Page 718 - Quran-e-Kareem
P. 718
37 Sureh Saaffat (718) 23 para
rd
th
Aur ye farmaya k mea beemaar honay wala houn (1)37:89 pass ye log to peeth
phiraaker unke paas se (udher) gaye 37:90 aur ye chup chaap unke khudaon
ki taraf gaye aur daryaaft kiya k tum kuch khaate kyoun nahi ? 37:91(jeem) ye
tumhey ho kia gaya hai bolte kyun nahi ? 37:92 ab to chupay chupay unnper
daayein haath ki zarb lagaane lagey 37:93 ab wo log mandlaa ker unki taraf
aaye 37:94 farmaya kia tum unn cheezoun ki pooja karte ho jinko apnay hee
haathoun se taraashe ho 37:95(laa) halaanke allah ne tumko (bhi) payda kiya
hai aur jo buut tum banaate ho unko (bhi) 37:96(phir) unhonay aapas mea
kaha k tum iske liye ek imaarat banaao phir isko sakht aag mea daaldo 37:97
pass iss tarah wo ibrahim k liye ek chaal chaley (so) humne unhi ko zaleel
kardiya 37:98 aur ibrahim ne kaha k mea (2) apnay parwardigaar ki taraf jaane
wala houn k wo ankhareeb meri rehbari farmaayega 37:99 aye mere (3)
parwardigaar mujhey nayk aulaad ataa farmaa 37:100 pass humne unki ek
burdbaar farzand ki bashaarat (4) dee 37:101 pass jab wo (farzand) unke saath
chalne phirne k laayekh hua to unhone farmaya aye mere pyaare bete mea
khwaab mea dekhta hun k mea tumko zibaah kar raha hun to ab ghour karo
k tumhaari raaye (5) kia hai ?(toye) unhonay arz ki babajaan aapko jo hukum
milta hai bajaa laayea (6) agar allah chaaha to aap mujhko sabar karne
waaloun mea se paayenge 37:102 pass jab dono ne izhaar e itaayat kiya (7) aur
baap ne bete ko pishaani k ball litaa diya 37:103(jeem) aur humne unko

