Page 749 - Quran-e-Kareem
P. 749
40 Sureh Al-Momin (749) 24 para
th
th
Maujizaat aur khulay ghulbay k sath (laa) 40:23firaoun wahain hamaan aur
qaroon k pas beja tha pas unho nay kehdiya k (yeh tu ) jaadogar (aur)
bara joota hai 40:24 pass jab wo hamaari taraf say haq laykar unke pass
pohoncha tu unhonay kaha k jo ussper imaan laaye hain unke betoun ko
qatl kardo aur unki betiyoun ko zinda chor do (toye)halaankay kaafiraoun
ki koi chaal aesi nahi hai jo bekaar na gayi ho 40:25 aur firaun ne kaha
mujay chooro ( tu sahi ) k mea moosa (a.s) ko qatl karun aur issay
chahiyeh k yeh apnay rab ko pookaray mujay andaysha hai k yeh kaheen
tumhaare deen ko badal de ya mulk mea fasaad phayladay 40:26 aur moosa
(a.s) nay farmaya k mea nay tu her mutakabar k shar say ( bachnay k liye
) jo qayamat k din per imaan na rukhta ho apnay parwardigar ki aur
tumhaare parwardigar ki panhaa maangli hai 40:27 aur firaun k kunbay
mea say ek mard-e-momin nay jo apnay imaan ko chupaata tha yeh kaha
keh kiya tum ek shaks ko sirf itni si baat per qatl karte ho k wo kehta hai
k mera parwardigar Allah hai halaanke wo tumhaare pas tumhaare
parwardigar ki taraf say yaqeenun khuli daleelein laykar aaya hai (toye)

