Page 128 - Quran-e-Kareem
        P. 128
     th
                 th
               4   Sureh An-Nisa                           (128)                       4   para
               aur jinn aurtoun se tumhaare baap dada nikaah karchukey ho tum un se
               nikah na karna siwaaye uske jo pehle ho chuka (toye) beshak ye badhi
               behayaayi ki aur naa pasandeeda baat hai (toye) aur bura dastoor
               hai4:22(3AIN8-14)  tumm per haraam ki gayi hai tumhaari maaye aur
               tumhaari betiyaan(1) aur tumhaari behne aur tumhaari phupiyaan aur
               tumhaari khaalaye aur tumhaari bhatijiyaan aur bhaanjiyaa aur tumhaari
               wo (2)maaye jinhoney tum ko doodh pilaya hai aur tumhaari doodh
               sharek behne aur tumhaari (3) saasayn aur tumhaari rajeeba  betiyaan (4)
               jo tumhaari unn azwaaj ki goad mea ho jin se tum ne sohbat ki ho (zaal)
               phir agar tum ne un se sohbat na ki ho to koi harj nahi hai (zaal) aur
               tumhaari unn betiyoun ki azwaaj jo tumhaare sulb se ho (tumper haraam
               hai) aur ye baat( bhi haraam ki gayi hai )k ek waqt do behnoun ko jamah
               karlo siwaaye uske jo pehle ho chuka (toye) beshak allah badha bakhashne
               wala (aur) rehem karne wala hai 4:23(laa)





