Page 711 - Quran-e-Kareem
P. 711
36 Sureh Yaseen (711) 23 para
rd
th
Usko nutfay se payda kiya hai phir yakaayak wo khula jhagraalu ban gaya
36:77 aur hamaare hee liye uss ne misl bayaan ki aur apni khilqat ko bhuul
gaya (toye)kehne lagaa k haddiyoun ko jiss haal mea k wo khaak
hojaayengi zinda kaun kardega? 36:78 tum kehdo (1) k inko wahi zinda
kar dega jisne inko pehli martaba payda kardiya tha (toye) aur wo her
makhlookh k haal se waaqif hai 36:79(laa) jisne tumhaare liye harey
darakht se aag payda kardi k ab (2) tum ussi se sulgaate rehte ho 36:80
aaya wo jisne aasmaanoun ko aur zameen ko payda kiya hai iss per qaadir
nahi hai (3) k inko aisee payda karde (toye) zaroor (qaadir hai) (qaaf) aur
wo barha payda karne wala hai (aur) jaanne wala hai 36:81 ye waqt ussi ki
shaan hai k jab kisi cheez ka iraada karey to uss se sirf itna farmaaye k (4)
ho pass wo hojaaye 36:82 pass munazza hai jiss k haath mea har cheez ka
ikhtiyaar hai (5) aur ussi ki hazoor mea tum sab ki baazgasht hogi
36:83(5AIN16-4)

