Page 758 - Quran-e-Kareem
P. 758
th
40 Sureh Al-Momin (758) 24 para
th
(jawab mea ) kaheingay k wo to hum say goom ho gaye balkay hum (tu )
pehle say kisi aur ko pookara hee nahi karte thay (toye) iss terhan Allah
kafiron ko namurad kardayga 40:74 yehi hai jis per tum zameen mea
naahaq khush howa karte thay aur ( yehi hai ) jis per tum itraaya karte
thay (jeem) 40:75 – aub jahannum k darwazoo mea ja ghusoo iss mea
hamesha rehnay walay hogay pas takabur karnay walo ka kesa buraa
thekana hai ! 40:76 pas tum sabar karo beshak Allah ka wada barhaq hai
(jeem) phir agar hum uss cheez ka jis say unko daratay hain koi hissa
tumko dikhladein ya tumhaara khatma kardein tu hamaari hee taraf
unnsab ki baazgusht hogi 40:77 aur beshak tum say pehle hum nay bohat
say rasool bhejay thay unmay say aese (bhi) hain jinka qissa hamnay
tumko sunaaya hai aur unmay say aese bhi hain jinka qissa hamnay tumko
nahi sunaya (toye) kisi rasool ka yeh kaam na thaa k baghair khuda k
hukm k koi mojza dikhlaaday ( jeem) pas jab hukam-e-khuda ajaeayga tu
theek ( theek) faisla kardiya jaayega aur uss waqt baatil walay totay
{nuqsaan} mea raheingay (ain) 40:78 Allah wohi hay

