaan mea utaartay tu ( uss waqt) log yeh kehtay k isskay ehkaam (toye)(
hamaari samaj k laayek ) saaf kyun na kiyeh gaye kya ( kalaam) ajmee
hota (toye) halaanke mukhatib arabi hain – tum yeh kehdo wo un logo k
liye tu jo imaan laaye hidaayat–o-shifa hai (toye) aur jo imaan nahi
rukhtay unke kanoo mea tu theeti hai aur Quran unke liye nabinaei hai (
toye) aur wo aese hee raheingay k ( goya) unko duur say awaz dee jarahi
hai (ain) 41:44 aur humnay yaqeenun moosa ( a.s) ko kitab aata ki thee
phir ussmay ikhtelaaf kiya gaya (toye) aur agar tumhaare parwardigar ka
kalma ( mutaliq-e- mohlut ) sabiq na ho chuka hota tu unke maabain kabi
ka faisla hochukta ( toye) aur beshak wo usski taraf say zaroor baychain
karne waale shak mea rahenge 41:45 jo shaks koi naiki karega tu apni zaat
ki bhalaayi k liye aur jo koi badee karega tu usska zarrar ussi ko
pohonchayega (toye) aur tumhaara parwardigar bando k haq mea zalim
nahi hai 41:46

