Page 761 - Quran-e-Kareem
P. 761

41    Sureh haa meem                       (761)                        24   para
                                                                                                 th
                         st





               Aur ussi say maghferat talab karte raho aur unn mushrikoun k waaste

               wayel {jahannum ka tabkha}  hai (laa) 41:6 jo zakaat adaa nahi karte aur


               wo aakherat k bhi ( pooray pooray) munkir hain 41:7 beshak jo log imaan


               laaye aur unhonay naik amal kiye unke liye aisa ajar hai jiska koi ehsaan

               na jataya jaayega (ain) 41:8 tum yeh kehdo k kya tum uska inkaar karte ho


               jis nay deen ko do din mea paida kiya aur uskay liye shareek qaraar dete

               ho? (toye) tamaam aalemoun ka parwarish karnay wala wohi to hai (jeem)


               41:9 aur ussi nay iss zameen mea ( baray baray) bhojul pahaar ooper Ki


               taraf say qaim kiye  aur ussi nay (zameen) mea barkat dee aur ussi nay iss

               mea chaar din k arsay mea unki quwwat basree k samaan andazaa say


               muqarrar kardiye jo sab maangnay waloo k liye baraabar hain 41:10 phir


               wo asmaan ki taraf mutawaja huwa halaanke wo uss waqt dhunwaa tha –

               pas ussnay asmaan –o-zameen ko hukum diya k tum bakhushi ya


               bakarahut hazir ho (toye) dono nay arz ki hum bakhushi hazir hain 41:11


               pass uss nay do din mea unko saat asmaan banadiya aur her (her) asmaan

               mea bazurya wahi uskay munasibay haal hukam pohonchaadiya (toye) aur
   756   757   758   759   760   761   762   763   764   765   766