Page 773 - Quran-e-Kareem
P. 773
42 Sureh Ash-shura (773) 25 para
th
nd
Wahi ki hai aur jiski baat humne Ibrahim a.s. aur Musa a.s. aur Esa a.s.ko
wasiyat ki thi k deen ko qaim rakho aur uske baare mein firqe firqe na ban
jao. Mushrikon per wo amr jiski taraf tum unko bulaate ho bahut giran
guzra. Allah us amr k liye jisko chahta hai muntaqib ferma leta hai aur
taufeq-e-hidaayat ussi ko ata kerta hai jo uski taraf ruju kare 42:13 Aur
baad iske k unke paas ilm aachuka tha wo mehez aapas k hasad k baaes
firqe firqe ban gaye aur agar tumhaare parwardigaar [ki taraf se mohlat] ka
hukum ek muddat e moaiyyana k liye na ho chukka hota to unke maabain
[kabhi ka] faisla ho chukta aur beshak jin logon ko unke baad kitaab ka
waaris kiya gaya wo [ajtak] uske baare mein shak hi mein hain jo unhe
damadol kiye hue hai 42:14 pass [ae Rasool saws] tum ussi ki taraf unko
bulaae jao aur jaisa tumko hukum diya gaya hai waise hi qaim raho aur
unki khwaahishoun ki pairawi na karo aur ye kehdo k Allah ne jo kitaab
naazil ki hai main us per imaan laya hoon aur mujhe hukum diya gaya hai
k tumhaare mabain adaalat karoon. Allah hamaara bhi parwardigaar hai
aur tumhaare bhi. Hamare amaal hamare liye hain aur tumhaare amaal
tumhaare liye. Hamare aur tumhaare

