Page 687 - Quran-e-Kareem
P. 687

34  saba                    (687)                    22   para
                                                                             nd
                         th

               Unse jo uss ki taraf se shak mea hai alag pehchaan liye (toye)aur tumhaara


               parwardigaar her cheez ka nigraa hai 34:21(2AIN12-8) tum kehdo k tum

               unko bulaalo jinka tum ko khuda k siwaa ghamand hai (jeem) halaanke na


               wo aasmanoun mea kisi zarra bhar (cheez) k maalik hai aur na zameen

               mea aur na unn (aasmaan o zameen ) k banaane mea unka koi saajha hai


               aur na un mea se koi khuda ka madadgaar hai 34:22 aur uski huzoor mea


               koi (1)  sifaarish nafa na degi siwaaye uss shaqs (ki sifaarish) k jiske liye

               wo hukum dede (toye) yahan tak k jab unke diloun se pareshaaniyan door


               hui to unhonay kaha k ye tumhaare parwardigaar ne kia farmaya ?  (toye)

               unhonay kaha k haq farmaya (jeem) aur wahi to buland martaba aur


               buzurg hai 34:23 daryaaft karo k tumko aasmanoun se aur zameen se rozi


               deta kaun hai ? (toye) tum kehdo k allah (laa) ab hidaayat per ya khuli

               gumraahi per hum hai (3) ya tum ho?34:24 tum ye kehdo k jo gunah


               humne kiye hai unke mutaaliq tum se koi baazpurs na ki jaayegi  aur jo


               amal tum karte ho uski baazpurs hum se na ki jaayegi 34:25 tum ye kehdo

               k hamara parwardigaar hum sab ko jamah karlega phir hamaare maabayn
   682   683   684   685   686   687   688   689   690   691   692