Page 712 - Quran-e-Kareem
P. 712
37 Sureh Saaffat (712) 23 para
rd
th
SUREH AL SAFF’AAT(MADINEE) 182 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rahman o raheem khuda k naam se (Shuruu karta hun)
Khasam hai saff (1) baandh kar kharey honay waaloun ki 37:1(laa) phir
khasam hai jhirakne waaloun ki 37:2(laa) phir zikr ki tilaawat karne
waaloun ki 37:3(laa) beshak tumhaara maabud zaroor yekta hai 37:4(toye)
aasmaanoun ka aur zamen ka aur jo kuch unn k maabayn hai unka
parwarish karne wala aur mashriqou ka (2) maalik hai 37:5(toye) yaqeenan
humne iss dunia k aasmaan ko sitaaroun ki zeenat se muzayyan {decorate}
kiya hai 37:6(laa) aur her sarkash shaitaan k liye unn ko nigehbaan
banaaya hai 37:7(jeem) ab wo milaa e aala ki kansoyiyaan {chupker sun
lena} nahi le sakte aur her taraf se unko bhagaane k liye maar parti hai hai
37:8 (qaaf )(laam )(swat) aur ye unke liye paayedaar azaab hai 37:9(laa)
siwaaye iske k koi urhti hui baat le bhaaga so ek sitaara tuut ker uska
(bhi) peecha

