Page 705 - Quran-e-Kareem
P. 705

36     Sureh Yaseen                        (705)           23    para
                                                                                     rd
                         th

               aur mujhey ho kia gaya hai k mea uski ibaadat na karun jisne mujhko


               payda kiya hai halaanke tum sab ki baazgasht bhi ussi ki taraf hogi 36:22

               kia mea usse chor ker aise khuda banaalun k agar (khuda e) rehmaan


               mujhey koi zarrar pohonchaana chaahey to unki sifaarish mere kuch bhi

               kaam na aaye aur na wo mujhey churaa hee sakhey 36:23(jeem) mea to iss


               suurath mea khuli tabaahi mea rehjaaonga 36:24 so ! (saahebo) sunn lo


               mea to yaqeenan tumhaare parwardigaar per imaan laaya hun 36:25(toye)

               (uss se ) kaha jaayega k tuu jannat mea chala jaa (toye) wo kahega k kaash


               meri khoum k log bhi ye jaan lete 36:26(laa)  k mujhey mere parwardigaar

               ne kiss wajah se baksh diya aur muazzazeen {izzat waaloun}  mea se qaraar


               diya 36:27 aur iske baad uski khoum per (azaab dene k liye humne


               aasmaan se koi lashkar nahi utaare aur na hamey utaarne ki koi zaroorat

               thi 38:28 unn (ki giraftaari) k liye ek cheenkh kaafi thi k yakaayak wo bujh


               kar rehgaye 36:29 bandoun k haal per kaisa afsos hai (jeem) koi rasool bhi


               inke paas aisa nahi aata  jiski ye hassi na urhaate ho 36:30 kia ye itna nahi

               samajte k hum ne in se pehle
   700   701   702   703   704   705   706   707   708   709   710