Page 754 - Quran-e-Kareem
P. 754
40 Sureh Al-Momin (754) 24 para
th
th
Tum hee apnay parwardigar ko pookaro k kisi din tu hamara azaab halka
karday 40:49 wo ( jawab may) kaheingay kiya tumhaara pas tumaray
rasool khuli daleelein laykar nahi aayethay ?(toye) jawab deingay ji ( aaye
tu thay ) (khazanchi) kaheingay k bas to tum hee pokarlo halaankay
kafiron ka pokarna kuch na hoga magar raayegaa 40:50 beshak ham
zindagaani dunya mea apnay rasooloun ki ( bhi) madad karte rehtay hain
aur unlogo ki ( bhi) jo imaan laaye han aur jis din gawah kharay hoongay
(laa) 40:51 uss din nafarmano ko unki mazrut koi nafa na pohonchaeaygi
aur unhee k liye laanat hogi aur unhi k liye uss ghar ki buraayi 40:52 aur
humnay yakeenun moosa(a.s) ko hidaayat di aur bani israeil ko aesi kitab
ka waris kardiya (laa) 40:53 jo sahiban-e-aql k liye hidayat–o-nasiyat hai
40:54 so tum sabr karo beshak Alah ka wada barhaq hai aur apnay gunaho
ki mafi maang lo aur subha–o-shaam apnay parwardigar ki hamd ki
tasbeeh phartay raho 40:55 wo log jo Allah ki aayatoun mea baygair kisi
daleel lay jo unke pas aayi ho jaghurtay rahtay han (laa)unkay seeno mea
siwaaye takabur k aur kuch

