Page 674 - Quran-e-Kareem
P. 674
33 al-ahzaab (674) 22 para
nd
rd
Aur imaan waali aurtein aur dua karne waali aurtein aur (apnay khoul e
fail me) sacchey mard aur sacchi aurtein aur sabar karne waale mard aur
sabar karne waali aurtein aur girhgirhaane waale mard aur girhgirhaane
waali aurtein aur sadqa dene waale mard aur sadqa dene waali aurtein aur
roza rakhne waale mard aur roza rakhne waali aurtein aur apni sharm
gaahoun ko mehfuuz rakhne waale mard aur mehfuz rakhne waali aurtein
aur bohhot kasrat se khuda ko yaad karne waale mard aur yaad karne
waali aurtein (1) in sab k liye khuda e taala ne gunaahoun ki baksheesh
aur bohhot barha ajar mahiyya farmaya hai 33:35 aur na kisi momin mard
k liye ye baat (2) mouzuu hai aur na kisi momin aurat k liye k jab khuda
aur uske rasool ne ek baat tayy kardi ho to phir unhoney apni uss
muaamle mea kuch bhi ikhtiyaar (baakhi) rahey (toye) aur jo allah aur
uske rasool ki naafarmani karega yaqeenan wahi to khuli gumraahi mea
parhega 33:36 aur (aye rasool) jiss waqt tum uss se jinper allah ne bhi
ehsaan (3) kiya tha aur tumne bhi ehsaan kiya tha ye ker rahey they k tu
apni zoujha ko apnay paas rehne do aur allah se daro aur tum apnay dil
mea wo baat chipaaye ho lete jisko allah zaahir karne wala tha

