Page 756 - Quran-e-Kareem
P. 756
40 Sureh Al-Momin (756) 24 para
th
th
Nahi hotay 40:61 yehi Allah tumhaara parwardigar her cheez ka paida
karnaywala hai (meem) uske siwa koi mabood nahi (jeem) pas tum kidhar
bayhkay jatay ho ? 40:62 issi terhan wo (bhi) bayhak jaaya karte thay jo
Allah ki aayatoun ka inkaar karte rehtay thay 40:63 Allah wohi tu hai
jisnay zameen ko tumhaare liye jaaye qarar muqarrar kiya hai aur asmaan
ko ek imaarat (yani shamiyana) aur tumko soorut aata ki hai so tumhaari
suraatein kaysi achi banadi han aur tumko pakiza cheezein khanayko dee
hain (toye) yehi Allah tumhaara parwardigar hai so Allah tamaam
aalemoun ka parwardigar bara barkat wala hai 40:64 (haqeqee ) zinda wohi
hai uske siwa koi mabood nahi so tum deen ko ussi k waastay khalis kar k
ussay pookaro sab tareef ussi Allah k liye hai jo tamaam aalemoun ka
parwardigar hai 40:65 tum yeh kehdo k mujay tu uss say mamaniyut ki
gayi hai k jinko tum Allah k siwa pookartay ho unki ibaadat karnay lugo
jabkay meray parwardigar ki taraf say meray pas khuli dalelein achuki han
(zay) aur isska mujko hukum diya gaya hai k mea tamaam aalemoun k
parwardigar hee ki itaayat karun 40:66 wo wohi tu hai jisnay awal tumko
awwal mittih se paida kiya

