Page 701 - Quran-e-Kareem
P. 701
35 fatir (701) 22 para
nd
th
Aur kaafiraoun k liye unka kufr (1) siwaaye nuqsaan k aur kuch zyaada
nahi karta 35:39 tum ye kehdo k kia tumne apnay unn shareekoun ko
dekha hai jinko tum khuda k siwaa pukaarte rehte ho (toye) zara mujhey
to dikhaao aaya zameen ki koi cheez unhonay payda ki hai ya aasmanoun
mea unka koi saajha hai ? (jeem) ya unko humne koi kitaab dee hai k wo
uske sabab se khuli daleel per hai (jeem) (ye kuch bhi nahi) balke ye
naafarmaan log ek dusre se mehz dhoka dayhi k waade karte hai 35:40
beshak allah aasmanoun ko (1) aur zameen ko iss baat se rokay huye hai k
ye (jeem) (apni apni jagah se )tal jaaye aur agar ye (apni jagah se ) tal
jaatey to uske baad koi aesa nahi hai jo unko rok deta (toye) yaqeenan wo
barha burdbaar (aur) bakhashne wala hai 35:41 aur unhonay apni poori
quwwat bhar khuda ki khasam khaaker kaha tha k agar hamaare paas koi
daraane wala aayega to hum pehli her ummat se zyaada (2) raah e raaste
per aa jane waale hojaayenge (jeem) magar jab unke paas daraane wala
aaya to unki nafrat aur bhi zyaada hui 35:42(laa) aur rooh e zameen per
unki shayqi (aur barhi) (toye) aur buri buri chaalein halaanke buri
chaalein apay karne waaloun hee per parhti hai

