Page 764 - Quran-e-Kareem
P. 764
41 Sureh haa meem (764) 24 para
th
st
(gunaahoun ko ) chupatay hee na thay aur na iss ( khouf) say k tumhaari
aakhein ( gawahi dengi) aur na iss ( khoof) say k tumhaari khalein
(gawahi denge) balkay tumnay tu yeh gumaan karliya tha k jo bad-
amaliyaan tum kiya karte thay unmay say bohat si batoo ko khuda jaanta
hee nahi 41:22 aur tumhaari issi bad-gumani nay jo tum nay apnay
parwardigar ki nisbat karli thee tumhein tabah kardiya k tum ( sakht)
nuqsaan uthanay waloo mea say hogaye 41:23 ab agar sabr karein tu
jahannum unka khasa thikaana hai (jeem) aur agar wo touba chahein tu
wo unlogo mea say nahi hain jinki touba qabool ki jaaye 41:24 aur hum ne
unke liye aese humnasheen muqarrar kardiye thay k wo jo kuch unke
saamne tha usko aur jo kuch unke baad aaneywala tha ussko unke liye
zeenat dete rehte thay aur tamaam ummatoun mea jo unsay pehle guzree
jinaat ki thee to aur insaan ki thee to unper hamara khoul poora utraa k
wo zaroor nuqsaan uthanay walay huway (ain) 41:25 aur jo log kafir ho
gaye thay unhonay yeh kaha k tum iss quran hee ko naa sunoo aur uss ( k
parhe jaane k waqt ) mea kharafaat bako taakay tum hee ghalib raho 41:26
pas hum unlogo ko jo kafir hogaye hain zaroor sakht azaab ka maza
chakhaeingay aur jo bad-amal wo kiya karte thay

