Page 748 - Quran-e-Kareem
P. 748
40 Sureh Al-Momin (748) 24 para
th
th
Yani kalayjay moo ko ajaeingay (aur) (toye) zalimo ka na koi sargaram
dost aesa hoga aur na sifarishi jis ki sunn li jaaye (toye)40:18 wo aankon
ki khiyaanut ko ( bhi) jaanta hai aur jis baat ko seenay chupaaye howay
hain usko (bhi) (toye) 40:19 aur Allah tu theek ( theek) faisala fermata hai
(toye) aur jinko yeh uske siwa pookartay hain wo koi baat ( bhi ) tay nahi
karsaktay (toye) bayshuk Allah bara sunnay wala ( aur) bara dayknay wala
hai 40:20 kiya yeh zameen mea nahi chalay phiray k ghaur karte k jo insay
pehle thay unka injaam kesa howa? (toye) wo ( tu) quwwat ki haysiyut say
aur zameen mea nishan choornay ki haysiyut say insay kahein baray
howay thay phir Allah nay unke gunahoon ki padash mea unko dhur
pakra (toye) aur Allah ( ki giraft) say unko bachanay wala koi ( bhi) nahi
howa 40:21 yeh issliyeh k unke paas unke rasool khuli nishaniyaan lekar
aaya karte thay pass unhonay inkaar kiya phir khuda talaa nay unsay
mawakhiza kiya beshak wo bara qawaat wala (aur) sakht azaab dene wala
hai 40:22 aur yaqeenan humnay moosa(a.s) ko

