Page 715 - Quran-e-Kareem
P. 715
37 Sureh Saaffat (715) 23 para
rd
th
Aur ye kaha karte they k kia hum ek diwaane shaayer ki khaatir apnay
khudaaon ko chorne waale hai ? 37:36(toye) (diwana kaisa ! ) balke wo to
haq leke aaya hai aur usne rasooloun ki tasdeeq ki hai 37:37 tum yaqeenan
dardnaak azaab zaroor chakne waale ho 37:38(jeem) aur tum badlaa ussi ka
paaogay jo kuch tum amal kiya karte they 37:39(laa) haan khuda k khaalis
bandey iss se mustasna {alag} hai 37:40 un k (1) waaste rizq (bhi) moayyan
hai 37:41(laa) (yaani) mewe (jeem) aur unki izzat (bhi) ki jaayegi 37:42
(laa) wo nehmat waali jannatoun mea 37:43(laa)takhtoun per ek dusre k
muqaable baythe hongey 37:44 safayd sharaab k glass k daur chal rahey
hongay 37:45(laa) jiska lutf peene waale hee jaanenge 37:46(jeem)(swat) uss
mea na koi jhagra hoga aur na uss se madhosh hojaayenge 37:47 aur unke
paas neechay nigaah waali (aur) barhi (barhi) aankhoun waali (hurayn)
ussi tarah hongi goya 37:48(laa) (rang ki safaayi mea ) hifaazat se rakhey
huye andey hai 37:49 pass wo bhi ek dusre ki taraf mutawajjo hoker sawaal
karenge 37:50 unn mea se ek kehne wala ye kahega k mera ek hum
nasheen tha 37:51(laa) jo ye kaha karta tha k kia tu bhi tasdeeq karne
waaloun mea se hai ? 37:52 kia jab hum marjaayenge

