Page 682 - Quran-e-Kareem
P. 682
33 al-ahzaab (682) 22 para
nd
rd
Rasool ki itaayat karega ussi ne to barhi kaamyabi haasil ki 33:71 beshak
humne iss amaanat (1) ko aasmanoun k aur zameen k aur pahaaroun k
saamne pesh kiya to in sab ne uss k uthaane se inkaar kardiya aur uss se
dargaye aur insaan ne usko uthaaliya (toye) yaqeenan wahi (insaan) apnay
haq mea barha zaalim (aur) nadaan tha 33:72(laa) taake allah munaafiq
mardoun ko aur munaafiq aurtoun ko aur mushrik mardoun ko aur
mushrik aurtoun ko azaab de aur imaan waale mardoun aur imaan waali
aurtoun ki touba qubol karle (toye) aur allah barha bakhashne wala (aur)
rehem karne wala hai(2) 33:73(9AIN5-6)
SUREH SABA (MAKEEH) 54 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rahman o raheem khuda k naam se (Shuruu karta hun)
Her qism ki taarif ussi allah k liye zeyba hai jiss ki milkiyyat aasmanoun
mea jo kuch hai wo (bhi) hai aur zameen mea jo kuch hai wo (bhi) aur her
qism ki taarif aakheratt mea bhi ussi ki hai (toye) aur wahi hikmat wala
(aur) saaheb e khabr hai 34:1 jo cheez zameen mea daakhil hoti hai aur jo
cheez use nikalti hai usse (bhi)

