Page 690 - Quran-e-Kareem
P. 690
34 saba (690) 22 para
nd
th
Ko furaakh kar deta hai aur jiske liye chahta hai kam kar deta hai lekin
bohhot se log (uski maslehat) nahi jaante 34:36(4AIN6-10) aur tumhaare
maal aur tumhaari aulaadein aisee cheez nahi hai k wo hamaare huzoor
mea tumhaara darja qareeb karde haan jo shaks imaan laaye aur nayk amal
karey to aise hee to log (1) wo hai k jo amal (bhi) wo karenge do-chand
{dugna} muwaaeza unke liye mohayya hai aur wahi balaa khaanoun mea
aman se rahenge 34:37 aur jo log (humko) haraa dene k khayaal se
hamaari nishaaniyoun k baare mea koshish karte rehte hai wahi to
baraabar azaab mea haazir rakhey jaayenge 34:38 tum ye kehdo k mera
parwardigaar apnay bandoun mea se jiske liye chaheta hai (ek waqt) rozi
ko furaaq kardeta hai aur (ek waqt) ussi k liye kam kardeta hai (toye) aur
jo cheez bhi tum uski raah mea kharch karogay pass wo uska a’waz zaroor
dega (jeem) aur wo sabse acha rizk dene wala hai 34:39 aur jiss din wo unn
sab ko jamah farmaayega phir kull farishtoun se ye irshaad karega k kia
yahee log tumhaari ibaadat kiya karte they ?34:40 (farishte) arz karenge k
teri zaat munazza hai tuu hee hamara aaqa hai kuch ye to hai nahi (jeem)
(inse kia waasta ?) ye to jinnat ki ibaadat kiya karte they (jeem) aur in mea
se aksar

