Page 743 - Quran-e-Kareem
P. 743
39 Sureh Al-Zamur (743) 24 para
th
th
Aur jo zameen mea han wo (bhi) siwaaye unke jinko Allah chaahay phir
ussmay dobara phook marii jaayegi tu yaka yuk wo sab kharay hokar
(idhar udhar ) daykhnay lagengay 39:68 aur zameen apnay maalik k noor
say roshan hojaeaygi aur nawishte rakh diyeh jaayenge aur nabi aur gawah
hazir kiyeh jaayenge aur unke maabain theek (theek) faisala aur unper koi
zulum na kiya jaayega 39:69 aur her nafs ko (jo) jo kuch wo karchuka hai
uska pora (pora) badla diya jaayega issliyeh k jo (jo) kuch wo kiya karte
hain wo ussay khoob waqif hai 39:70 aur jo kafir ho chukay wo ek ghoul
banaakar jahunum ki taraf hunka diyeh jaayenge (toye) yahan tak k jub wo
uske pas poocheingay tu uske darwazay khooldiyeh jaayenge aur uskay
nighayban unsay yeh kaheingay k kiya tumhaaray pas tum hee mea say
kuch payghumbar nahi aaeay thay jo tumko tumhaare parwardigar ki
aayatein parh kar sunaatay aur tumko tumhaaray iss din ki payesh aamad
say daraatay (toye) wo kaheingay k han (aaeay tu zaroor thay ) laykin
(humnay na maana aur ) kafiroo per azaab ka kalma poora utraa 39:71
kaha jaayega k jahunum k phaatakon {barhe darwaaze} mea ja ghusso
hamesha issi mea rehna (jeem)

