Page 746 - Quran-e-Kareem
P. 746

40   Sureh Al-Momin                 (746)                        24   para
                                                                                          th
                         th

               (Aur yeh kehtay rehtay han kay) aye hamaaray parwardigar teri rehmat


               aur tera ilm her cheez per haawi hai pass jin logo nay tauba karli hai aur

               wo teri raah per chaltay han unke gunah bakshday aur unko jahannum k


               azaab say bacha le 40:7 (aur) hamaaray parwardigar unko hamesha rehnay

               ki jannutoo mea jinka tu nay unsay wada kiya hai daakhil farma day aur


               unke baap dada mea say aur unki izwaaj mea say aur unki olaad mea say


               (jo) naik hoon unko (bhi) (toye) bil-tehkeeq tu bara zabardast ( aur )

               hikmat wala hai ( jeem)(swad) 40:8 aur unko takleefon say bachalay (toye)


               aur jisko tu nay uss din takleefon say bacha liyah ussi per tu yakeenun

               rehmat farmaayi (toye)  aur yehi tu bari kamiyabi hai 40:9 jo log kafir


               hogaye thay unsay yaqeenan awaz daykar kehdiya jaayega k khuda ki


               narazgi uss say kahein zyada hai jitna k tum apnay aapay  say naraz ho k

               tumko imaan ki taraf bulaaya jaaya karta tha issper bhi tum inkaar kardiya


               karte thay 40:10 wo arz kareingay k parwardigar tu nay tu humko doo dafa


               maara aur doo hee martaba jilaya {zinda kiya} phir hum nay apnay

               gunahoon ka ayetiraaf kiya  tu ab( bhi) iss azaab say nikulnay ki koi sabeel


               hai ? 40:11 ( jawab milayga k ) baat tu yehi hai k jab khuda –e-yakta
   741   742   743   744   745   746   747   748   749   750   751