Page 766 - Quran-e-Kareem
P. 766

41    Sureh haa meem                       (766)                        24   para
                                                                                                 th
                         st

               Aur ussay behtar baat kiski hogi jo Allah ki taraf bulaaye aur naik amal


               karay aur yeh kahay k yaqeenun mea ( khuda ki ) itaayat karnay waloon

               mea say hoo 41:33 aur nayki aur badi to barabar hoti nahi tum badi ka


               dafeeya uss cheez say karo jo bohat hee achi ho tu yakayuk wo shaks jiskay

               aur tumhaare maabain adawat hogi aesa hojaayega jesay sargarum doost


               hota hai 41:34 aur iss khuslat k qabool karnayki tofeeq siwaaye unlogo k


               jinhonay sabar kiya hai aur kisi ko nahi milegi aur iss khuslat per amal

               karneki tofeeq siwaaye unke jinka hissa bohat bara hai aur kisi ko na


               milaygi 41:35 aur agar shaytan ki taraf say tumhaare dil mea koi waswasa

               dala jaaye to tum Allah ki panaah maang liya karo ( toye)  yaqeenun wo


               bara sunnay wala ( aur) bara jaanay wala hai 41:36 aur raat aur din aur


               sooraj aur chaand ussi ki nishaniyoon mea say hain (toye) tum log na

               sooraj  ko sajda karo aur na chaand ko balkay uss Allah ko sajda karo jis


               nay unko paida kiya hai agar tum ussi k banday banna chahatay ho 41:37


               phir agar yeh akrein tu tumhaara parwardigar k pass tu
   761   762   763   764   765   766   767   768   769   770   771