Page 676 - Quran-e-Kareem
P. 676
33 al-ahzaab (676) 22 para
nd
rd
Kiya karo 33:41(laa) aur uski paaki subah o shaam bayaan kiya karo 33:42
wo wahi hai jo khud aur uss k farishte tumper salwaat bhejte hai taa k wo
tum ko (kufr o nifaaq ki) andheyriyoun se (imaan ki) roshni ki taraf
nikaal laaye (toye) aur wo mominoun per bohhot hee rehem karne wala
hai 33:43 jiss din ye log khuda se milenge salaam unki aala darje ki
madaarat hogi (jeem)(swat) aur khuda e taala ne unke liye bohhot hee
acha acha ajar tayyar kar rakha hai 33:44 aye nabi humne tumko gawah
aur khush khabri dene wala aur daraane wala 33:45(laa) aur allah ki taraf
se uski taraf bulaane wala (3) aur roshni pohonchaane wala chiraagh banaa
ker bheja hai 33:46 aur mominoun ko ye khush khabri pohonchaado k
allah ki taraf se unnper bohhot barha fazal hai 33:47 aur kaafiraoun aur
munaafiqoun ki baat na maano aur unko Eeza dena chordo aur allah per
bharosa karo (toye) aur kaarsazi k liye allah hee kaafi hai 33:48 aye imaan
laane waalo ! jiss waqt tumne imaan waali aurtoun se nikaah kiya phir qabl
iske k tumne un se mubaasherat ki ho unko talaakh dedi to unke zimmey
tumhaari khaatir koi iddah nahi hai jisse wo poora karey (jeem) pass tum
unko kuch nafa pohoncha do aur

